Jaan Nisaar Hai (05/10/2021)

May 10, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1177

    Jaan Nisaar Hai

Lakh diye bhi agar bujh jaayein raahon ke,
Guruji ke naam ka ek diya kaafi hai ujaale ke liye,
Har koi chaahe bhool jaaye mujh ko,
Guruji yaad rakhein yeh kaafi hai mere matvaale dil ke liye.
Yoon toh kabhi saagar saamne ho,
Toh bhi insaan reh jaata hai pyaasa,
Lekin Guru naam ke amrit kee toh ek boond hee,
Kaafi hoti hai pyaas bujhaane ke liye.

Guruji ke naam mein ek aisee hai masti,
Jismein khokar mitt jaati hai apni hasti,
Aur aise hee khokar gumraah musaafir ko raah mil jaati hai,
Aise hee khokar murjhaayee kali phool bann kar khil jaati hai.

Guru naam kee khushboo se khiltee kalee mehek jaati hai,
Guru naam kee roshni se raah ujjwal ho jaati hai,
Guru naam toh dawaa hai mann ke har marz kee,
Guru naam se bori halki hoti hai kayee janmon ke karz kee.

Guru naam kee dhun mein rehne mein aisa mazaa hai,
Jis se koi sazaa bhi nahin lagti ki veh sazaa hai.
Guruji ke naam mein basaa jo ruhaani pyaar hai,
Uspar toh is nacheez kee jaan nisaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jaan Nisaar Hai (05/10/2021)

Leave a comment