Mann Kee Yuddh Bhoomi (03/25/2021)

March 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1131

Mann Kee Yuddh Bhoomi

Raahi ke mann kee yuddh bhoomi mein,
Dharma sankat kee mushkil thi aan padee,
Maansik roag ko aur chintajanak banaane,
Uspar mano-vikaar ke roag kee chaadar jaa chadhee.

Aaspaas thaa kalyuga ka kohra,
Isliye dikh nahin raha thaa kuch bhi saaf,
Bheetar ke dvandva mein,
Kisee bhi paksh ko na kar sak raha thaa veh maaf.
Isee duvidha mein jeeye jaa raha thaa,
Kisee se bhi usne kuch na kaha thaa.

Bhool gaya thaa ki zindagi hai pal do pal ka safar,
Guruji ka simran karna bhi chod diya thaa,
Kalyugi hawaa ka hua thaa uspar aisa asar,
Ki Guruji se toh usne muh hee moad liya thaa.

Jabb se uska zameer thaa soya,
Usne itna kuch thaa khoya,
Dhan daulat aur roab se veh bigad gaya,
Uskee maasumiyat ka bhola ankur ujad gaya.

Dil aur dimaag kee bhi ladaayee hoti rehti thi,
Mann manmaani karna chaahta thaa aur atma chetna kee baat kehti thi.
Guruji kee baatein aati thein yaad,
Lekin bhool jaata thaa unhe kuch hee pal ke baad.

Mushkil ho gaya uske shareer ka bhi kaam karna,
Aur uss se bhi zyada mushkil ho gaya uska aaraam karna,
Na veh idhar ka raha, na veh raha udhar ka,
Tabb ek awaaz ne usey jhanjhod kar kaha,β€œAbb toh tu sudhar ja.”

Saamne dekha toh aayiney mein usey dikha apna chehra,
Uska apna anta-karan de raha thaa uspar pehra,
Aankhein bandd keen usne toh dikhi usey Guruji kee sowmya soorat,
Aur usne thaana ki yahee hai kaaya palatne ka mahoorat.

Guruji kee kripa se aa gayi jaagriti,
Sanvarne lagi uske charitr kee aakriti,
Vikaar honei lagey kumm,
Chetna mein aane lagaa dumm.

Guruji se judne ke mahatva ka hua usey ehsaas,
Aur logon se judne ka chod diya usne prayaas,
Saamanjasya ka farz pehle jaise apni oar se bakhoobi nibhaaya,
Guruji ko usmein hua parivartan nazar aaya.

Yuddh bhoomi mein hui shaanti,
Jabb vahaan chhaa gayi Guruji kee kaanti,
Guruji ne parakh lee uskee neeyat,
Aur dobara likh di uskee niyati kee vasiyat.

Hum sabb ke bheetar bhi shaayad hota ho aisa koi yuddh,
Kyun na Guruji kee dee hui prerna se hum karein uss bhoomi ko shuddh,
Hum shraddha se sudhaar ka prayatna karenge,
Toh Guruji ko veh sachchaa lagega,
Aur hamaara sachcha prayaas dekhkar,
Unhe kitna achchaa lagega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mann Kee Yuddh Bhoomi (03/25/2021)

Leave a comment