May 13, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1180
Akshay Phal
Vaishakh maas ke Shukla paksh kee teesri tithi par,
Ishwar kee kripa se aaya veh pal,
Jab jo bhi shubh kaarya ka aarambh ho,
Toh milta hai uska Akshay phal.
Akshay Tritiya hai is parv ka naam,
Isey Akha Teej bhi kaha jaata hai,
Vrat, daan, poojan, punya kaam ka,
Akshay phal mil jaata hai.
Ganesh ji ne Vyas ji ke uchchaaran par,
Mahabharat likhna shuru kiya thaa is din,
Maana jaata hai ki is tyohaar par jis kaarya ka hota hai aarambh,
Veh phalta hai zaroor, kyunki shubh din par hua veh praarambh.
Shadi byaah ke lagan ka aarambh hota hai shubh kaam,
Bachche bhi khel khel mein gudde-guddi ke vivah ka karte hain intazaam.
Kisaan khet mein paidaavaar ka dekhte hain shagun,
Aur anginat logon ko hoti hai naye vastra aur gehne khareedne kee dhun.
Paap nasht karta hai khaaskar is din par Ganga mein kiya hua snaan,
Aur chirasthaayi phal pradaan karta hai is din kiya hua pind daan aur anya daan,
Shubh hota hai havan aur japp,
Shuddh hota hai har tapp.
Apne ya swajanon ne jo bhi kiye hon burey karam,
Is parv par Ishwar se maafi maangein agar hum,
Toh hamein baksh dete Hain Bhagwaan,
Aur Ve karte Hain hamein sadgun pradaan.
Kyun na aaj is paawan parv par,
Mil kar Guruji se karein dua poore sansaar ke liye,
Maafi maangein sab apni galatiyon kee,
Aur jalaayein antar-mann mein sadbhaav ke diye.
Jaise Krishna Bhagwaan ne,
Pandavon ko diya Akshaypatra,
Vaise hee hum sab bhi hain,
Guruji kee paathshaala ke chhaatr.
Ganeshji toh Aapke putr Hain, Guruji,
Aur Bhagwaan Krishna bhi Aap mein Hain samaaye,
Jis bhi Bhagwaan ke sangat chaahe darshan,
Ve Aapke swaroop mein hee mil jaaye.
Guruji, Aap kripa kar sabki jholi ko,
Bhar deejiye achchi sehat ke dhan se,
Jeevan daan dekar roag duur keejiye,
Mahamari se peedit har jann ke tann se.
Aapki sharan aur suraksha mein,
Sach mein shubh hai har din aur har pal,
Koi vehem nahin, na koi rok toak,
Aur sakaaraatmakta miley har pal.
Hamein deejiye aisee buddhi,
Hamein deejiye aisee shuddhi,
Ki hum tyaag dein apne har vikaar ko,
Aur kanchan sa chamkaayein apne har vichaar ko.
Vichaar achche honei se changey ho jaayein hamaare karam,
Har kadam par hum nibhaayein insaaniyat ka dharam,
Aapki kripa se sudhaarna shuru karein apna aur doojon ka aane waala kal,
Taaki Akshay Tritiya par poori srishti ko Aapse praapt ho Akshay phal.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja