Anokhi Oonchaayee (04/20/2021)

April 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1157

             Anokhi Oonchaayee

Kya rakha hai laukik haisiyat mein,
Palak jhapakte hee badal jaati hai,
Mainey rakhta hai ki bheetar se kya hai vaastavikta insaan kee,
Lekin kisee mein bhi nipunta nahin hai iskee asal pehchaan kee.

Oopari haisiyat kee buniyaad par tikey rishte,
Haisiyat ke hotey hain mohtaaj,
Bhautik dhan daulat sanchaalak bann kar,
Karte hain in rishton par raaj.

Tu parva na kar kisee kee haisiyat kee,
Tu dua kar sabki khairiyat kee,
Is dua mein hai tere dil kee sachchaayee,
Is dua mein hai tere chitt kee achchaayee.

Jab tu karega Guruji se yeh pyaar bhari dua,
Ve dekhenge ki teri dua ne kitnon kee zindagi ko hai chhua,
Toh Unkee mehare-nazar tere daaman par bhi padegi,
Aur Unkee divyataa kee lau tere noor par bhi chadhegi.

Tere chehre ko dekhkar loag samajh jaayenge,
Ki tere murshid kee itnee vaddi hai vadiyaayee,
Dhan daulat toh pal do pal ke mehmaan hain,
Lekin tere murshid kee mehar se teri haisiyat chhoo legi ek anokhi oonchhaayee.

Aisee oonchaayee, jahaan neevanpann gehna hai,
Jahaan naam hee hai sabse anmol dhan,
Jahaan Guruji ke bhakt honei kee haisiyat se,
Guruji ke mann se mil jaata hai bhakton ka mann.

Is se oonchi koi haisiyat nahin hai,
Yahee haisiyat ruhaaniyat ke liye sahi hai,
Jahaan Guruji ke sangg aisa pyaara rishta hai ki kabhi koi bhi sanshay nahin,
Jahaan oonche hokar bhi itne neeven raho ki kabhi girne ka bhi bhayy nahin.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Anokhi Oonchaayee (04/20/2021)

Mata Rani Ke Nau Avataar (04/19/2021)

April 19, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1156

           Mata Rani Ke Nau Avataar

Mata Rani ke nau avataar,
Inko Shukrana baarambaar,
Jinhonei vadh kiya Mahishasur daanav ka,
Aur aaj bhi uddhaar karein jo maanav ka.

In nau avataaron ko samarpit hain ye nau din,
Maana jaata hai ki kalyaan nahin hai Unke bin,
Aayiye, dekhein kaunse hain Mata Rani ke nau avataar,
Jinke sammaan mein Navratre manaata hai saara sansaar.

Shail raaj Himvaan kee putri Parvati Maa,
Jinhei Shailputri hai kaha jaata,
Navratron ka pehla din,
Inhe samarpit hai kiya jaata.

Doosra navratra hai Brahmachaarini Maa ke sammaan mein,
Jo sikhaatee Hain pyaar, wafaa, aur gyan,
Rudraksha hai inka gehna,
Aur haathon mein Kumbha leti Hain Ve thaam.

Sher par sawaar dashbhuja aur teen netra wali,
Chandraghanta Devi uthaati Hain shastra haath mein,
Chaandni raat mein sheetal hawaa kee bhanti,
Pradaan karti Hain Ve mann ko sthirtaa, shuddhi, aur shanti.

Chauthi raat mein Mata Kushmanda kee pooja hai hoti,
Singh vaahini mata ke abha mandal mein hai sooraj kee si jyoti,
Goad mein baalak Skand ko liye Skandmata ka hai paanchva navratra,
Manddbuddhi ko bhi banaa deti Hain Ve gyan saagar ka paatr.

Chaar bhujaaon wali Katyayani Maa chhathe navratre par Hain pooji jaati,
Apne paraakram se Ve anudaan aur raksha Hain kar paati,
Saatvaan navratra agyan ke timir ko mitaane waali Kalaratri ke Mahaatmay mein hai manaaya jaata,
Aathvein navratre par pooji jaati Hain shanti aur daya barsaane wali MahaGauri Mata.

Kamal par viraajmaan Maa Siddhidatri Hain nauvaan avataar,
Mata ke bhakt poojte Hain in avataaron ko baarambaar,
Ardhnaareeshwar roop mein Shiv Shakti dono Hain samaaye,
Is roop ko poojne se bhi dukhon ka antt ho jaaye.

Guruji kee kripa aur karuna se,
Navratron ke gehre arth ko bhi jaanein,
Shiv aur Shakti dono ka prataap hai jinmein,
Unn Guruji ka hum kehna maanein.

