Janam Maran Ke Chakravyuh Mein (02/15/2021)

February 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1093

    Janam Maran Ke Chakravyuh Mein

Guruji ke vandan ko hum maan dein,
Vandan ke shubh spandan ko sammaan dein,
Guruji sadaa saath Hain, is tathya ko jaan lein,
Is paraaye jagg mein ek Ve hee apne Hain, is satya ko pehchaan lein.

Aaj nahin bhi hai agar hamein yakeen in baaton par,
Toh kal kisee na kisee tarehn se yakeen ho jaayega zaroor,
Sada khula hai Guruji ka dwaar aur dar,
Guruji mein nishtha rakhne ka barkarar rakhein hum dastoor.

Ye din beet jaayenge,
Yeh yug ho jaayega khatm,
Sab yahaan se jaayenge ek din,
Aur kuch lenge dobaara janm.

Kuch virlon ka bahut changa hoga naseeb,
Ve honge Paramatama ke itne kareeb,
Ki Unkee atma ka milan Patamatama se ho paayega,
Aur Unka jeena marna safal ho jaayega.

Guruji, kripa kar aisee sumat bakhshiye,
Ki hum is kaabil bann paayein,
Taaki jabb antt vela aaye hamaara,
Hum bhi isee tarehn se jaayein.

Anginat paap kiye hain humne,
Buss, Aap hee ka hai sahara,
Subuddhi deejiye aur shuddhi keejiye hamaari,
Taaki galatiyan na karein dobaara.

Yeh ek janam mein toh shaayad na ho,
Kyunki hamaari galatiyan hain behisaab,
Lekin Aapke charnon mein uddhaar nishchitt hai,
Aapke samaksh hain hum ek khuli kitaab.

Janam maran ke chakravyuh mein apna nirdhaarit samay bitaate huey,
Aapki kripa se swayam ko aur paap karne se bachaate huey,
Hum Aapki bhakti mein apna sab kuch kar dein arpan kar ke Aap par poorna vishwaas,
Jabb yahaan se jaane kee haseen bela aaye, toh Aapke charnon mein lein hum apni antim shwaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janam Maran Ke Chakravyuh Mein (02/15/2021)

Leave a comment