January 4, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1051
Chot Ka Lagna Bhi Hai Zaroori
Chot ka lagna bhi hai zaroori,
Dard kya hota hai, ye ehsaas toh ho.
Gir kar uthne kee koshish karna bhi hai zaroori,
Taaki koshish karne ka abhyaas toh ho.
Itna toh nishchitt hai bin kisee sanshay ke,
Ki Guruji se kabhi koi galati ho sakti nahin,
Phir jo bhi Unkee razaa se hota hai,
Veh bina kisee shaq ke hameshaan hoga sahi.
Kisee na kisee tarehn se jo bhi hota hai hamaari zindagi mein,
Veh hamaare kalyaan ke liye karte Hain hamaare naath,
Ya toh uss se hota hai karmon ka bhugtaan,
Ya phir veh hota hai adhyaatmik unnati ka imtehaan.
Kalyuga kee har mushkil ne,
Insaan ke manovikaaron se hai janam liya,
Maano ya na maano, jaano ya na jaano,
Hum insaanon ne hai veh karam kiya.
Jo dukh mil raha hai hamein,
Veh nishchay hee kumm kar ke mil raha hai,
Aur jo bhi sukh praapt hai hamein,
Veh haq se aur hadd se zyada mil raha hai.
Aur phir Guruji ka pyaar toh har ghaav ko bhar deta hai,
Unka ashish toh har kasht ko har leta hai.
Koi dawaa nahin hai Unke prataap se zyaada prabhaavshaali,
Koi bhi nakaaratmakta nahin hai Unkee divyataa ke aagey shaktishaali.
Jiske paas har saagar ko ek pal mein nirjal karne kee kshamtaa hai,
Veh saagar ko anginat boondein dekar aseem honei ka deta hai vardaan,
Yeh yakeenan hamaare dayaalu aur kripaalu Guruji kee mamta hai,
Jo saagar kee tarehn saari srishti ko dete rehte Hain Apni daya ka daan.
Hamaare Guruji ke charnon mein,
Basaa hai har teerath dham,
Isliye aise pooran Guru ka simran karna,
Hai bade hee punya ka kaam.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja