MahaShivratri Ka Paawan Tyohaar (03/11/2021)

March 11, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1117

  MahaShivratri Ka Paawan Tyohaar

MahaShivratri ka paawan tyohaar hai aaya,
Har disha mein shubh Spandan hai chhaaya,
Padma raja rathri bhi kehte hain is tyohaar ko,
Sajaate hain Shivbhakt apne ghar aur dwaar ko.

Falgun ke maheene kee Krishna Chaturdashi par,
MahaShivratri manaayi jaati hai,
Har maheene kee Shivratri mein sabse mahaan,
MahaShivratri kehlaati hai.

Kuch bhakton ka kehna hai ki is din
Shivji,
Brahma aur Vishnu kee kee hui pooja se huey prasann,
Unhonei Brahma aur Vishnu par kripa kee,
Aur kar diya Unhe prapann aur sampann.

MahaShivratri ka paawan parv,
Maa Parvati aur Shivji ke vivaah ka bhi prateek hai,
Jo bhakt is din Shiv ka stavan kar ke Unhe prasann hai karta,
Kehte hain ki uske liye moksh nazdeek hai.

Adhyaatmik unnati ke liye MahaShivratri ka hai anokha mahatva,
Is tyohaar par sadhna karne se praapt ho sakta hai atmic tattva.
Shiv tattva ka gyan hee param gyan hai,
Isliye bhi yeh tyohaar itna mahaan hai.

Ghee shakkar shehed dahi aur doodh se hota hai,
Shivlinga ka abhishek bhakton ke dwaara,
Sab Shivji ka gungaan karte hain,
Bahut hee sundar hota hai nazaara.

Kuch jann aisa bhi maante hain,
Ki is raat ko Shivji taandav nritya Hain karte,
Samudra Manthan mein jabb Shivji vish kanth mein rakh kar Neel kanth huey,
Kuch jann MahaShivratri par isliye Shiv ka Shukrana hain karte.

Tarehn tarehn kee vidhiyon se,
Pooja hoti hai Shivji ke sammaan mein,
Antt karan ko jagaane hetu,
Bhakt saari raat baithte hain dhyan mein.

Guruji ke bhakton ke liye MahaShivratri bahut hee vishesh tyohaar hai,
Guruji ke satsang hain hotey aur sajtaa Unka darbar hai,
Langar prasad aur bhakton ka naach gaana,
In sabse vaatavaran hota hai divya aur suhaana.

Shivji ke geeton ka hota hai shravan aur manan,
Kaheen hota hai kirtan toh kaheen koi gaata hai bhajan,
Shivoham ka ruhaani satya aur divya ehsaas,
Ye bhi banaata hai is parv ko bahut khaas.

Guruji MahaShiv ka Hain avataar,
Karne aaye Ve sangat ka uddhaar,
Unkee sharan mein mil kar manaayein,
MahaShivratri ka paawan tyohaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

MahaShivratri Ka Paawan Tyohaar (03/11/2021)

Leave a comment