January 1, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1048
Naya Saal Aaya Hai
Pichhle saal ko peechhe chod kar naya saal hai aaya,
Har kisee ne beetey lamhon mein kuch khoya aur kuch hai paaya,
Kisee ne maayusi se aur kisee ne khushi se pichhla saal hai bitaaya,
Naya saal aane waale samay ke liye ummeed kee saugat lekar hai aaya.
Umeed par hee toh duniya kaayam hai,
Raasta thoda sa sakht, thoda sa mulayam hai,
Naya saal aaya hai lekar Guruji ka avirat ashirwaad,
Kuch beetey lamhe bhool jaayenge, aur kuch reh jaayenge yaad.
Har yaadgaar ka hoga koi na koi koi sabab,
Kisee ka sabab hoga saadharan, toh kisee ka hoga gehra ya ajab,
Kisee yaadgaar se aagey kee zindagi ke liye milegi prerna,
Toh kisee yaad se milegi satark rehne kee chetna.
Kuch yaadein bhulaane ko jee chaahega,
Kuch yaadon ke peechhe dil bhaagega,
Lekin Guruji kee kripa se aagey badhte jaana,
Aur adhyaatmik yatra kee seedhi chadhte jaana.
Yahee seedhi hai asal sukh kee,
Laukikta se honei vimukh kee,
Ispar chadhne ke liye apne bheetar hai jaana,
Aur Guruji ke naam ka simran hai karte jaana.
Baaki sab zimmedariyan nibhaate huey,
Mann ko laukikta kee kshanbhangurta yaad dilaate huey,
Koshish jaari rahe shraddha aur vishwaas ko badhaane kee,
Jo simran se duur le jaaye, aise har vichaar ko mann se hataane kee.
Guru naam ka amrit prem se peete rehna,
Har lamhe ko sahi mainey mein jeete rehna,
Koi lamha dobaara laut kar na aayega,
Lekin, simran ka har lamha asal dhan kee oar lekar jaayega.
Guruji se Guruji kee praapti hee hai veh asal dhan,
Moksh miley, taaki baar baar na bhogna padey janam maran,
Guruji kee kripa se is dhan ko paane ke prayatna ko safal banaayein,
Naye saal ko is prayatna kee yaadgaar dekar ruhaniyat ka safar badhaayein.
Jeena marna yakeenan ho jaayega kaamyaab,
Jab atma ko roshan karega Guru naam ka aftaab.
Guruji kee mehar se is iraade ko de dein hum sankalp ka khitaab,
Taaki yeh hakeekat bann jaaye, na ki reh jaaye bannkar kewal ek haseen khwaab.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja