Apni Ruhaani Dastaan (02/04/20201)

February 4, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1082

Apni Ruhaani Dastaan

Bahut naadaan aur anjaan hai tu,
Jo toone apne shareer ko apni pehchaan hai maana,
Dar-asal isee kee vajeh se hee kabhi kabhi,
Tujhe meetha nahin lagta Guruji ka bhaana.

Bhool gaya tu srishti ke is naatak mein,
Ki deh toh milee is kirdaar ko nibhaane ke liye,
Tu isey amar soch kar jee raha hai,
Guruji aaye Hain tujhe jagaane ke liye.

Apna safar is dharti par tayy karne ke baad,
Deh toh khatm ho jaayegi yahaan,
Na jaane phir atma yahaan se jaayegi kahaan,
Aur na jaane usey kaisa shareer milega vahaan.

In sawaalon se pareshaan honei ke bajaaye,
Guruji ko saump de aisa har sawaal aur jawaab,
Tere paas jawaab dhoondhne ka hunar nahin hai,
Tu yoon hee karega apna waqt barbaad.

Sadaa kalyanmayee hoga Guruji ka bhaana,
Tere adhyatmik safar ke vaaste,
Unse zyada teri chinta aur kisee ko nahin,
Ve Apne noor se ujjwal karenge tere raaste.

Guruji kee mehar se naadaani kee neend se tu jaag,
Na moh maya kee nirarthakta ke peechhe tu bhaag,
Nashwar shareer ka dhyan tu rakh zaroor,
Lekin na honei de swayam ko shareer ke haathon majboor.

Apni atma ke uddhaar kee oar dhyan de,
Guruji ka simran kar ke Unse adhyatmik gyan le,
Is gyan ke sahaare atma ke safar ko bann-ne thoda aasaan,
Aur Guruji kee rehmat se sanvaar le apni ruhaani dastaan.

Jitna hota chalega karmon ke hisaab ka khaatma,
Utne kumm shareer ko dhaaran karegi teri atma,
Utnee hee jald atma ka Paramatama se hoga milan,
Tabb hee kaheen jaakar safal hoga jeevan.

Isliye kar tu Guruji ka maan,
Kar le tu niswaarth sewa, simran, aur dhyan,
Padh kar tu Shiv Purana,
Guru aur Shiv ke advait isheetva ko pehchaan.

Shareer nashwar hai, yeh le tu jaan,
Is satya aur tathya ko le tu maan,
Kar ke apni atma ka khayaal aur sammaan,
Roshan kar tu apne Guruji ke naam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apni Ruhaani Dastaan (02/04/20201)

Leave a comment