March 12, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1118
Saalgirah
Is varsh kee MahaShivratri gayi beet,
Sabne gaaye Shivji kee mahima ke geet,
Guruji ke bhakton ne bhi dikhaayee apni preet,
Kyunki Guruji Hain MahaShiv aur Hain sab bhakton ke meet.
Har varsh kee MahaShivratri sadhna karna sikhaati hai,
Bhakton ke mann ke timir ko mitaati hai,
Adhyatmik gyan kee jyot jalaati hai,
Saralta aur saadagi kee raah dikhaati hai.
Is seekh ko yaad rakhna farz hai hamaara,
Kyunki beeta waqt kabhi na aaye phir dobara,
Har MahaShivratri ko maan kar ek imtehaan,
Apni adhyaatmik unnati ko hum anivaarya lein jaan.
Karte rahein sewa, simran, aur dhyan,
Jis se tarr jaayein hamaare praan,
Uchchaaran kar ke mantra jaap ka,
Praayashchitt kar lein hum apne paap ka.
Guruji kee kripa se gyan kee jyot jalti rahegi,
Hamaari bhakti Unkee mehar se phalti rahegi,
Saralta aur saadagi aayegi vyavhaar mein,
Komalta aur nirmaltaa aayegi hamaare vichaar mein.
Jaise Brahmaji aur Vishnuji se huey Shivji prasann,
Vaise hee Guruji karenge hum sabko sampann,
Shuddhi se, subuddhi se,
Bhakti se, shakti se,
In sabke dwaara hum ruhaaniyat kee seedhi chadh paayenge,
Aur Guruji ke dikhaaye raaste par aagey badh paayenge.
Har MahaShivratri ko adhyaatmik unnati ka tyohaar jaankar,
Simran aur dhyan ko anivaarya maankar,
Har din simran mein aur bhi ramte jaayein,
Har MahaShivratri par is unnati kee saalgirah ko hum manaayein.
Din beet-te beet-te beet jaayenge jeevan ke varsh,
Hamaari paawan pragati se Guruji ko hoga harsh,
Aayiye shubh kaam mein na karein koi bhi vilamb,
Apni adhyaatmik unnati kee saalgirah kee tayyaari ka karein aarambh.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja