March 19, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1125
Badalte Haalaat
Kitna badla badla sa hoga ye jahaan,
Jabb is mahamaari ko alvida kahega,
Kisee kisee ko dekhkar khushi hogi,
Aur kisee kisee ko yaad kar ke aansoo bahega.
Kyunki kitnon kee jaan le chuki hai ye mahamaari,
Aur aagey bhi shaayad legi,
Aise mein kewal ruhaani shakti hee,
Dil ko saantvanaa degi.
Vaise bhi badal raha hai itna kuch har pal,
Kal nahin thaa aaj ke jaisa, aur aaj jaisa na hoga kal,
Kuch na kuch toh badalta hee hai, chaahe hamein maalum chale ya nahin,
Maan lein ki niyati aur karam ke anusaar ho raha hai sabb sahi.
Karam aur niyati ke beech mein hastakshep karna,
Kewal Guruji ka adhikaar hai aur Unkee hee kaabiliyat,
Vahee nirdhaarit karte hain jeena aur marna,
Aur Ve hee lekha phir likh sakte Hain, ye bhi hai hakeekat.
Guruji kee sharan mein rehkar badh jaati hai ruhaani shakti,
Aur samarpan ke dwaara sweekriti ka saahas deti hai bhakti,
Sweekriti badalte haalaaton kee,
Sweekriti chhoti aur badi baaton kee.
Guruji, aisee kripa keejiye sabpar,
Ki Aap mein gehri hoti jaaye hamaari bhakti,
Burey haalaat mein sabr aur achche haalaat mein neevenpann kee,
Aapke naam kee bhakti hee hai ek maatra yukti.
Jaise bhi hon haalaat,
Buss, Aap har pal rehna hamaare saath,
Aapka sanaatan saath,
Hai bhakton ke liye sabse badi daat.
Aapki is daat se Daata,
Juda rahega sadaa Aapse naata,
Chaahe haalaat ho jaise shaant samundar,
Ya ho jaaye jaise jwaar bhaata.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja