Mata Rani Ke Nau Avataar (04/19/2021)

April 19, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1156

           Mata Rani Ke Nau Avataar

Mata Rani ke nau avataar,
Inko Shukrana baarambaar,
Jinhonei vadh kiya Mahishasur daanav ka,
Aur aaj bhi uddhaar karein jo maanav ka.

In nau avataaron ko samarpit hain ye nau din,
Maana jaata hai ki kalyaan nahin hai Unke bin,
Aayiye, dekhein kaunse hain Mata Rani ke nau avataar,
Jinke sammaan mein Navratre manaata hai saara sansaar.

Shail raaj Himvaan kee putri Parvati Maa,
Jinhei Shailputri hai kaha jaata,
Navratron ka pehla din,
Inhe samarpit hai kiya jaata.

Doosra navratra hai Brahmachaarini Maa ke sammaan mein,
Jo sikhaatee Hain pyaar, wafaa, aur gyan,
Rudraksha hai inka gehna,
Aur haathon mein Kumbha leti Hain Ve thaam.

Sher par sawaar dashbhuja aur teen netra wali,
Chandraghanta Devi uthaati Hain shastra haath mein,
Chaandni raat mein sheetal hawaa kee bhanti,
Pradaan karti Hain Ve mann ko sthirtaa, shuddhi, aur shanti.

Chauthi raat mein Mata Kushmanda kee pooja hai hoti,
Singh vaahini mata ke abha mandal mein hai sooraj kee si jyoti,
Goad mein baalak Skand ko liye Skandmata ka hai paanchva navratra,
Manddbuddhi ko bhi banaa deti Hain Ve gyan saagar ka paatr.

Chaar bhujaaon wali Katyayani Maa chhathe navratre par Hain pooji jaati,
Apne paraakram se Ve anudaan aur raksha Hain kar paati,
Saatvaan navratra agyan ke timir ko mitaane waali Kalaratri ke Mahaatmay mein hai manaaya jaata,
Aathvein navratre par pooji jaati Hain shanti aur daya barsaane wali MahaGauri Mata.

Kamal par viraajmaan Maa Siddhidatri Hain nauvaan avataar,
Mata ke bhakt poojte Hain in avataaron ko baarambaar,
Ardhnaareeshwar roop mein Shiv Shakti dono Hain samaaye,
Is roop ko poojne se bhi dukhon ka antt ho jaaye.

Guruji kee kripa aur karuna se,
Navratron ke gehre arth ko bhi jaanein,
Shiv aur Shakti dono ka prataap hai jinmein,
Unn Guruji ka hum kehna maanein.

Shareer ke nau dwaaron se,
Aagey jaane ka karein prayatna,
Dusvein dwaar takk pahunchne ka,
Karein hum shraddha se jatna.

Guruji ke simran aur dhyan se,
Adhyatmik seedhi par chadh jaayein hum,
Ek dooje ko navratron kee mubarak dein,
Aur preet kee reet nibhaayein hum.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mata Rani Ke Nau Avataar (04/19/2021)

Leave a comment