March 4, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1110
Bhaagya Ke Dwaar Khul Gaye
Pyaare Guruji,
Bhaagya ke dwaar khul gaye,
Jis pal Aap hamein mil gaye,
Aapne hamein apnaaya,
Hamaara jeena safal banaaya.
Madhur mamta ka dulaar dekar,
Pita ka paawan pyaar dekar,
Haath pakda hamaara aur hamein chalna sikhaaya,
Aur chalte chalte raaste ke kaanton se hamein bachaaya.
Kuch kuch kaante chubhne diye paaon mein
Taaki fark jaan paayein hum jeevan kee dhoop aur chhaaon mein
Hamaare har ghaav par Apni karuna ka marham Aapne lagaaya
Aur jabb bhi hamein Aapne himmat dee aur hamein uthaaya
Duniya kee kalyugi baaton se jabb hamaara mann bhar aaya
Tabb bhi Aapne har ghaav par Apne sneh ka marham lagaaya
Simran, sewa, aur satsang kee dee Aapne daat
Samarpan karna sikhaaya Aapne hamein din aur raat
Aapka Shukrana karne ke liye kaafi nahin hain koi bhi alfaaz
Aapki mahima gaane ke liye nipun nahin hai koi bhi awaaz
Kyunki Aapki mahima hai anant aur aparampaar
Aur anek seemaaon main bandhaa hai yeh sansaar
Phir bhi sachchi koshish dekhkar Aap itnee kripa karte Hain
Ki Aapke bhakt umr bhar Aapki dee daaton se jholi bharte hain
Buss, yoon hee Apni kripa sab par rakhna Aap banaaye
Taaki har jann aakhiri saans lete huey bhi Aapka gungaan karta jaaye
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja