Utaar Chadhaav (01/17/2021)

January 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1064

   Utaar Chadhaav

Jabb takk yeh maanav jeevan hai,
Utaar chadhaav toh yakeenan aayenge,
Kisee ke jeevan mein kumm, kisee ke jeevan mein zyada,
Kabhi dheere dheere, toh kabhi bin bataaye aayenge.

Karmon ka her pher keh lo isey,
Ya phir kismat ka hai ye lekha,
Hamein toh kuch bhi gyan nahin hai iska,
Lekin Guruji ne sadaa sab kuch hai dekha.

Uljhan ko sulajhaane ke liye jo hamaare vash mein hai veh kar lein hum zaroor,
Kyunki apni taraf se poori koshish karna hamaara farz hai,
Hamaare Parwardigaar Guruji Hain hamaare sangg,
Hamaare bin boley hamaari arzi Unke paas darj hai.

Burey vele mein bilkul na ghabraayein hum,
Na hee changey vele mein akad jaayein hum,
Jisne sab kuch diya Vo ek pal mein sab le bhi sakta hai, yeh rakhein yaad,
Isliye sadaa sumati paane kee karein Guruji se fariyaad.

Guruji ne jo hamein apnaaya hai,
Toh Ve hamaare saath chalenge,
Maade samay kee andheri raatein,
Aur kathor din zaroor talenge.

Sukh kee chandni raaton aur khushnuma dinon mein bhi,
Guruji ko yaad karna hamein bhool nahin hai jaana,
Nahin toh unn din aur raaton ko hamaari zindagi se,
Chale jaane ka kaheen mil na jaaye koi bahaana.

Har utaar chadhaav mein,
Guruji ke naam ka lekar sahaara,
Unse ardaas karein,
Ki Ve sambhaalein har kaaj hamaara.

Vintee karein Unse,
Ki hamaari buddhi kabhi na ho bhrasht,
Unpar se hamaara vishwaas kabhi na ho kumm,
Chaahe zindagi mein aayein sainkdon kasht.

Unke ashirwaad se paayein hum atma-bal,
Taaki mann sthir rahe har utaar chadhaav mein,
Unkee dee hui pareeksha chaahe jitnee bhi kathin ho,
Kabhi bhi kamee na ho hamaari shraddha ke bhaav mein.

Buss, phir saagar kee lehron kee bhaanti,
Utaar chadhaav aayenge aur jaayenge,
Hum par kripa karegi Guruji kee kanti,
Aur hum har anubhav se behtar insaan bann paayenge.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Utaar Chadhaav (01/17/2021)

Leave a comment