February 8, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1086
Jabb Se
Pyaare Guruvar,
Jabb se Aapke charnon mein sir ko jhukaaya,
Tabb se dil ne anokha sa sukoon hai paaya,
Veh sukoon, jo vaada karta hai saath rehne ka,
Veh sukoon, jo vaada karta sab kuch sehne ka.
Jabb se Aapke simran mein honei lagi hoon leen,
Ho gaya hai Aapki divyata par poora yakeen,
Mai toh hoon is deh mein samaayi hui ek atma,
Aapka hee ansh hoon, kyunki Aap Hain Paramatama.
Jabb se dekhi hai Aapki pyaari si muskaan,
Tabb se uss ko nihaarte rehne ka hota hai armaan,
Aap mujhse khush rahein, Aapka dil na kabhi dukhaaoon,
Koi galat kadam uthaane se pehle hee ruk jaaoon.
Jabb se Aapke noor ke huey hain darshan,
Tabb se kar diya hai Aapko sabb kuch mainey arpan,
Mere liye kya achchaa hai, yeh Aap hee jaante Hain,
Aap vaisa hee karenge jo Aap mere liye uchit maante Hain.
Jabb se Aapki mahima ka karne lagi hoon bakhaan,
Tabb se jeevan ka uddeshya banaa hai Aapka gungaan,
Aapki prashansa karte karte kabhi na thakoon,
Har pal har jageh mai Aapke prataap ke satsang suna sakoon.
Jabb se Aapne mujhe sweekaara hai,
Tabb se meri manzil Aapka dwaara hai,
Yeh manzil milegi mujhe Aapki mehar se,
Vaheen mulaakaat hogi suhaani sehar se.
Jabb se seekha hai Aapka shukrana karna,
Tabb se chod diya hai jagg se darna,
Kabhi nahin lagta ki mai haalaat se laachaar hoon,
Har pal, mere Daata, mai Aapki shukraguzaar hoon.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja