Har Daur Par, Har Moad Par (05/21/2021)

May 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1188

Har Daur Par, Har Moad Par

Ikkeeswee sadee ke ikeeswein saal ka ikkeeswaa hai saptaah,
Mayee ke maheene kee taareekh bhi hai ikkees,
Sadee saal saptah taareekh kee hai jo raah,
Uspar MahaShiv Guruji rahenge sadaa hamaare Ish.

Kyunki Shivji se hee sansaar hai,
Brahma bhi Unhee ka roop Hain,
Shivji hee paalanhaar Hain,
Vishnuji Unhee ka swaroop Hain.

Kisee bhi praani ka jeevan maran,
Chal nahin sakta Shivji kee kripa bin,
Unhee kee mahima se hai har mausam,
Aur Unhee kee mahima se hai raat aur din.

Samay ke badalte rangg roop mein,
Guruji hamaare saath Hain,
Har sadee har saal har saptaah ke sabb din,
Guruji kee mehar ke mohtaaj hain.

Jis tarehn se beeta hua kal beet gaya,
Vaise hee baaki din beete jaa rahe hain,
Unn praaniyon ka uddhaar nishchit hai,
Jo Ishwar kee vadiyaayee ke gunn gaa rahe hain.

Hum pyaare Guruji kee sangat hain,
Jo MahaShiv ka avataar Hain,
Har sadee har saal har saptaah Unke vash mein hai,
Kyunki Ve toh Parwardigaar Hain.

Taareekh badalti rahegi aur saptaah beet jaayenge,
Aur har saal ke baad aayega ek naya saal,
Yoon hee agali sadee aayegi is sadee ke baad,
Har daur par, har moad par Guruji hamein lenge sambhaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Daur Par, Har Moad Par (05/21/2021)

Chaahe Jitna Bhi Lamba Ho Raasta (05/20/21)

May 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1187

Chaahe Jitna Bhi Lamba Ho Raasta

Chaahe jitna bhi lamba ho raasta,
Tu rakhna Guruji mein aastha,
Chaahe kitna bhi mushkil ho raasta,
Tu rakhna Guruji se vaasta.

Chaahe sangeen lagey dagar,
Tu jaari rakhna safar,
Chaahe kisee ko bhi na ho asar,
Tu karna bharose ke bal par basar.

Bharosa, Guruji par, har pal,
Aastha, Guruji mein, har pal,
Achche se jeena tu har pal,
Har pal jodne se banega aaj aur kal.

Kuch khaas nahin karna hai,
Buss, sachchaayee se nahin darna hai,
Ho sakey toh kisee kee karna madad,
Aur kisee ka bura na karne kee seekh lena sabak.

Is raaste par aayenge kayee paththar,
Aur kalyugi svabhaav waalon se leni hogi
takkar,
Buss, neevenpann aur sadaachaari ko banana tu apni dhaal,
Saral, taral, nirmal hokar swayam ko lena sambhaal.

Guruji parkhenge teri neeyat,
Aur Ve denge tujhe himmat,
Tu Guruji ka ashirwaad paayega,
Aur dekhna, raasta tayy hota jaayega.

Vo kshan bhi aayega tere jeevan mein zaroor,
Jab tu chod dega mehsoos karna majboor,
Jitna tu rahega Guruji kee agya ke paalan mein magroor,
Utna hee tujh par chhaayega Guruji ka noor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Chaahe Jitna Bhi Lamba Ho Raasta (05/20/21)

Bandagi Unkee (05/19/2021)

May 19, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1186

                 Bandagi Unkee

Suna hai waqt guru hai Srishti ka,
Lekin is mein koi shak nahin,
Ki veh mohtaaj hai Guruji kee drishti ka.

Waqt ke aagey kisee insaan ka zor nahin,
Waqt ka pehra na ho, aisee koi raah ya koi moad nahin,
Chaahe Bhagwaan bhi niyati mein likhe waqt ko na badal paayein,
Parantu Guruji toh waqt ke bhi shehenshah kehlaayein.

Guruji kee muththi mein hai pahiya waqt ka,
Jis se tayy hota hai muqaddar hamaare rakt ka,
Har katra rakt ka waqt ke sakht vash mein hai,
Tabhi toh itna mahatva waqt ke yash mein hai.

Hum prajaa hain waqt ke shehenshaah kee,
Guruji ko khabar hai hum sabke jeevan kee raah kee,
Har kadam par nadar hai Unkee,
Har pal par nazar hai Unkee.

