Mati Kee Disha Aur Dashaa (04/07/2021)

April 7, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 1144

Mati Kee Disha Aur Dashaa

Jaise hoti hai vaayu kee gati,
Vaise hee hai insaan kee mati,
Kabhi ek disha mein, kabhi dooji disha mein,
Aksar nahin hai behti sthirta kee dashaa mein.

Jaise vaayu baadalon ko apne sangg tehlaati hai,
Vaise hee mati khayaalon ko sehlaati hai,
Kabhi soche ek baat, kabhi dooji soch laaye mann mein,
Isliye halchal machi rehti hai har pal dhadkan mein.

Kyun na simran se sthir karein mann aur mati ko,
Simran se mann mein ghar banaane dein sumati ko,
Simran se mati roopi vaayu ko honei dein hum shaant,
Aur simran se aabaad karein apna ekaant.

Na karein Guruji ko bhoolne kee naadaani,
Unke naam se mann kee vaayu ko banaayein suhaani,
Guruji ka naam lekar simran mein,
Unka aashish paayein jeevan mein.

Mati kee disha jabb simran kee oar lekar jaayegi,
Toh mann kee vaayu shaant aur dheer ho jaayegi,
Phir uskee sthirtaa kee dashaa se sukhad ho jaayega spandan,
Jis se prafullit hokar khil uthega mann ka upvan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Mati Kee Disha Aur Dashaa (04/07/2021)

Leave a comment