March 29, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1135
Pyaare Parwardigaar Hamaare
Poojya Guruji, samajh leejiye isey Aap hamaari aas,
Ya isey maan leejiye hamaari ardaas,
Hamein Apne se duur kabhi na karna,
Hum kaheen ke na reh jaayenge varna.
Samajh leejiye isey hamaara Aap par vishwaas,
Ya isey maan leejiye Aapko khush karne ka hamaara prayaas,
Aapke dar ke alaawa sooojhta hee nahin koi aur dar,
Duur ho gaya hai bin murshid aur bin Khuda ke jeevan jeene ka darr.
Kyunki Aap mein hee murshid hai hammara,
Aap mein hee baste Hain hamaare Khuda,
Aap mein hee mata, pita, maargdarshak,
Aur Veh meet, jo kabhi na hoga juda.
Isliye samajh leejiye isey hamaari khudgarzi,
Ya phir hamaari guzaarish manvaane kee Aapse kee gayi arzi,
Rehne dena sadaa hamein Apni sharan mein,
Abb toh jeena marna ho buss Aapke charan mein.
Aap hee Hain hamaare har din ke sooraj,
Aap hee Hain disha dikhaane wale Dhruv ke taare,
Isliye aye Maalik, aye pyaare Parwardigaar hamaare,
Hum toh is paar bhi, aur uss paar bhi Hain buss Aapke sahaare.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja