Guruji Hain Sabse Pyaare Meet (03/03/2021)

March 3, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1109

   Guruji Hain Sabse Pyaare Meet

Guruji Hain sabse pyaare meet,
Ve sab bhakton ka dil lete Hain jeet,
Aayiye, Unke sangg nibhaayein sachchi preet kee reet,
Aur gaayein hum Unkee mahima ke geet.

Guruji Hain bhakton ke bhraata,
Unka sabke sangg hai nirmal naata,
Unhe bhakton ka bholapan hai bhaata,
Unka naam itna sukh hai pahunchaata.

Guruji Hain Apne bhakton ke naath,
Har pal rehte Hain Ve sabke saath,
Unke liye har bande kee ek hee hai jaat,
Unhe hum sabki asaliyat hai gyat.

Guruji Hain murshid hamaare,
Hum hain shaagird, Ve Hain peer pyaare,
Jeevan mein ujaala hai Unhee ke sahaare,
Yeh agyani mann maargdarshan ke liye Unhe pukaare.

Guruji Hain hamaare baagbaan,
Bahut hee nyaari hai Unkee muskaan,
Poora karte Hain har kalyaankaari armaan,
Sach mein Hain Ve amrit kee khan.

Guruji Hain hum sabke nigahbaan,
Hamaari raksha ka karte Hain intazaam,
Hamaari dhadkan aur hamaare praan,
Unka hee diya hua hai yeh daan.

Guruji Hain MahaShiv Bhagwaan,
Hum sab hain Unkee santaan,
Apne sab bhakton par Ve Hain sadaa meharbaan,
Sampoorna srishti mein koi bhi nahin hai Unke jaisa mahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Hain Sabse Pyaare Meet (03/03/2021)

Leave a comment