Aap Hee Sarvesh Hain (03/23/2021)

March 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1129

              Aap Hee Sarvesh Hain

Pyaare Guruji,

Hum sab insaan hain naadaan,
Aap Hain MahaShiv Bhagwaan,
Aap hee keejiye uddhaar,
Aap hee sanvaariye sansaar.

Mahamaari, beemari, laachaari,
In mein raahat deejiye Prabhu,
Har insaan ke dil mein dooje ke liye,
Bhale kee chaahat deejiye Prabhu.

Bahut zaroorat hai bhaav kee shuddhi kee,
Bahut aawashyakta hai kalyaankaari buddhi kee,
Taaki sadbhaav kee sugandh ho vaataavaran mein,
Aur mann bhaari na ho janam ya maran mein.

Guruji, hamein sahi disha dikhaayee hai Aapne,
Uspar chalne kee sumat bakhshiye daata,
Sansaar ke uddhaar mein na ho vilamb,
Apni mehar se keejiye uddhaar ka aarambh.

Jo pal Aapko lagey sahi, uchit hoga vahee pal,
Uskee intazaar mein bitaa denge hum uss se pehle waale pal,
Jinhe jaagriti aa gayi hai, Unhe aagey badhte rehne ka deejiye ashirwaad,
Aur jo abb bhi agyaan kee neend soye hain, Unhe deejiye chetna roopi prasad.

Hum Kartikeya ya Ganesh ke aagey toh bilkul tuchh hain,
Par hum bhi Aapke bachche hain, isliye rishte mein Aapke kuch hain
Aap toh dariyadil dayalu Dhanadeep Devesh Hain,
Hamaare liye Aap hee naath aur Aap hee Sarvesh Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Hee Sarvesh Hain (03/23/2021)

Leave a comment