May 24, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1191
Saadagi, Tujhe Salaam
Aye saadagi, tujhe salaam,
Tere sangg hee safal hai jeevan ka imtehaan,
Aaj nahin toh kal, sab ye jaan jaayenge,
Aaj nahin toh kal, sab ye maan jaayenge,
Ki zindagi mein tere bina na chalega kaam.
Yeh sab jo ho raha hai,
Shaayad isliye ho raha hai,
Insaan jab se bhautikvaad mein baha hai,
Uss se bhi pehle se prakriti ne uska ahem saha hai.
Guruji ne kaha maada waqt aayega,
Har koi vikaaron mein doob jaayega,
Vichaaron mein aayega parivartan,
Zaroori ho jaayega saaf karna mann ka darpan.
Isliye saadagi ko karte huey salaam,
Usey pirohein hum soch mein aur karam mein,
Saadagi laayein jeene ke dhangg mein,
Saadagi bharein zindagi kee tasveer ke rangg mein.
Guruji swayam Hain kitne komal,
Ve MahaShiv Hain, nipun aur nirmal,
Kyun na hum bhi jeena banaa lein saral,
Taaki har taareekh ka taraana ho jaaye taral.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja