Parwardigaar Ka Deedar (04/30/2021)

April 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1167

        Parwardigaar Ka Deedar

Guruji kewal dekhein bhaav tumhaara,
Unhonei sambhaala hua hai jeevan tumhaara,
Tum kyun dhoondhte ho idhar udhar murshid koi dooja,
Tum karo MahaShiv Guruji kee pooja.

Poojo Unko pyaar se,
Pyaar se karo Unse baat,
Har pal tumhaare sangg chalenge,
Kyunki Ve sada Hain tumhaare saath.

Isliye swayam ko akele mehsoos na karna,
Na ghabrana, na himmat haarna, na hee darna,
Ve agam agochar Hain aur Hain antaryaami,
Tumhaare mann kee har soch ko jaante Hain Ve jagg ke swami.

Is pooja mein na rakhna koi ahem,
Is pooja mein na rakhna koi vehem,
Is pooja mein rakhna neevenpann ka bhaav,
Is pooja mein beshaq dikha dena har ghaav.

Is pooja mein rakhna ekaagrataa aur pavitrataa,
Is pooja mein rakhna vishwaas kee dridhta,
Is pooja se milegi mann ko sthirtaa,
Is pooja se mitegi mann kee birha.

Guruji ke liye mann mein jo pyaar hoga,
Uss pyaar ka pooja mein ramne se atma ka nikhaar hoga,
Mann kee aankhon ke saamne Guruji ka dwaar hoga,
Aur tumhe Parwardigaar ka deedar hoga.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Parwardigaar Ka Deedar (04/30/2021)

Sukh Kee Nayee Paribhaasha (04/29/2021)

April 29, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1166

       Sukh Kee Nayee Paribhaasha

Har din jeevan mein aata hai,
Lekar ek nayee ummeed aur nayee asha,
Har din ko jeete jeete insaan ke mann mein,
Jaagne lagti hai phir koi nayee abhilasha.

Itna mahatva dete hain insaan is abhilasha kee poorti ko,
Ki buss usee mein lagaa dete hain saari oorja aur sfoorti ko,
Aur poori ho jaaye toh agali abhilasha ke bann jaate hain gulam,
Na poori ho toh khushiyon par lagaa dete hain poornaviraam.

Guruji kehte Hain β€œasal cheez koi mangda nahin,”
Aur hum sab Unke kathan ke arth ko jaanein,
Yeh bhi jaanein ki veh hamaare kalyaan ke liye hai,
Phir bhi hum Unka kehna na maanein.

Hamaare bachche hamaari baat na maanein,
Toh hamein bhi nahin lagta hai achchaa,
Guruji ko bhi achchaa nahin lagta hoga jabb hum Unka kaha na maanein,
Ye kehna bhi phir hua sachchaa.

Kya karein, sabka safar alag hai aur sabki alag hoti hai abhilaasha,
Aur sabke liye jeevan ke sukh kee alag alag hoti hai paribhaasha.
Isliye doojon kee pasand se jeevan jeene ke bajaaye,
Khud kee buddhi aur shuddhi se jeeyein, toh sachcha anand aaye.

Abhilaasha kee poorti ko sukh banaane ke bajaaye,
Sukh ko banaa lein apni abhilaasha,
Aur phir bhautikvaad mein bhatakne ke bajaaye,
Apnaa lein sukh kee nayee paribhaasha.

Aisee paribhaasha, jismein sukh miley sewa, simran aur dhyan mein,
Sukh miley adhyatmik gyan mein,
Sukh miley Guruji ke naam mein,
Sukh miley Unke charnon ke dhaam mein.

Jeevan ka bhog bhogein anand se,
Har pal taar judi rahe satchittanand se,
Vaani mein, vyavhaar mein,
Vandan mein, vichaar mein.

Baaki har abhilaasha ka anaasakti se karein aadar,
Lekin sanyam rakhna yaad rahe,
Jo ruhaani raaste se duur kare, uss se bachaayein Guruji,
Yeh Guruji se fariyaad rahe.

Phir dukh aur asantushti ke lamhe kumm hotey jaayenge,
Guruji Apni kripa se hamaare pehle ke paap bhi dhotey jaayenge,
Tripti aur anaasakti ke bal par aagey chalkar aasaan hoga paana mukti,
Aur Guruji kee bhakti degi ye sab karne kee shakti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sukh Kee Nayee Paribhaasha (04/29/2021)

Ashirwaad Kee Vrishti (04/28/2021)

April 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1165

             Ashirwaad Kee Vrishti

Greeshma ritu kee varsha ho,
Ya ho sharad ke mausam kee vrishti,
Baarish kee boondein toh vaheen girti hain,
Jahaan padti hai unkee drishti.

