Asal Ghar (05/26/2021)

May 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1193

                      Asal Ghar

Nepal ke Lumbini gaaon mein,
Apnepan kee chhaaon mein,
Liya janam ek rajkumar ne,
Aur Unmein basey Vishnuji ke avataar ne.

Raajasi gharaane mein janam liya,
Vahaan ke karmon ka bhugtaan kiya,
Tabb Siddharth Gautam hua Unka naam,
Lekin niyati ka thaa kuch aur hee parinaam.

Dharma arth kaam ke jeevan mein,
Ashaanti hui Unke mann mein,
Phir yuddh ke pashchaat toh hua aisa vishaad,
Ki pashchaataap ka jaagrit hua jazbaat.

Tapasya mein ho gaye Ve leen,
Kyunki Unhe ho gaya thaa yakeen,
Ki sachcha sukh hai anaasakti mein,
Aur anant shakti hai bhakti mein.

Bodh Gaya mein Bargad ke taruvar ke taley,
Unchaas din takk bina hiley,
Kiya Gautam Buddh ne mahaan tapp,
Samjhaaye maanav jaati ko char arya satya.

Ahimsa, dharam aur satya ka maarg dikhaaya,
Insaan ko ruhaaniyat se avagat karaaya,
Isliye aaj ka din parv ke jaise manaaya jaata hai,
Kyunki aise mahapurushon se hee Srishti ka uddhaar ho paata hai.

Aaj Gautam Buddha ke janam kee khushi manaate huey,
Apne antar-mann ko chetna ke mankon se sajaate huey,
Hum Guruji ka karein naman,
Aur karein Unke vachanon par manan.

Sabki manzil ek hai,
Chaahe raaste hon anek,
Bhakti, gyan, aur vairaagya se hee,
Hongei hum Paramatama ke sangg ek.

Is advait avastha se badhkar kuch nahin,
Baaki aur kuch bhi sach nahin,
Simran aur dhyan se hee hogi praapti,
Aur asal ghar kee oar hogi vaapasi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Asal Ghar (05/26/2021)

Leave a comment