Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Diwas (01/20/2021)

January 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1067

Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Diwas

Mata Gujri aur Guru Tegh Bahadur ne,
December 22, 1666 mein ek divya baalak ko janam diya,
Baad mein Ve kehlaaye Guru Gobind Singh Ji,
Jinhonei Apne mata pita ka naam roshan kiya.

Patna mein thei janme,
Ye poojya dusvein Sikh Guru,
Apne pita ke deh tyaagne ka baad,
Unkee guruyaayee hui shuru.

Unka naam rakha gaya thaa Gobind Rai,
Niyati ne Unhe nau varsh kee aayu mein Guru diya banaaye,
Mahatva diya Unhonei samaanta aur sadaachaari ko,
Apne protsaahan se duur kiya kitnon kee laachaari ko.

Khalsa ka kiya Guru Gobind Singh ji ne sootrapaat,
Ruhaani anushaasan kee Unhonei kee shuruaat,
1699 mein Guru Gobind Singh Ji ne kar diya ailaan,
Ki Khalsa ke hongei kanga, kara, kachchera, kesh, aur kirpaan.

Anyaaya ke khilaaf uthaayee Unhonei awaaz,
Kartavyaparaayanta ka paath sikhaaya khaas,
Kavi bhi thei Ve, aur thei yoddha aur tatvavyaani,
Sarbat ke uddhaar ke liye jiye Ve Apni zindagaani.

1705 ke yuddh mein Unke do putr maare gaye,
Aur baaki do putron ne maut ko galey lagaaya,
Apne siddhaanton par atal rehkar,
Unhonei sangat ko jeene ka raasta dikhaaya.

Apna shareer chodne se pehle,
Unhonei ghoshna kee thi ki Guru Granth Sahib sadaa ke liye Hain sikhon ke Guru,
Tabb se hee in granth ko Guru maan lene kee,
Parampoojya prathaa hui shuru.

Jabb takk Ve shaareerik roop mein thei, Unhonei samaaj sudhaar mein bhaag liya,
Jabb 1708 ke October kee saat taareek aayi,
Guru Gobind Singh ne Apni deh ko tyaag diya.

Hum sabb bahut bhaagyashaali hain,
Jinhonei Guru kee sharan paayi hai,
Hamaare pyaare Guruji ne bhi,
Gurbani sunn-ni sikhaayee hai.

Guruji ka simran karte huey,
Gurbani sunte jaayein hum,
Gupt sewa, gupt paath, gupt daan karein,
Aur Guruji ka ashish paayein hum.

Saari sangat ko Guru Gobind Singh Ji ke Prakash Purab kee,
Bahut bahut badhaayee,
Aayiye hum sab prem aur shraddha se karein,
Apne pyaare Guru kee vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Diwas (01/20/2021)

Leave a comment