Isliye Guruji ka paawan naam lekar,
Unhe apne har pal ka niyantran dekar,
Shukrguzaar hokar jee lein zindagi ko,
Dekar shraddha ka bhaav bandagi ko.

Bandagi Unkee, jo lekha likh sakte Hain dobara,
Bandagi Unkee, jinke aagey waqt har baar hai haara,
Bandagi Unkee, jo sadaa karte Hain kalyaan hamaara,
Bandagi Unkee, jinhonei sambhaala hai yeh sansaar saara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bandagi Unkee (05/19/2021)

Dhool Bhi Nahin Hoon (05/18/2021)

May 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1185

           Dhool Bhi Nahin Hoon

Pyaare Guruji,

Dhool bhi nahin hoon mai,
Aapke chaarul charan kee,
Aur tamanna hai ki bann jaaoon phool,
Aapki divya sharan kee.

Yahaan miltee hai shanti mann ko,
Aisee shanti, jis se mai thi anjaan,
Jabb se Aapki sharan milee hai,
Dukh bhi nahin karta pehle jitna pareshaan.

Aapke dhyan mein aksar bekhabar ho jaati hoon,
Kab sooraj uday hota hai aur hai dhalta,
Kab subah se ho jaati hai shaam aur phir raat,
Itnee baar waqt ke beetne ka pataa hee nahin chalta.

Jahaan bhi hoti hoon,
Aap mere antar-mann mein rehte Hain,
Aapki mehar se aapse judi seedhi taar kee badaulat,
Kya karoon kya na karoon veh sab Aap mujhse kehte Hain.

Na hota hai pehle ke jaisa bhayy,
Na hee mann mein koi sanshay,
Buss, Aapke saath ka ehsaas,
Aur yoon Aapse judey rehne kee aas.

Samaaye rakhna, Daata, mujhe Apni sharan mein,
Thodi si jageh diye rehna Apne charan mein,
Dua hai ki Aapki chhavi aur kripa ho mere har karam mein,
Hameshaan mere angg sangg rehna mere har janam maran mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dhool Bhi Nahin Hoon (05/18/2021)

Aapke Honei Se (05/17/2021)

May 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1184

                     Aapke Honei Se

Pyaare Guruji,

Aapke honei se hee sab hai,
Aap mein bastaa hum sabka Rabb hai,
Kitnon ke bheetar ke kalaakaar ko Aapne jagaaya,
Kitnon ke bheetar ke ahankar ko Aapne
sulaaya.

Aap mein jo hamaara kalyaan karne ka divya junoon hai,
Uss se hee Aapki kripa se milta hamein sukoon hai.
Aapke pyaar ke bina jaayein bhi toh kahaan jaayein,
Aapki mamta ke bina kaheen bhi reh na paayein.

Hamaari har saans hai Aapki amaanat,
Aapki mehar se miltee hai zamaane ke zulm se zamaanat,
Fakir hee toh hain hum Aapke dar par,
Poori tarehn se nirbhar hain Aapki mehar par.

Bhiksha deejiye Apne ashirwaad kee,
Deeksha deejiye divyata ke jazbaat kee,
Bahut tamanna thee har pal Aapke saath kee,
Veh poori hui toh abb kamee nahin hai kisee baat kee.

Buss, yoon hee Aapke charnon mein,
Har roz subah se shaam ho jaaye,
Aapka naam lete lete,
Hamaara astitva Aap mein kho jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Honei Se (05/17/2021)

Zindagi Ka Geet Gaate Chalein (05/16/2021)

May 16, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1183

Zindagi Ka Geet Gaate Chalein

Bebasi se na hon hum maayoos,
Yeh waqt bhi guzar jaayega,
Bebasi ka rona ronei se behtar hai,
Ki zindagi ka geet gaate chalein.

Utaar chadhaav toh jeevan ka kissa hain,
Ve har kisee kee aap beeti ka hissa hain,
Utaar chadhaav se niraash honei se behtar hai,
Ki zindagi ka geet gaate chalein.

Ek sirf hum hee nahin jinhonei apnon ko khoya hai,
Aajkal toh lagta hai har kisee ka naseeb soya hai,
Soye huey naseeb ko jagaane ke liye behtar hai,
Ki zindagi ka geet gaate chalein.

Kuch sanvar nahin jaayega shikaayat karne se,
Aur kuch sudhar nahin jaayega darne se,
Shikaayat karne se behtar hai,
Ki zindagi ka geet gaate chalein.

Jitna likh sakte Hain dobaara lekha,
Guruji likhte Hain, ye humne hai dekha,
Isliye lekhe par ilzaam lagaane se behtar hai,
Ki zindagi ka geet gaate chalein.