Kyunki Ve Ishwar kee raza mein raazi rehti hain,
Jahaan Ishwar kahein, ve vahaan behti hain,
Tabb takk girti rehti hain jabb takk hukm nahin hota rukne ka,
Sadaa nibhaati hain farz Ishwar ke aagey jhukne ka.

Hamein toh Guruji mein hee miley hain Ishwar,
Jinka koi bhi ashirwaad nahin hota hai nashwar,
Jahaan Guruji kee padti hai paawan drishti,
Vahaan hoti hai ashirwaad kee vrishti.

Aur yeh tathya kitna prabal hai,
Ki Guruji kee drishti sab par har pal hai,
Isliye hum sabko har pal mil raha hai Unka ashirwaad,
Chaahe hamein rahe ya na rahe yaad.

Isliye zaroori hai har pal karna Unka shukrana,
Taaki milta hai har pal jo ashirwaad ka khazaana,
Guruji ka hum bayaan karte rahein aabhaar,
Aur Guruji dekhein ki hum sach mein hain shukrguzaar.

Dekhna, phir badh jaayega anand bheegne ka is baarish mein,
Shukrana ka ehsaas bass jaayega hamaari har guzaarish mein,
Jaise jaise hoti rahegi har jann par ashirwaad kee vrishti,
Vaise vaise sanvarti jaayegi Maalik kee hee banaayee hui yeh srishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ashirwaad Kee Vrishti (04/28/2021)

Sankatmochak Hanuman (04/27/2021)

April 27, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1164

Β  Β  Β  Β  Β Sankatmochak Hanuman

Vayu putr Kesari nandan,
Aayiye, karein sab Unka vandan,
Mata Anjana kee sundar santaan,
Hain sankatmochak Hanuman.

Janme Ve Shivji ke ansh se,
Isliye thei Ve maha paraakrami vansh se,
Baal leela Jinkee thi natkhat aur chanchal,
Aur hriday hameshaan se thaa atyant nirmal.

Sugreeva se hui Hanumanji kee mitrataa,
Unke har kaarya mein chhalakti hai pavitrataa,
Sabki sahaayata karna hai aaj bhi Unka dharam,
Kasht tal jaate hain uske jo karta hai Unka naman.

Shraddha aur samarpan ke prateek,
Jinke antar-mann mein hai Ram naam ka akhand deep,
Neevenpann aur bhakti ka swaroop,
Hai Unka itna ruhaani roop.

Solaahn kala nipun aur dus mahavidyaaon ke gyaata,
Lakshman ke liye Sanjeevani booti laakar baney Ve jeevan daata,
Sita Maa ko bachaane mein thaa Unka adviteeya yogdaan,
Itne kalyaankaari Hain Mahabali mahaan.

Saath dein sadaa Ve sachchaayee ka,
Vaadaa nibhaayein sadaa achchaayee ka,
Deen dukhi ka rakhein khayaal,
Bann kar param suraksha kee dhaal.

Devi Devtaaon mein anokha mahatva,
Hai Bahubali Hanuman Bhagwaan ka,
Shivji se mila Unhe β€˜Mrityunjaya’ ka vardaan,
Unka amaratva hai ashirwaad is vardaan ka.

Sabhi ko Hanuman Jayanti kee pyaar bhari shubhkaamnaayein,
Aayiye sab apne antar-mann mein bhakti kee jyot jalaayein,
Yeh sansaar jo hua hai is kalyugi beemaari aur vikaaron se beemar,
Uskee laachaari se bachaayenge Anjaneya MahaShiv Guruji ke avataar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sankatmochak Hanuman (04/27/2021)

Shukr Hai (04/26/2021)

April 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1163

                    Shukr Hai

Tumhe mila hai is manch par kirdaar insaan ka,
Shukr hai saath mila hai Guruji mein basey Bhagwaan ka,
Isliye le lo tum sahaara Guruji ke naam ka,
Jis se tumhe daras milega Param dhaam ka.

Jabb kabhi lagta hai tumhe ki tumhaare kitne ashru bahey hain,
Aur tumne Guruji se apne saare nivedan baar baar kahey hain,
Itminaan rakho kyunki Guruji tumhaari mushkilon par kaam kar rahey Hain,
Jiske liye Unhonei tumse kaheen zyada kasht sahey Hain.

Pichhle karmon ko badal nahin sakte tum,
Lekin Guruji lekha likh sakte Hain dobara,
Isliye Shukrana hee karte chalo Unka,
Taaki Unka pyaar sadaa baney tumhaara sahaara.

Atma-taras ka shikaar bann-ne na do tum swayam ko,
Dil mein na basne do kisee bhi andhvishwaas ya vehem ko,
Guruji toh chaahte Hain ki in sabse rahein Unke bhakt duur,
Taaki Unke bhakton par chhaa jaaye Unka noor.

