Ruhaaniyat Kee Oonchaayee (05/28/2021)

May 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1195

      Ruhaaniyat Kee Oonchaayee

Zindagi ke safar mein chalte chalte,
Sooraj ke uday hotey hotey aur dhalte dhalte,
Galati se bhi bhool na jaana,
Guruji ke sangg rishta nibhaana.

Safar ke utaar chadhaav mein,
Kamee na aane dena apne bhaav mein,
Kyunki har utaar chadhaav imtehaan hoga bhakti ka,
Har utaar chadhaav imtehaan hoga tumhaari shraddha kee shakti ka.

Utaar par niraash aur udaas na hona,
Chadhaav par ahankaar mein charitra ko na bhigona,
Kyunki chaahe taqdeer mein hansna ho ya ho rona,
Dono ka nishchay hee antt hai hona.

Isliye utaar chadhaav kee paristhiti se,
Na ganvaa baithna rishta mann kee shant sthiti se,
Kyunki mann kee shant sthiti hai bahut zaroori,
Yahee kaam aati hai jabb bhi hoti hai koi majboori.

Is mann kee shant sthiti ke liye,
Kitnee tapasya karni padi har saadhak ko,
Tabb kaheen jaakar ve mitaa paaye,
Apne kiye huey paap aur paatak ko.

Tumhe to Guruji ne diya hai apna naam,
Jiske simran se utaar chadhaav sehna hoga aasaan,
Aur simran hee mann kee sthirtaa ke liye hai sarvottam upaay,
Isliye har shwaas ke sangg bolo ‘Om Namaha Shivaya.’

Jabb mann sthir hokar simran mein leen rahega,
Toh har utaar chadhaav Guruji kee kripa se yoon bahega,
Jaise aakar jaane waali paani kee lehar,
Aur har lehar laayegi Guruji kee mahaan mehar.

Utaar chadhaav aakar chale jaayenge,
Mehar ke anmol ratna chamakte jaayenge,
Simran se mann kee sthirtaa chhoo legi ruhaaniyat kee oonchaayee,
Itnee kalyaankaari hai pyaare Guruji kee vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ruhaaniyat Kee Oonchaayee (05/28/2021)

Leave a comment