Saari sarbat ka ho jaaye bhalaa,
Seekhein hum dua karne kee yeh kalaa,
Doojon ke liye dua karte huey,
Zindagi ka geet gaate chalein.

Guruji toh hum sabke saath Hain,
Unse judi seedhi taar ek saugat hai,
Guruji ka shukrana karne ke liye,
Zindagi ka geet gaate chalein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Zindagi Ka Geet Gaate Chalein (05/16/2021)

Param Pyaare Guruji (05/15/2021)

May 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1182

Param Pyaare Guruji

Jo Hain Har moad par,
Jo kabhi na jaayein hamein chod kar,
Jo saath Hain har kadam par,
Jo nazar rakhte Hain har karam par,
Ve Hain hamaare param pyaare Guruji.

Jinmein basey Allah aur Yasu aur Sai Hain,
Jinmein Baba Nanak kee chhavi samaayi hai,
Jo Hari bhi Hain aur Har bhi,
Jo bheetar bhi Hain aur baahar bhi,
Ve Hain hamaare param pyaare Guruji.

Jo bhakton ke haath thaame rehte Hain,
Jo bin boley bhi sab kuch kehte Hain,
Jinhe kuch bataane kee bhi zaroorat nahin,
Jinse judne ke liye chaahiye koi mahoorat nahin,
Ve Hain hamaare param pyaare Guruji.

Jinke mahasaagar se bhi gehre nayyn hain,
Jinkee sharan mein sukh aur chayyn hai,
Jinke hukm par chaand dikhta hai aur sooraj uday hota hai,
Jinke naam ke raksha kavach ko pehenkar bhakt nirbhayy hota hai,
Ve Hain hamaare param pyaare Guruji.

Jinka simran karne ko mann karta hai,
Jinse kaal bhi kaampta aur darta hai,
Jinkee har sangat karti hain itnee kadar,
Jinkee hoti hai saari sangat par nadar,
Ve Hain hamaare param pyaare Guruji.

Jinke divya padam dhaaran kiye huey paaon hain,
Jinkee goad mein mamta kee chhaaon hai,
Jinkee divyata se zyaada paawan kaheen kuch bhi nahin,
Jinkee mehre-nazar se sab ho jaata hai sahi,
Ve Hain hamaare param pyaare Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Param Pyaare Guruji (05/15/2021)

Meri Rooh Hai (05/14/2021)

May 14, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1181

                     Meri Rooh Hai

Pyaare Guruji,

Meri rooh hai,
Aapka raaj hai,
Aap mera kal thei,
Aap hee mere aaj Hain.

Mere sir par sadaa,
Aapka haath hai,
Aapka pyaar sadaa,
Mere saath hai.

Mera jazbaat hai,
Meri baat mein,
Aapka ashirwaad hai,
Aapke prasad mein.

Mera hansna rona,
Mera jaagna aur sona,
Aapki dee hui daat hai,
Varna meri kya aukat hai.

Yeh shareer aur har angg,
Yeh bhakti kee umangg,
Aap jo sadaa Hain sangg,
Ye hai uss sangg ka rangg.

Yeh aandhi yeh tufaan,
Ye mausam ke hain armaan,
Inpar hain Aapki khudaayee ke nishaan,
Kyunki Aap Hain meharbaan.

Jheel ka shant paani,
Aapki dee hui yeh zindagaani,
Aapka hai dhanyawaad,
Aapne kiya hai jeevan aabaad.

Mai Aapke charnon kee dhool, bahut tuchh,
Aap mere Guru, mere Govind, mere sab kuch,
Aapne dee hai har jeevan mein jaan,
Aapko mera shukrana aur pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Meri Rooh Hai (05/14/2021)

Akshay Phal (05/13/2021)

May 13, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1180

                     Akshay Phal

Vaishakh maas ke Shukla paksh kee teesri tithi par,
Ishwar kee kripa se aaya veh pal,
Jab jo bhi shubh kaarya ka aarambh ho,
Toh milta hai uska Akshay phal.

Akshay Tritiya hai is parv ka naam,
Isey Akha Teej bhi kaha jaata hai,
Vrat, daan, poojan, punya kaam ka,
Akshay phal mil jaata hai.

Ganesh ji ne Vyas ji ke uchchaaran par,
Mahabharat likhna shuru kiya thaa is din,
Maana jaata hai ki is tyohaar par jis kaarya ka hota hai aarambh,
Veh phalta hai zaroor, kyunki shubh din par hua veh praarambh.