Har haal mein karte chalo Shukrana,
Kyunki haq se zyada khushi de rahe Hain Guruji,
Aur tumhaari mushkilon ka adhiktar bhaar bhi,
Khud swayam par le rahe Hain Guruji.

Shukrana hee tumhe Guruji takk pahunchaayega,
Isliye har pal raho tum shukraguzaar,
Guruji toh kewal chaahein tumhaara bhola bhaav aur pyaar,
Unke charnon mein toh hai sukh aur shanti aparampaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shukr Hai (04/26/2021)

Guruji Ka Aanchal (04/25/2021)

April 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1162

 Guruji Ka Aanchal

Prem kee bhaasha,
Bin boley bhi kitne prem se samjhaate Hain Guruji,
Duniya ka tamaasha,
Apne aanchal mein baitha kar dikhaate Hain Guruji.

Chot jo deta hai agar zamaana,
Toh chandova banta hai Guruji ka aanchal,
Suraksha deta hai pyaar bhari,
Jabb kasht rahe hotey hain tal.

Jabb pareshaan karti hai koi uljhan,
Toh aanchal mein mere sir ko thap thapaakar,
Guruji bataa dete Hain suljhan,
Aur phir dete Hain safalta ka var.

Jabb Guruji kee aati hai bahut yaad,
Toh Ve sunte Hain milan kee fariyaad,
Aur Apne aanchal mein Apni khushboo se,
Milan karva dete Hain rooh ka rooh se.

Jabb dil karta hai ki Guruji se karoon mai baat,
Toh Ve na din dekhte Hain na raat,
Aur Apne aanchal mein mere sir par pherkar Apna haath,
Kar lete Hain Ve mujhse pyaari pyaari baat.

Jabb hoti hai kabhi koi niraasha,
Toh Ve barsaate Hain Apne aanchal mein asha,
Jo mere roam roam ko chhoo leti hai,
Aur mujhe nayee ummeed deti hai.

Jabb jabb mai karti hoon Guruji ka Shukrana,
Unka aanchal bann jaata hai phoolon se sajaa shamiyana,
Jis mein mai phir leti hoon jhool,
Aur har dukh dard ko jaati hoon bhool.

Yoon hee Apne hitkaari aanchal mein rehne dena mujhe mere daata,
Hameshaan hameshaan ke liye,
Taaki mujhe ye tasalli ho ki mainey jeevan ke sabb pal,
Aapke ashirwaad bhare aanchal mein jiye.

Isee kalyaankaari aanchal mein mujhe sambhaal lena,
Jabb yahaan se jaane ka aa jaaye pal,
Aabhaari rahoongi Aapki agar Aapke hee aanchal mein,
Meri is zindagi ka sooraj jaayega dhal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Aanchal (04/25/2021)

Meri Dua Hai Daata, Aapse (04/24/2021)

April 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1161

       Meri Dua Hai Daata, Aapse

Pyaare Guruji,

Bichh gaye hain ashirwaad ke phool,
Udd gayi hai har sanshay kee dhool,
Jo pehle dhundhla thaa, veh aane lagaa hai saaf nazar,
Aapki ibadat karne ka hee hai ye haseen asar.

Jabb se Aapko murshid hai mainey maana,
Har kaaraj mein Aapka haath hai, yeh jaana,
Isliye chaahe Aap dikhaayein koi raasta anjaan,
Mai uspar chal leti hoon Aapke aadesh ko maan.

Padi hai mujh par jabb se Aapki divya drishti,
Tabb se hui hai jeevan mein anokhe pyaar kee vrishti,
Pyaar Aapka, jo bilkul niswaarth aur anant hai,
Itne pyaare dhangg se baras kar jeevan mein laaya vasant hai.

Jeevan hai, isliye utaar chadhaav toh aayenge,
Aapne is safar mein yeh samjhaaya,
Aur jabb bhi koi kasht ya mushkil waqt aaya,
Aapne tabb bhi har pal saath hai nibhaaya.

Varna mumkin nahin thaa pahunchna jeevan ke is moad par,
Jahaan khadi hoon mai, Guruji, sab kuch Aap par chod kar,
Aapse hee hoti hai din aur raat,
Aapse chhipi nahin hai koi bhi baat.

Shaayad utna mai bhi swayam ko nahin jaanti,
Jitna Aap mujhe jaante Hain,
Aur is baat ka bhi mujhe bahut santosh hai,
Ki Aap mujhe bhi Apni bachchi maante Hain.

Meri dua hai daata, Aapse,
Ki Aapke har bhakt, har bachche ko miley prasannata,
Guruji, kripa kar Apne ashirwaad se,
Apne har bachche ko deejiye sampannata.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Meri Dua Hai Daata, Aapse (04/24/2021)

Apne Charnon Se Duur Na Keejiye (04/23/2021)

April 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1160

Apne Charnon Se Duur Na Keejiye

Pyaare Guruji,

Aap toh Hain roop Bhagwaan ka,
Hum nibha rahe hain kirdaar insaan ka,
Aapke bin toh yeh gati nahin,
Aapke bin sumati nahin.

