Sthir Aur Shaant Rehne Ka Hal (03/06/2021)

March 6, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1112

Sthir Aur Shaant Rehne Ka Hal

Chala gaya beeta hua kal,
Aaj bhi har pal beeta jaa raha hai,
Har jann kee apni kahaani hai,
Har pal ne har jann se kuch suna aur kuch kaha hai.

Lekin kya maalum kisne suna aur kisne nahin suna,
Kisne yaadgaar banaane ke liye kin palon ko hai chuna,
Kisey waqt kee raftaar mein yaadein batorne kee sudh budh hee na rahi,
Aur kisne har pal ko hee maan liya yaadgaar ke liye sahi.

Ye lagti hain chhoti chhoti baatein,
Lekin ye bayaan karti hain mann ka haal,
Jitna mann sthir aur shaant hota hai,
Utna hee kumm uthta hai aisa sawaal.

Kyunki paristhiti na bhi ho apne vash mein,
Toh bhi hamaari pratikriya hamaare vash mein hoti hai,
Kyunki moh mein bin phanse har pal ko bitaakar,
Hamaare chitt kee shanti nahin khoti hai.

Aasaan nahin lagta ye karna toh yaad rahe,
Ki ye namumkin bhi nahin hai,
Koi bhi nirnay lene ke liye sthir mann zaroori hai,
Aur yahee atma ke liye bhi sahi hai.

Guruji ke simran mein hai veh shakti,
Jis se is mann aur atma kee unnati nahin rukti,
Mann har pal ka bhaagi honei se zyada, Har pal ka darshak bann jaata hai
Aisa karne se atyadhik sukh ya dukh mein bhi,
Mann aapa nahin kho paata hai

Phir kaisa bhi pal aaye aur jaaye
Simran kee shakti se prabal rehta hai mann
Aur har pal ka saamna kar ke bhi,
Kumm nahin hota adhyaatmik dhan.

Yeh baat sunn-ne ya kehne se nahin,
Balki karne se hee sachchi pramaanit hoti hai,
Isliye kar lein Guruji ka simran aur dhyan,
Chaahe umr badi ya phir chhoti hai.

Guruji madad karenge yakeenan har moad par,
Kabhi besahaara na honei denge hamein chod kar,
Har pal kee karte huey poori anubhooti,
Anaasakt rehne kee koshish kee hoti rahe poorti,
Toh adhyatmik manzil par pahunchenge Guruji kee mehar se,
Jahaan mulaakaat hogi sthirtaa aur shanti kee sehar se.

Phir chaahe veh ho aane wala pal,
Ya phir veh pal jo abb hai beeta hua kal,
Koi bhi yaad mann ko vichalit karne mein na hogi safal,
Kyunki mann ko mil jaayega sthir aur shaant rehne ka hal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sthir Aur Shaant Rehne Ka Hal (03/06/2021)

Leave a comment