Dhan Baba Deep Singh Ji (01/26/2021)

January 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1073

         Dhan Baba Deep Singh Ji

Amritsar ke Pahuwind gaaon mein roshan hua ek diya,
Jabb 26 January, 1682 mein Baba Deep Singh ji ne janam liya.
Ve janme Mata Jiooni aur pita Bhagtaa ke ghar mein,
Aur Unkee taqdeer badli Guru Gobind Singhji ke dar ne.

18 saal kee umar mein gaye Ve Anandpur
Sahib,
Jahaan Unhe praapt huey dasham pita ke darshan,
Amritpaan ka saubhaagya mila Unhe,
Aur kiya Unhonei sadaachaari ko apna sab kuch arpan.

Gurbani ke adhyayan se huey sagun,
Shastra ke sanchaalan mein huey nipun,
Sikh dharma ka Unhonei kiya prachaar,
Aur yuva peedi par hua Unka bahut prabhaav.

Faarsi, Arbi, Gurmukhi aur Sanskrit,
Inke alaawa bhi aur bhaashaaon ka thaa Unhe gyan,
Sant aur sipahi, aur vidvaan ke gunn thei Unmein,
Poore vishwa mein aaj bhi roshan hai Unka naam.

Tayyaar kee Unhonei Guru Granth Sahib kee beed,
Talwandi saabo mein Bhai Mani Singh ke saath,
Shaheed misl ka netritva sambhaala,
Ahmad Durrani kee changul se bandhiyon ko nikaala.

Jab Durrani ne Harmandir Sahib ka vidhwans karna chaaha,
Baba Deep Singh ji ko bhakti se milee aparampaar shakti,
Unka khanda thaa 15 kilo se bhi zyada bhaari,
Sir bhi kataa Unka, lekin Unhonei himmat nahin haari.

Unhonei apna sees ka de diya balidaan,
Aur Harmandir Sahib ko bachaane ke liye tyaag diye apne praan,
Jahaan par hua Baba Deep Singh ke paartheev shareer ka daah sanskaar,
Vahaan banaa Gurudwaara Shaheed Ganj Sahib Guruon ka dwaar.

Itihaas ke pannon mein,
Sunehre aksharon mein hai Baba Deep Singh ji ka naam,
Amritsar ka Gurudwaara Shaheed Ganj Sahib,
Unhee ke mahaatmay se banaa divya dhaam.

Aaj Baba Deep Singh ji kee 339vee salagirah par,
Guruji ne Unkee mahima ke baare mein hai likhwaaya,
Dhan Baba Deep Singh kee shahaadat ke itihaas se,
Hamein bhakti mein shakti ka mahaan udaaharan dikhaaya.

Baba Deep Singh Ji ka sadaa roshan rahega naam,
Sikhaaya Unhonei ki zaroori hai surakshit rakhna atma-sammaan,
Unke tyaag se mila sainkdon ko jeevan daan,
Unkee bahaduri aur Unkee ataltaa ko baarambaar pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dhan Baba Deep Singh Ji (01/26/2021)

Leave a comment