Shareer ke nau dwaaron se,
Aagey jaane ka karein prayatna,
Dusvein dwaar takk pahunchne ka,
Karein hum shraddha se jatna.

Guruji ke simran aur dhyan se,
Adhyatmik seedhi par chadh jaayein hum,
Ek dooje ko navratron kee mubarak dein,
Aur preet kee reet nibhaayein hum.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mata Rani Ke Nau Avataar (04/19/2021)

Mukti Ka Inaam (04/18/2021)

APRIL 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1155

                 Mukti Ka Inaam

Guruji dhoondhte Hain Apne har bhakt ko,
Aur phir Apni sharan mein Hain le lete,
Ek janam ya anek janmon ke baad,
Mukti ka inaam Hain dete.

Apni mahima ka karaate Hain Ve bakhaan,
Kyunki Ve Hain MahaShiv Bhagwaan,
Ashirwaad milta hai kar ke Unkee mahima ka shravan,
Hitkaari hota hai Unka kirtan aur manan.

Humse kuch nahin maangte Hain Ve,
Hum sabko saugat baant-te Hain Ve,
Saugat hamaari bhakti ke ikraar kee,
Saugat Apne beshart pyaar kee.

Hamaare bheetar bhi Hain Ve,
Aur Hain hamaare aaspaas,
Unhee kee karuna aur kripa se,
Hum lete hain har shwaas.

Isliye yathochit hai ki har shwaas se lekar Unka naam,
Hum rakhte chalein apni oar se Unka maan,
Kyunki Ve jo meharbaan na hotey,
Toh hum apne paapon ko kaise dhotey?

Unke naam ka ashirwaad hai
Hum bhakton ke liye ganga jal,
Is ashirwaad mein hai
Hamaara sampoorna uddhaar karne ka bal,
Hamaara har kasht is ashirwaad se jaayega tal,
Aur hamaari aradhana zaroor hogi safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mukti Ka Inaam (04/18/2021)

Aapki Mahima Mahaan (04/17/2021)

April 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1154

         Aapki Mahima Mahaan

Pyaare Guruji,

Aapke chehre par jo hai ye noor,
Vo jagaata hai bandagi ka suroor,
Aapke naynon kee gehraayee,
Bayaan karti hai Aapki vadiyaayee.

Aapka bin mere boley sab kuch samajh jaana,
Aapki karuna se meri har uljhan ka sulajh jaana,
Aapke chup rehne ka raaz,
Aapki divya awaaz,
Aapka diya hua har prasad,
Aapka prem bharaa ashirwaad,
Aapka pyaar jo chhalaktaa hai meri rooh par,
Aapka spandan jo taarta hai meri rooh ko choo kar,
Aapka diya hua sewa ka har pal,
Aapki rehmat jis se kasht jaate hain tal,
Aapka sanatan saath,
Aapka ashish deta hua haath,
Aapka sikhaaya hua Shukrana,
Aapka sadaa mehar barsaana,
Aapka bhakton kee har baat par dhyan,
Aapka diya hua jeevan daan,
Aapka anant gyaan,
Aapki mahima mahaan.

Umr bhar bhi Aapki taareef karoon,
Toh bhi veh hogi kumm,
Abb toh yahee arzoo hai mere maalik,
Ki Aapke hee charnon mein nikle dumm.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Mahima Mahaan (04/17/2021)

Prem Aur Pooja (04/16/2021)

April 16, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1153

                 Prem Aur Pooja

Guruji aur Unkee pooja se karein hum prem,
Aur prem se karein Guruji kee pooja,
Har pal jo saath nibhaayega,
Vo hai Guru bin aur na dooja.

Dete hain hum Guruji ko apne karmon ka bhaar,
Yaad rakhein Unhe dena hum bahut saara pyaar,
Guruji bhar denge hamaara har ghaav,
Ve buss chaahein ki hamaara shudh ho bhaav.

Kar lein Guruji se ardaas,
Ki hamaari pooja mein ho mithaas,
Mithaas Shukrane kee,
Aur har pal Unhe rijhaane kee.

Prem bhari pooja se Unhe rijhaayein,
Har pal Unkee mahima suney sunaayein,
Unkee pooja se aisa prem ho jaaye,
Ki Unkee pooja mann har pal kar paaye.

Koi vehem nahin, koi ahem nahin,
Buss Unka simran hai karna,
Unse seedhi taar jodni hai,
Aur kisee se bhi nahin darna.

Koi dikhaawe kee zaroorat nahin,
Chahiye koi shubh mahoorat nahin,
Kaheen bhi aur kabhi bhi mann mein karein simran,
Aur Unkee pooja mein magn kar lein apna mann.