Kinkar hain Aapke,
Ya phir shaayad utnee bhi aukat nahin,
Aisa kuch bhi nahin hai hamaare paas,
Jo Aapki dee hui saugat nahin.

Yeh jeevan, yeh shareer,
Yeh mann, yeh taqdeer,
Ye laukik aisho-aaraam,
Ye dincharya ke kaam.

Saans bhi na le sakein agar Aapki izaazat na ho,
Kabhi anand na paayein agar Aapki inaayat na ho,
Ye sab jaante huey bhi na jaane kyun ho jaata hai ahankaar,
Ye jaante huey ki veh le jaayega hamein durgati ke dwaar.

Ahankaar ke paap se hamein bachaa leejiye,
Kripa kar hamein subuddhi deejiye,
Ki hum apne dil dimaag mein ahankaar ko na basne dein,
Swayam ko ahankaar se baney huey jaal mein na phansne dein.

Varna hamein toh baad mein padega jurmaana bharna,
Is hakeekat se hamein chahiye darna,
Aur Aapke prem ke aadar ko dharam maankar,
Neevenpann se chahiye hamein har karam karna.

Yeh buddhi sammilit ho jaaye hamaare vichaar aur vyavhaar mein,
Aisee kripa kar deejiye, pyaare Guruji,
Imtehaan bhi lene Hain toh beshaq le leejiye hamaare,
Lekin kabhi Apne charnon se duur na keejiye, pyaare Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Apne Charnon Se Duur Na Keejiye (04/23/2021)

Niraala Saath (04/22/2021)

April 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1159

                   Niraala Saath

Ishwar se mulaakaat hui,
Bin boley hee sab baat hui,
Ishwar ne sanket diya,
Ki Guruji ne mujhe sharan mein hai liya.

Yeh sunkar mai hui thodi si hairaan,
Kyunki mai thi Unke is nirnay se anjaan,
Ishwar ka mainey kiya shukrana,
Lekin, na samjhi kaise hai yeh rishta nibhaana.

Naadaan thi isliye na jaan paayi,
Pyaare Guruji kee vaddi vadiyaayee,
Aur ye ki Ve toh khud hee mujhe Apne se jod lenge,
Aur Apna pyaara ashirwaad mujhe denge.

Guruji ne Apni maujoodagi ka ehsaas karaana jabb kiya shuru,
Tabb mai samjhi kyun mujhe Ishwar ne diye Hain Guru,
Guruji mein basey MahaShiv ke sangg toh ho gaya aisa naata,
Ki Unmein mujhe mil gaye maat-pita, meet, aur bhraata.

Zindagi bakhshi Guruji ne,
Jabb lagg raha thaa ki mera jaane ka waqt hai aa gaya,
Phir swaasthya ko is kadar sudhaara, Barsaa kar mujh par Apni aseem daya.

Unke vilamb mein bhi har baar,
Chhupa hota hai shubh aarambh,
Chaahe kaheen jaa rahi hoti hoon,
Ya karna ho kisee kaarya ka prarambh.

Sehenashakti kitnee badhaayee hai Guruji ne,
Aur meri saari chinta bhi le lee Unhonei,
Nayee zindagi dekar jaan bachaayee hai Guruji ne,
Nishchint hokar rehne kee shakti de dee Unhonei.

Yoon kahoon, ki Guruji ne haath thaam liya hai jabse,
Har sukh dukh mein is nacheez ne Unhee ka naam liya hai tabse,
Unke sangg toh andhere mein bhi ujaala hai,
Mere Guruji ka yeh ruhaani saath bada hee niraala hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Niraala Saath (04/22/2021)

Parampoojya Pyaare Guruji (04/21/2021)

April 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1158

       Parampoojya Pyaare Guruji

Saundarya kee sabse sowmya soorat,
Mamta kee manohar moorat,
Har bhakt ko jinkee hai zaroorat,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Sukhdaayee hota hai sadaa jinka simran,
Mangalmayee hota hai hameshaan jinka manan,
Shubh aur shuddh hai jinka shravan,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Chayyn deta hai jinka chintan,
Vimal hai jinka vandan,
Suramya hai jinka spandan,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Ummeed hai jinke dar par,
Dete Hain daatein jo bhar bhar kar,
Aashirwaad dete Hain jo umr bhar,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Bhaav bhari hai jinkee bhakti,
Sharan mein jinkee miltee hai shakti,
Mehar kar ke jo dete Hain mukti,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Nipunta mein sabse nipun,
Hain Jin mein anginat gunn,
Buss Unhee kee laagi hai dhun,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Parampoojya Pyaare Guruji (04/21/2021)