Koshish Toh Kar (01/09/2021)

January 9, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1056

                Koshish Toh Kar

Kehne de, tu kehne de, jo bhi kehta hai sansaar,
Tu Guruji kee baat sunn kar shudh karta chal apne sanskaar,
Tu koshish toh kar ki shant aur sthir rakh apna vyavhaar,
Aur buss yaad se tu jode rakh Guruji se seedhi taar.

Chhaayee hain kalyugi raatein,
Hongi kayee anhoni baatein,
Chaahe koi kahe tujhe baar baar,
Tu dagmagaane se kar dena saaf inkaar.

Aakhir kaun hai yahaan apna, jo paraaya ho jaayega,
Har koi kuch din maheenon ya saalon ka hai mehmaan,
Aakhir hai hee kya yahaan apna, jo koi saath lekar jaa paayega,
Phir na jaane kyun padaarthon kee daur mein paglaa sa gaya hai insaan.

Guruji toh Hain ati-saral,
Guruji toh Hain ati-taral,
Guruji Hain ati-komal,
Aur Ve Hain ati-nirmal.

Tu agar swayam ko Guruji ka bhakt hai kehta,
Phir koshish toh kar saralta apnaane kee,
Tu agar swayam ko Guruji ka anuyaayi hai kehta,
Toh koshish toh kar taralta se jeevan bitaane kee.

Koshish toh kar ki komaltaa aur nirmalta ke saanche mein dhal,
Taaki ujjwal ho jaaye tera aane wala kal.
Ye sab ek pal mein na ho sakega,
Ismein zaroor kuch waqt lagega.

Simran aur dhyan kee koshish se,
Mann kee mayll ko dhona hoga,
Niswaarth sewa kee koshish se,
Khud ko neevan hona hoga.

Ye sab hotey hotey jo samay beet jaayega,
Tu usee samay ka dil tu jeet jaayega,
Samay jaan jaayega ki toone uska achche se kiya prayog,
Aur veh nahin hoga kewal ek shubh sanyog,
Veh bhi hogi Guruji kee hee mehar,
Jo toone atma-sudhaar mein bitaaya har pehar.

Guruji jabb dekhenge teri neeyat hai sachchi,
Toh Unhe teri honhaar koshish lagegi achchi,
Unkee kripa se teri koshish ka kalyaankaari hoga anjaam,
Nek neeyat koshish kabhi na kabhi zaroor pahunchaayegi tujhe Unke dhaam.

Isliye aur vilamb na kar,
Na tu kalyugi raaton se darr,
Abb jo tu aaya hai Guruji ke dar par,
Tu satyugi subah laane ki koshish toh kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Koshish Toh Kar (01/09/2021)

Leave a comment