Guruji Kee Vadiyaayee Ka Vaasta (04/05/2021)

April 5, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1142

  Guruji Kee Vadiyaayee Ka Vaasta

Guru aur bhakt ke pyaar mein koi kintu parantu nahin,
Ahem kee bhi jageh nahin hai pyaar mein,
Ye toh ek aisa jazbaat hai,
Jo bayaan ho buss bhaav ke ikraar mein.

Na Guruji kuch kahein na hum,
Phir bhi ho jaati hai sunvaayee,
Fark nahin padta ki kisne pehle yaad kiya,
Ya phir kisne aane mein der lagaayee.

Sabb Guruji kee leela hai,
MahaShiv Hain Ve, Hain leela dhaari,
Sharan mein lete Hain har jann ko,
Jabb aati hai jiskee baari.

Na Ve karein naap toal, na koi sauda,
Na Ve dekhein jaat paat, aur na dekhein Ve hamaara ohada,
Chaahe jo bhi ho yahaan hamaara khitaab,
Guruji ke saamne hum sabb Hain khuli kitaab.

Jis pyaar ke liye jagg taras raha hai,
Veh pyaar toh Unka baras raha hai,
Changey karam kar ke is pyaar kee karni hogi kadar,
Kyunki har pal hum sab par hai Guruji kee nadar.

Isliye kintu-parantu ko chod kar,
Ahem se muh moad kar,
Guruji ke pyaar ka vinimay karein pyaar se,
Tarr jaayein Unke ruhaani deedar se.

Na swaarth ho is pyaar mein,
Na ho koi shart ya milaavat,
Is pyaar mein koi muqaabla nahin,
Aut na hee hai dhokha ya bagaavat.

Yeh pyaar hee bhakti ka shringaar hai,
Is pyaar se hee bhakti par nikhaar hai,
Is pyaar se sadaa sajaayein apne antar-mann ka raasta,
Hamein toh hai Guruji kee vadiyaayee ka vaasta.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Vadiyaayee Ka Vaasta (04/05/2021)

Leave a comment