Haalaat Kee Kahaani (01/21/2021)

January 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1068

           Haalaat Kee Kahaani

Na doojon kee khushi se tu jal,
Balki khush ho doojon ke sukh se,
Guruji tere sangg bhi hameshaan Hain,
Isliye na ghabraa tu apne dukh se.

Kisee ke vash mein nahin koi bhi pal,
Koi nahin bachtaa haalaat ke rukh se,
Buss, koi bhi nakaraatmak baat,
Na tu soch, na hee bol apne mukh se.

Mausam bhi toh rehte hain badalte,
Hum apni oar se samanjan hain karte,
Apne chayyn ka zyaada prabandh karte hain garmi mein,
Lekin kumm karna padta hai vasant ritu kee narmi mein.

Patjhad ho ya jabb ho jaada,
Ya phir tufaan se mausam ho maada,
Toh aur bhi zyaada karte hain intazaam,
Yeh jaan kar ki har mausam hai kuch samay ka mehmaan.

Aisee hee hai haalaat kee kahaani,
Kabhi ek see nahin rehti kisee kee bhi zindagaani,
Isliye apne sukh mein bhi na itraayein,
Na hee dukh mein hum ghabraayein.

Karam bhoomi hai ye saara sansaar,
Kisee ka ek jaisa nahin hota hai safar,
Buss Guruji ka milta rahey pyaar,
Toh har haalaat mein mumkin hai basar.

Guruji kee mehar toh barasti rahegi,
Is tathya par sabka vishwaas ho atal,
Har koi doojon ke liye changaa soche,
Toh vaayu ka spandan rahe kitna prabal.

Guruji ke har bhakt ka,
Sakaraatmakta se mehekey shwaas,
Saari kee saari sarbat ka bhalaa ho,
Abb yahee hai Guruji se ardaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Haalaat Kee Kahaani (01/21/2021)

Leave a comment