Farz nibhaayein insaaniyat ka,
Anusaran karein ruhaaniyat ka,
Ghar parivaar kee oar kartavya adaa karein,
Guruji ko dil se yaad sadaa karein.

Dukh sehna ho jaayega thoda aasaan,
Samarpan karna bhi hoga saral,
Apni soch, apne karam par dhyan rahega,
Toh uttam hoti jaayegi unkee bhi fasal.

Jabb prem basega pooja mein,
Toh har oar phaylega uska spandan,
Aur kaayinaat ko mehsoos hoga,
Hamaara prem bhara vandan.

Guruji kee mehar se duniya ho jaayegi pehle se behtar,
Prem bhari pooja se har insaan jaayega tarr,
Jabb har insaan par hoga is prem aur pooja ka asar,
Toh kitna nishpaadya ho jaayega sabki zindagi ka safar.

Yeh prem aur pooja ka shubh sambandh,
Har taraf phailaayega apni sugandh,
Suvaasit ho jaayega hamaara antar- mann,
Aur mehek jaayega har bhakt ka jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Prem Aur Pooja (04/16/2021)

Baanvre Mann Wala Baanvra Bhanvra (04/15/2021)

April 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1152

Baanvre Mann Wala Baanvra Bhanvra

Baanvre mann wala baanvra bhanvra,
Idhar udhar mandraaya,
Kitne phoolon aur kaliyon mein jhaanka,
Phir bhi usey chayyn na aaya.

Hawaaon ka badaltaa saaz,
Usey samajh mein na aaya,
Phoolon ka madhu bhi,
Usey ashish na de paaya.

Duur kaheen usey aayi awaaz,
Ud kar gaya uss jageh ke paas,
Vahaan pahunchkar dekha usne ruhaani rangg,
Ho raha thaa vahaan Guruji ka satsang.

Guruji ke sundar Swaroop mein thi Shivji kee chhavi,
Itna tej aur noor thaa ki Sharma raha thaa ravi,
Aa rahi thi divya si khushboo,
Jis se aanandit hui bhanvre kee rooh.

Guruji ke darbar mein suni usne gurbani,
Shabad mein thi vyaakhya ke sangg kahaani,
Sangat baithi thi simran aur dhyan mein,
Sewa ho rahi thi Guruji ke sammaan mein.

Guruji kee kripa se usey bhi milee jal prasad aur chai prasad kee boond,
Usne bhaav vibhor hokar aankhein lee moond,
Veh bhi dhyan mein ho gaya leen,
Uskee har chinta ho gayi ksheen.

Shabad kee dhun mein magn thaa,
Kabb jaa baitha ek phool par, usey maalum nahin chala,
Na socha thaa usne kabhi ki kismat yoon khil jaayegi,
Lekin agley pal mein uska har kasht talaa.

Kisee sangat ne uss phool ko,
Guruji ke charnon mein kar diya arpan,
Buss, usee pal uss bhanvre ne,
Kar diya Guruji ko sarvsamarpan.

Uske kasht Guruji ne liye har,
Mitt gaya uss bhanvre ka har darr,
Uske hriday mein Guruji ka vaas ho gaya,
Aur veh sadaa ke liye Guruji ka daas ho gaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Baanvre Mann Wala Baanvra Bhanvra (04/15/2021)

Guruji Sangg Hain Tere (04/14/2021)

April 14, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1151

Guruji Sangg Hain Tere

Chaahe sapne toot jaayein,
Chaahe apne rooth jaayein,
Chaahe duniya wale chhoot jaayein,
Guruji sangg Hain tere.

Chaahe tufaani raat ho,
Chaahe moosalaadhaar barsaat ho,
Chaahe kitnee bhi bigdi baat ho,
Guruji sangg Hain tere.

Chaahe raahon mein shool ho,
Chaahe aankhon mein dhool ho,
Chaahe tujhse hui badi bhool ho,
Guruji sangg Hain tere.

Chaahe zamaane ka badalta rangg ho,
Chaahe dhyan kisee kaaranvash bhangg ho,
Chaahe tere dil aur dimaag mein jangg ho,
Guruji sangg Hain tere.

Chaahe safar mein tu uss paar ho,
Chaahe safar mein tu is paar ho,
Chaahe safar mein tu jis paar ho,
Guruji sangg Hain tere.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Sangg Hain Tere (04/14/2021)

Aa Gayi Baisakhi (04/13/2021)

April 13, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1150

                 Aa Gayi Baisakhi 

Aa gayi Baisakhi,
Lekar nutan varsh,
Guruji kee kripa se sabke mann mein,
Upje prem aur harsh.

Nayee fasal ke saath saath,
Aaya hai saal naya,
Pehle se bhi zyada barse,
Sab par Guruji kee daya.

