March 21, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1127
Tanhaayee Mein Shehnaayee
Kalyuga kee is bheed mein,
Jabb ehsaas hota hai tanhaayee ka,
Tabb dil ko bahut sahaara deta hai,
Ehsaas Guruji kee vadiyaayee ka.
Ek Guruji hee Hain jo dil kee vyatha ko samajhte Hain,
Guruji kee kripa se uljhe huey maajre sulajhte hain,
Ek Ve hee Hain jo andhere mein ujaala laate Hain,
Jabb sab mujhe bhool jaate hain, Guruji tabb bhi mujhe bulaate Hain.
Phir jabb tanhaayee mehsoos hoti hai,
Aur aankh Guruji ke deedar ke liye roti hai,
Aise mein Guruji ka simran hee bachaata hai,
Aur Unka naam Unke kareeb laata hai.
Insaan hoon, naadaan si,
Agyaani hoon, anjaan si,
Kayiyon ke jaise hoon is ruhaani safar mein,
Guruji hee sambhaal rahe Hain har din kee guzar basar mein.
Guruji kee sharan mein udaasi kee gunjaaish nahin,
Lekin kabhi kabhi niraasha ho jaati hai kyunki hum insaan hain,
Bhool jaate hain hum ki yeh toh buss ek pehlu hai safar ka,
Guruji ko hee anjaam maalum hai is dagar ka.
Guruji kee mehar har pal baras rahi hai,
Swayam ko yahee hai yaad dilaana,
Jitna ho sakey simran karna hai,
Vahee kaam aayega jabb yahaan se hongei ravaana.
Simran karte karte goonjne lagegi,
Mann mein Guruji ke naam kee shehnaayee,
Aur Guruji kee kripa se isee prayaas se,
Duur ho jaayegi dil kee tanhaayee.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja