Guruji Kee Rehamatein (04/10/2021)

April 10, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1147

          Guruji Kee Rehamatein

Jisne bhi liya Guruji ke naam ka sahaara,
Uska jeevan Guruji ne hai sanvaara,
Yeh naam toh ek divya aushadhi hai,
Jis se hoti jeevan kee shuddhi hai.

Jo Guruji ko samarpan karta hai apni bhakti,
Uss bhakt ko Guruji dete Hain bahut shakti.
Is shakti se bhakt mein jaagrit rehta hai vishwaas,
Aur uske mann mein rehta hai shraddha ka vaas.

Jo har saans ko maanta hai Guruji ka diya hua uphaar,
Guruji kabhi nahin bhoolte Hain uska ghar parivaar,
Unke nirnay mein beshaq kabhi kabhi vilamb hota hai,
Lekin usee mein kalyaan ka aarambh hota hai.

Jo Guruji ko maanta hai apne jeevan kee naiya ka khewaiya,
Guruji dheere dheere badal dete Hain uska ravaiya,
Naiya ko kinaare takk pahunchaate Hain Guruji,
Aur safar ke dauraan Apni rehamatein barsaate Hain Guruji.

Itnee Hain Guruji kee rehamatein,
Ki sabse varnanaatmak shabd bhi unn rehmaton ke liye pheeka laagey,
Srishti ke sabb baadal bhi ek sath baras jaayein,
Toh ve boondein kumm hongi Guruji ke ashirwaad ke amrit kee boondon ke aagey.

Guruji kee rehamaton ka kaise karoon bakhaan,
Itnee mehar barsaate Hain har pal karuna nidhaan,
Koi ho hee nahin sakta Guruji jaisa meharbaan,
Unhee mein baste Hain MahaShiv Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Rehamatein (04/10/2021)

Ashirwaad Ka Tilak (04/09/2021)

April 9, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1146

             Ashirwaad Ka Tilak

Duniya ek laukik tamasha hai,
Yahaan asha aur niraasha hai,
Har pal koi nayee abhilaasha hai,
Yahaan sukh kee ajab paribhaasha hai.

Hum toh yahaan raahgeer hain,
Hum mein se koi gareeb toh koi ameer hain,
Lekin ameeri gareebi kee paribhaasha bhi hai is lok kee,
Isliye bilkul zaroorat nahin hai shok kee.

Kyunki sabb reh jaana hai yahaan ka yahaan,
Kuch bhi laukik na kaam aana hai vahaan,
Lekin abhilaasha se hogi agar aasakti,
Toh yeh paribhaasha ksheen karegi bhakti kee shakti.

Aasaan nahin hai laukik ichchaaon ko chodna,
Lekin chodna hoga inmein aasakti ko,
Tabhi toh antt mein mukti ka prasad milega,
Hamaari shraddha aur bhakti ko.

Guruji se jitna adhik hum judte jaayenge,
Utna zyaada anaasakti ke sangg jeevan jee paayenge,
Rakhte huey sakaaratmak nazariya,
Paripoorna hogi jeevan kee dagariya.

Is santushti se laukik abhilashaayein kumm hoti jaayengi,
Aur phir niraashaayein bhi kumm sataayengi,
Kyunki mann mein hogi shanti aur tripti,
Jis se milegi bhakti ko aur bhi shakti.

Ek pal ya ek din mein yeh ho nahin sakta,
Lekin jo bhakt koshish karte nahin thakta,
Guruji uskee neeyat par Apne ashirwaad ka tilak lagaate Hain,
Ve bade pyaar se usey sukh kee ruhaani paribhaasha se avagat karaate Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ashirwaad Ka Tilak (04/09/2021)

Naseeb Achche Hain Hamaare (04/08/2021)

April 8, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1145

Naseeb Achche Hain Hamaare

Pyaare Guruji,

Ye toh naseeb achche hain hamaare
Ki hamein mil gaye Aap
Varna kaise hum jhelte,
Is yug ke dukh santaap?

Itnee baar girne se Aapne hamein bachaaya,
Aur jabb kabhi girey toh Aapne hee uthaaya.
Jabb dhokha de gaya apna hee saaya,
Tabb bhi Aapne hamein galey se lagaaya.

Hum toh Aapki kripa ke laayak nahin hain,
Kyunki hum hain chhoti soch waale tuchh praani,
Yeh toh Aapki rehmat hai ki chaahe hum karein naadaani,
Phir bhi Aap ashirwaad dekar sanvaarte Hain hamaari zindagaani.

Aapse padh kar kalyuga mein satyuga ka paath,
Karein har din ka praarambh aur antt,
Aapke ashish, Aapke ruhaani sangg ke saath,
Hamaare liye patjhad bhi bann jaata hai basant.

Kabhi durmati mein na doobein, aisee bakshiye hamein buddhi,
Kabhi anuchit na sochein na karein, aisee deejiye hamein shuddhi,
Kabhi ahankaar se andhey na hon, aisee deejiye hamein drishti,
Kabhi Aapke naam ke amrit se na hon vanchit, aisee keejiye hum par vrishti.

Aap hee Hain dayalu Deenanath,
Aap hee Hain bhalaa karne waale Bholenaath.
Aap hee Hain karunamayee Kailashnath,
Aap hee Hain nadar karne waale naathon ke bhi naath.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Naseeb Achche Hain Hamaare (04/08/2021)

Mati Kee Disha Aur Dashaa (04/07/2021)

April 7, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1144

Mati Kee Disha Aur Dashaa

Jaise hoti hai vaayu kee gati,
Vaise hee hai insaan kee mati,
Kabhi ek disha mein, kabhi dooji disha mein,
Aksar nahin hai behti sthirta kee dashaa mein.

Jaise vaayu baadalon ko apne sangg tehlaati hai,
Vaise hee mati khayaalon ko sehlaati hai,
Kabhi soche ek baat, kabhi dooji soch laaye mann mein,
Isliye halchal machi rehti hai har pal dhadkan mein.

Kyun na simran se sthir karein mann aur mati ko,
Simran se mann mein ghar banaane dein sumati ko,
Simran se mati roopi vaayu ko honei dein hum shaant,
Aur simran se aabaad karein apna ekaant.

Na karein Guruji ko bhoolne kee naadaani,
Unke naam se mann kee vaayu ko banaayein suhaani,
Guruji ka naam lekar simran mein,
Unka aashish paayein jeevan mein.

Mati kee disha jabb simran kee oar lekar jaayegi,
Toh mann kee vaayu shaant aur dheer ho jaayegi,
Phir uskee sthirtaa kee dashaa se sukhad ho jaayega spandan,
Jis se prafullit hokar khil uthega mann ka upvan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mati Kee Disha Aur Dashaa (04/07/2021)

Sadaa Apna Vaada Nibhaayenge Guruji (04/06/2021)

April 6, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1143

Sadaa Apna Vaada Nibhaayenge Guruji

Jabb jabb dil mein jaaga koi armaan,
Tabb tabb Guruji ne diya paigaam,
Ki Ve Apne hee tareeke se kar rahe Hain kalyaan,
Isliye mai bilkul na honei doon khud ko pareshaan.

Guruji yaad dilaate Hain ki meri soch,
Bahut chhoti hai aur tuchh bhi,
Aur yeh ki Ve sabb jaante Hain,
Aur mai nahin jaanti kuch bhi.

Isliye Unhee par chod deti hoon nirnay,
Bina mann mein laaye koi bhi sanshay.
Baadal ko jabb uchit lagta hai tabb veh paani barsaata hai,
Phir uss paani se anaavrishti se peedit khet raahat paata hai.

Jiske paas itne pyaare Guruji hon,
Usey zaroorat hee nahin tarasne kee,
Usey toh prateeksha nahin karni padti hai,
Ashirwaad ke baadal ke barasne kee.
‘Jo garajte hain, ve baraste nahin,’ Muhaavara yeh farmaata hai,
Isliye Guru toh bin kuch boley hee,
Apna ashirwaad barsaata Hai.

Itna kalyaan kar jaate Hain Guruji, bin jataaye,
Itna uddhaar kar jaate Hain Guruji, bin bataaye,
Karmon ka bhugtaan karaate Hain, bin haath chode,
Manzil takk pahunchaate Hain, bin saath chode.

Jinse mai har pal aseesein paaoon,
Aise Guruvar par toh mai vaari jaaoon,
Unke baare mein soch kar muskuraaoon,
Unke hotey huey mai kyun ghabraaoon.

Pathreelee raahon ko samatal banaayenge mere Guruji,
Mai jahaan bhi jaaoongi, mere sangg aayenge mere Guruji,
Hameshaan ashirwaad barsaayenge Guruji,
Sadaa Apna vaada nibhaayenge Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sadaa Apna Vaada Nibhaayenge Guruji (04/06/2021)

Guruji Kee Vadiyaayee Ka Vaasta (04/05/2021)

April 5, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1142

  Guruji Kee Vadiyaayee Ka Vaasta

Guru aur bhakt ke pyaar mein koi kintu parantu nahin,
Ahem kee bhi jageh nahin hai pyaar mein,
Ye toh ek aisa jazbaat hai,
Jo bayaan ho buss bhaav ke ikraar mein.

Na Guruji kuch kahein na hum,
Phir bhi ho jaati hai sunvaayee,
Fark nahin padta ki kisne pehle yaad kiya,
Ya phir kisne aane mein der lagaayee.

Sabb Guruji kee leela hai,
MahaShiv Hain Ve, Hain leela dhaari,
Sharan mein lete Hain har jann ko,
Jabb aati hai jiskee baari.

Na Ve karein naap toal, na koi sauda,
Na Ve dekhein jaat paat, aur na dekhein Ve hamaara ohada,
Chaahe jo bhi ho yahaan hamaara khitaab,
Guruji ke saamne hum sabb Hain khuli kitaab.

Jis pyaar ke liye jagg taras raha hai,
Veh pyaar toh Unka baras raha hai,
Changey karam kar ke is pyaar kee karni hogi kadar,
Kyunki har pal hum sab par hai Guruji kee nadar.

Isliye kintu-parantu ko chod kar,
Ahem se muh moad kar,
Guruji ke pyaar ka vinimay karein pyaar se,
Tarr jaayein Unke ruhaani deedar se.

Na swaarth ho is pyaar mein,
Na ho koi shart ya milaavat,
Is pyaar mein koi muqaabla nahin,
Aut na hee hai dhokha ya bagaavat.

Yeh pyaar hee bhakti ka shringaar hai,
Is pyaar se hee bhakti par nikhaar hai,
Is pyaar se sadaa sajaayein apne antar-mann ka raasta,
Hamein toh hai Guruji kee vadiyaayee ka vaasta.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Vadiyaayee Ka Vaasta (04/05/2021)

Pyaare Guruji Ko Beintehaa Pyaar (04/04/2021)

April 4, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1141

   Pyaare Guruji Ko Beintehaa Pyaar

Jinke vash mein hamaara kal, aaj, aur kal hai,
Jinke niyantran mein hamaari zindagi ka har pal hai,
Jinkee mahima se prithvi, akash, vaayu, agni, aur jal hai,
Jinke paas har bhakt kee har mushkil ka hal hai,
Unn pyaare Guruji ko Shukrana baarambaar,
Unn pyaare Guruji ko namaskaar,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

Jinkee karuna se bigdee bann jaati hai,
Jinkee kripa se shanti mil paati hai,
Jinke kehne pe sachchaayee saamne aati hai,
Jinkee kanti se raah ujjwal ho jaati hai,
Unn pyaare Guruji se hai duniya aabaad,
Unn pyaare Guruji ko dhanyawaad,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

Jinke charan mein sees jhuk jaate hain,
Jinkee sharan mein kadam ruk jaate hain,
Jinke diye imtehaan mein sukh aur dukh aate hain,
Jo Apni rahnumaayee mein duniya ke badalte rukh dikhaate Hain,
Unn pyaare Guruji kee inaayat se milti hai shakti,
Unn pyaare Guruji ke anugreha se khilti hai bhakti,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

Jinhonei abb takk sambhaala hai aur aagey bhi sambhaalenge,
Jinhonei har kaaj sanvaara hai aur aagey bhi sanvaarenge,
Jinhonei kismat ke lekh ko sudhaara hai aur aagey bhi sudhaarenge,
Jinhonei kitnon ka jeevan nikhaara hai aur aagey bhi nikhaarenge,
Unn pyaare Guruji ko salaam,
Unn pyaare Guruji ko pranaam,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaare Guruji Ko Beintehaa Pyaar (04/04/2021)

Jab Se Pahunchi Guruji Ke Dwaar (04/03/2021)

April 3, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1140

Jab Se Pahunchi Guruji Ke Dwaar

Jabb se pahunchi Guruji ke dwaar,
Ho gaya mujhe Guruji se pyaar,
Kar diya Unse is pyaar ka izhaar,
Unpar ho gaya poora aitbaar.