1699 mein isee taareekh par,
Khalsa panth banaa Guru Gobind Singh ji ke shaasan mein,
Utsaah aur atma-bal bhi chhalak raha thaa,
Har khalsa mein aur unke anushaasan mein.

Is varsh mein toh Baisakhi ke din par,
Navratre bhi huey hain aarambh,
Shiv aur Shakti dono ne milkar,
Kiya Ardhnaareeshwar roop ka praarambh.

Vriddhi hui thi tabb srishti kee,
Jispar boondein padeen divya ashirwaad kee vrishti kee,
Guruji kee kripa se is vrishti se srishti roopi khet hain lehlahaaye,
Aur jaise beej boye jaayein, vaisi fasal har saal aaye.

Kheton mein kisaan beej boyein kitne dhyan se,
Taaki achchi ho aane waali fasal,
Yoon hee hum karmon ke beej boyein sammaan se,
Taaki achche karmon se jeevan ho jaaye safal.

Karmon kee bhoomi hai yeh sansaar,
Kewal Guruji sakte Hain hamein taar,
Kyun na manaayein hum Baisakhi ka tyohaar,
Kar ke Guruji ka Shukrana baarambaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aa Gayi Baisakhi (04/13/2021)

Dulaare Deewaane (04/12/2021)

April 12, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1149

   Dulaare Deewaane

Na tu jaane khud ko,
Na ye duniya tujhe jaane,
Chaahe tu maane ya na maane,
Kewal tere Guruji tujhe pehchaanein.

Samay ke saath badalte rahenge tere afsaane,
Koi dega tujhe prem, toh koi dega tujhe taane.
Jitne bhi hain tere jeevan ke afsaane,
Ve toone Guruji ko hain sunaane.

Tu yahaan aaya hai karmon ka karz chukaane,
Aur apne insaaniyat ke farz ko nibhaane,
Na ki apne guroor se auron ko dabaane,
Ya phir apni jhoothi taakat dikhaane.

Guruji ke sab bhakt Unse judkar ho jaate hain mastaane,
Jodte hain Unse seedhi taar Unhe dil ka haal sunaane,
Sabhi Unke dar par aate hain khud ko bakhshaane,
Aur Unke kamal charnon mein sees jhukaane.

Isliye na dhoondh tu koi bhi bahaane,
Jamaa karta chal tu sewa simran ke khazaane,
Bann ne de apne nagmon ko nazraane,
Bhakti ko de apna antar-mann sajaane.

Teri zindagi ke pal chaahe lagein ya na lagein suhaane,
Tu phir bhi gaata chal Shukrana ke gaane,
Shukrana mein tu apne dukhon ko bhi de samaane,
Kisee bhi niraasha ko na de shraddha ka deep bujhaane.

Shaayad tu pehle se ye sabb jaane,
Lekin abb waqt aa gaya hai ki tu ye sab maane,
Guruji Apne pyaar se taral banaate Hain sab bhakton ke taraane,
Yoon hee nahin Guruji ke bhakt hotey Hain Guruji ke dulaare deewane.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Ka Ujaala (04/11/2021)

April 11, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1148

      Mann Ka Ujaala

Chhaaya thaa maayusi ka andhera,
Lekin mann mein basaa kar ummeed ka savera,
Raahi chalta gaya vishwaas ke sangg,
Nihaarte huey prakriti ke ruhaani rangg.

Maanas jaap veh kar raha thaa,
Andhere se nahin darr raha thaa,
Simran se mil rahi thi usey shakti,
Anand de rahi thi usey yeh bhakti.

Raahi toh thaa Guruji kee sharan mein,
Isliye usne dhyan lagaaya Guruji ke kamal charan mein,
Raat khatm hogi aur din aayega zaroor,
Jaanta thaa ki yahee hai zindagi ka dastoor.

Guruji kee divya khushboo aa rahi thi usey,
Isliye seema hee nahin thi uskee prasannataa kee,
Maalum thaa usey ki usey ghabraane kee koi baat nahin,
Guruji jiska antt na karenge, aisee koi raat nahin.

Din aur raat, sukh aur dukh,
Ye toh hain jeevan ke badalte rukh,
Ye toh aate jaate rahenge, hum chaahein ya na chaahein,
Inse ujjwal ya phir andheri hoti rahengi hamaari raahein.

Lekin, jabb takk mann mein basaa hai Guruji ka noor,
Tabb takk mann ka ujaala kabhi na hoga duur,
Chaahe jeevan ke rukh badalte rahenge baar baar,
Guruji kee kripa se veh ujaala rahega barkaraar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Ka Ujaala (04/11/2021)