Shadi byaah ke lagan ka aarambh hota hai shubh kaam,
Bachche bhi khel khel mein gudde-guddi ke vivah ka karte hain intazaam.
Kisaan khet mein paidaavaar ka dekhte hain shagun,
Aur anginat logon ko hoti hai naye vastra aur gehne khareedne kee dhun.

Paap nasht karta hai khaaskar is din par Ganga mein kiya hua snaan,
Aur chirasthaayi phal pradaan karta hai is din kiya hua pind daan aur anya daan,
Shubh hota hai havan aur japp,
Shuddh hota hai har tapp.

Apne ya swajanon ne jo bhi kiye hon burey karam,
Is parv par Ishwar se maafi maangein agar hum,
Toh hamein baksh dete Hain Bhagwaan,
Aur Ve karte Hain hamein sadgun pradaan.

Kyun na aaj is paawan parv par,
Mil kar Guruji se karein dua poore sansaar ke liye,
Maafi maangein sab apni galatiyon kee,
Aur jalaayein antar-mann mein sadbhaav ke diye.

Jaise Krishna Bhagwaan ne,
Pandavon ko diya Akshaypatra,
Vaise hee hum sab bhi hain,
Guruji kee paathshaala ke chhaatr.

Ganeshji toh Aapke putr Hain, Guruji,
Aur Bhagwaan Krishna bhi Aap mein Hain samaaye,
Jis bhi Bhagwaan ke sangat chaahe darshan,
Ve Aapke swaroop mein hee mil jaaye.

Guruji, Aap kripa kar sabki jholi ko,
Bhar deejiye achchi sehat ke dhan se,
Jeevan daan dekar roag duur keejiye,
Mahamari se peedit har jann ke tann se.

Aapki sharan aur suraksha mein,
Sach mein shubh hai har din aur har pal,
Koi vehem nahin, na koi rok toak,
Aur sakaaraatmakta miley har pal.

Hamein deejiye aisee buddhi,
Hamein deejiye aisee shuddhi,
Ki hum tyaag dein apne har vikaar ko,
Aur kanchan sa chamkaayein apne har vichaar ko.

Vichaar achche honei se changey ho jaayein hamaare karam,
Har kadam par hum nibhaayein insaaniyat ka dharam,
Aapki kripa se sudhaarna shuru karein apna aur doojon ka aane waala kal,
Taaki Akshay Tritiya par poori srishti ko Aapse praapt ho Akshay phal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Akshay Phal (05/13/2021)

Shukrguzaar Hoon Aapki (05/12/2021)

May 12, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1179

     SHUKRGUZAAR HOON AAPKI

Pyaare pyaare Guruji,

Jin par thaa bharosa atoot,
Unkee bewafaai se dil gaya toot,
Jin se sach kee poori ummeed thi,
Ve bhi kehte rahe jhooth pe jhooth.

Abb toh haal kuch aisa hai,
Ki zamaane se hee dil gaya hai rooth,
Aise mein buss yahee dua hai Guruji,
Ki Aapka dar na kabhi bhi jaaye chhoot.

Kyunki Aap par hai yeh vishwaas,
Ki Aapne hee salaamat rakhi hai jeene kee aas,
Aapke simran ke alaawa kuch bhi aata nahin hai raas,
Kripa kar ke sadaa karna mere dil mein vaas.

Asal dhan Aapka hee naam hai,
Aapne is satya se avagat hai karaaya,
Itna aseem pyaar diya Aapne,
Bhaav vibhor hokar yeh dil bhar aaya.

Buss, Aapke dulaar ke marham se bhar jaaye har zakhm,
Aur yeh baar baar ghaayal honei ka silsila ho jaaye khatm,
Itnee shakti mil jaaye mujhe Aapke pyaar se,
Ki asha kee aawashyakta na ho aur kisee ke dwaar se.

Kyunki Aap se hee har khushi hai,
Aur Aapse hee hai yeh asha,
Ki Aap vishaad kee khaayi mein na girne denge,
Chaahe duniya kar le jitna bhi tamasha.

Kyunki saari duniya ek taraf ho jaaye, toh bhi,
Aapke divya pyaar ke mahasaagar kee ek boond jitna bhi nahin hoga uska pyaar,
Aur Aapke pyaar ke amrit kee toh ek boond,
Mere liye hai sarv-kalyaan ka aadhaar.

Himmat dena mujhe har haal mein,
Pyaar aur wafaa nibhaane ke liye,
Shukraguzaar hoon mai Aapki,
Hakeekat dikhaane ke liye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shukrguzaar Hoon Aapki (05/12/2021)