Jabb chunauti deti hai waqt kee raftaar,
Ya duvidha mein daalta hai dil aur dimaag ka takraar,
Jabb mann ko bhatkaane lagta hai koi vikaar,
Toh Guruji sambhaal lete Hain sudhaar kar mere vichaar.

Jabb ho jaati hoon kabhi beemaar,
Toh Guruji dete Hain aur bhi dulaar,
Jabb vash mein karne lagtaa hai yeh kalyugi sansaar,
Toh Guruji bachaa lete Hain honei se laachaar.

Abb toh Unhee ka zikr hota hai baar baar,
Aankhein karti rehti hain Unke deedar ka intazaar,
Guruji ke dwaar par hee hota hai uddhaar,
Isliye baaki sab lagne lagaa hai abb bekaar.

Dekar Guruji ne Apni bhakti ka uphaar,
Kiya hai mujh naacheez par itna upkaar,
Unse hee hai mera ghar parivaar,
Ve hee Hain jeevan ka mool aur saar.

Sunte huey apne antar-mann kee pukaar,
Hokar Guru vandan ke vimaan par savaar,
Peechhe chodkar yeh saara sansaar,
Mai udd jaaoon buss baadalon ke uss paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jab Se Pahunchi Guruji Ke Dwaar (04/03/2021)

Ve Hain Poojya Guruji Hamaare (04/02/2021)

April 2, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1139

     Ve Hain Poojya Guruji Hamaare

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinkee aankhon mein sabke liye hai pyaar,
Jinke dil mein hai sabke liye dulaar,
Jo ashirwaad dete Hain baarambaar.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jo hamaare bin boley hee sabb samajh jaate Hain,
Jinkee mehar se sab uljhe kaaj sulajh jaate hain,
Jinkee kripa se hee hum Unka naam bhaj paate hain.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinke simran se hota hai Unkee karuna ka ehsaas,
Jinke satsang se Unkee mahima ke anubhav aate hain raas,
Jinka hota hai har bhakt ke chitt mein vaas.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinkee sharan mein mahasaagar se bhi gehri mamta hai,
Jinke charan mein ksheersaagar se bhi adhik kshamtaa hai,
Jinkee bhakti mein bhaav-vibhor hokar mann ramta hai.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinke aanchal mein saara jahaan hai,
Jinkee leela aparampaar aur mahaan hai,
Jinkee muthhi mein ye zameen aur ye aasmaan hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ve Hain Poojya Guruji Hamaare (04/02/2021)

Aapka Deewana (04/01/2021)

April 1, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1138

   Aapka Deewana

Pyaare Guruji,

Na udaas hoon mai na hoon niraash,
Kyunki Aap Hain mere paas,
Na haari hoon na hoon bechaari,
Kyunki Aapki sharan hai sadaa hitkaari.

Na jaagi hoon na soyi hoon,
Buss, har pal Aapke khayaalon mein khoyi hoon,
Na din kee khabar rehti hai na raat kee,
Lagan lagi rehti hai Aapke saath kee.

Na chinta rehti hai phansne beech majdhaar kee,
Mithaas mehsoos hoti rehti hai Aapke pyaar kee,
Na aakulta hoti hai aandhi kee na tufaan kee,
Shanti miltee hai kar ke pooja Aap mein basey Bhagwaan kee.

Na sataate hain duniya ke badalte rangg,
Bahut himmat deta hai Aapka sangg,
Na fikr hoti hai kisee cheez kee kamee kee,
Tript kar deti hai anubhooti Aapki mamta kee nami kee.

Na bechayyn karte hain ve maamle jo pehle pareshaan thei karte,
Aapke simran aur satsang ke pal har bechayyni ko hain harte,
Jo pehle kabhi dukhi karte thei, abb na dukhi karte hain ve maajre,
Antar-mann bahut himmat paata hai reh kar Aapke aasre.

Na dhyan mein aata hai is safar ke alaawa abb daur koi,
Aapke siwa na basaa hai mann mandir mein aur koi,
Na bujha sakta hai is mandir ka diya abb yeh zamaana,
Kyunki yeh dil toh sadaa ke liye ho gaya hai Aapka deewaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
DHIRJA

Aapka Deewana (04/01/2021)