Pyaare Guruji Kee Noore-Nazar (05/11/2021)

May 11, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1178

     Pyaare Guruji Kee Noore-Nazar

Dhoondho na Unhe dharti par ya gagan mein,
Ve toh rehte Hain tumhaare antar mann mein,
Unka kaha shabd kaheen kho gaya hai tumhaare ahem mein,
Ahem ka shor shant hoga toh paaoge tum Unhe swayam mein.

Mann toh jaanta hai tumhaara,
Ki Guruji Hain kewal Guru nahin,
Magar tumhaare mann ne yeh sweekaarna,
Shaayad abhi kiya shuru nahin.

Varna yeh sanshay na hota,
Varna tumhaara dheeraj na khota,
Varna tum dagamagaate nahin,
Varna tum ghabraate nahin.

Samjhaana hoga tumhe khud ko,
Aur har pal yaad dilaana hoga,
Ki Guruji Guru ke roop mein Bhagwaan Hain,
Aur Ve leela dhari karuna nidhaan Hain.

Guruji har pal saath Hain tumhaare,
Aur Ve tumhaare bheetar bhi Hain har pal,
Har pal Unka naam japte raho,
Dekhna, tumhaara har sanshay jaayega tal.

Tum Unse apni fikr ka zikr karo ya nahin,
Ve sab kuch jaante Hain,
Tum aane waale kal se prerit ho ya nahin,
Ve sabka bhavishya sanvaarte Hain.

Isliye dekho apne antar mann mein,
Aur pukaaro Unhe tum pyaar se,
Dekhna, Ve vaheen nazar aayenge,
Dekhte huey tumhe dulaar se.

Buss, yoon hee Guruji ko mann mein basaakar,
Tum tayy karte chalo zindagi ka safar,
Tumhaare jeevan kee har raah ko ujjwal karegi,
Pyaare Guruji kee noore-nazar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pyaare Guruji Kee Noore-Nazar (05/11/2021)

Jaan Nisaar Hai (05/10/2021)

May 10, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1177

    Jaan Nisaar Hai

Lakh diye bhi agar bujh jaayein raahon ke,
Guruji ke naam ka ek diya kaafi hai ujaale ke liye,
Har koi chaahe bhool jaaye mujh ko,
Guruji yaad rakhein yeh kaafi hai mere matvaale dil ke liye.
Yoon toh kabhi saagar saamne ho,
Toh bhi insaan reh jaata hai pyaasa,
Lekin Guru naam ke amrit kee toh ek boond hee,
Kaafi hoti hai pyaas bujhaane ke liye.

Guruji ke naam mein ek aisee hai masti,
Jismein khokar mitt jaati hai apni hasti,
Aur aise hee khokar gumraah musaafir ko raah mil jaati hai,
Aise hee khokar murjhaayee kali phool bann kar khil jaati hai.

Guru naam kee khushboo se khiltee kalee mehek jaati hai,
Guru naam kee roshni se raah ujjwal ho jaati hai,
Guru naam toh dawaa hai mann ke har marz kee,
Guru naam se bori halki hoti hai kayee janmon ke karz kee.

Guru naam kee dhun mein rehne mein aisa mazaa hai,
Jis se koi sazaa bhi nahin lagti ki veh sazaa hai.
Guruji ke naam mein basaa jo ruhaani pyaar hai,
Uspar toh is nacheez kee jaan nisaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jaan Nisaar Hai (05/10/2021)

Aapka Pyaar Paakar Mai Dhanya Hui Hoon (05/09/2021)

May 9, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1176

Aapka Pyaar Paakar Mai Dhanya Hui Hoon

Aksar aisa hota hai Guruji,
Ki Aap mein mujhe meri maa kee chhavi aati hai nazar,
Aapka pyaar paakar mai dhanya hui hoon,
Aapke pyaar kee chhaaon mein jeevan sukh se raha hai guzar.

Jabb jabb aati hai mujhe yaad,
Apni maa kee meethi muskaan,
Tabb Aapki muskuraahat se mann ko karti hoon aabaad,
Aur aati hai meri jaan mein jaan.

Jabb jabb goonjti hai kaanon mein maa kee awaaz,
Toh atma kee veena se sajaati hoon simran ka saaz,
Raahat milti hai antar mann ko,
Anmol maanti hoon uss kshan ko.

Jabb jabb bhojan yaad aata hai jo maa thi banaati,
Langar ka bhog lagaati hoon jalaakar Aapke saamne ghee kee baati,
Aapke ashish se langar prasad bann jaata hai,
Aur usey chhakne mein nirmal anand aata hai.

Jabb jabb maa ko pyaar kee jappi paane ko jee karta hai,
Tabb tabb dhyan mein Aapka haath mere haath ko pakadta hai,
Veh ruhaani khushboo, veh paawan sparsh,
Laata hai mere jeevan mein harsh.

Jabb jabb yaad karti hoon apni maa kee mamta,
Taar deti hai mujhe Aapke komal mamatva kee kshamtaa,
Aapke ashirwaad ke aanchal mein aamodit ho jaati hoon,
Aapka manan karte karte Aapki goad mein so jaati hoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapka Pyaar Paakar Mai Dhanya Hui Hoon (05/09/2021)

Guruji Kee Hukoomat (05/08/2021)

May 8, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1175

          Guruji Kee Hukoomat

Jo bhi ho jis din kee taareekh,
Har din se lete chalein hum yeh seekh,
Ki waqt kabhi kisee ke liye rukta nahin,
Aur insaan ke aagey veh kabhi jhukta nahin.

Waqt hai kewal Khudaayee ke vash mein,
Is raaze hakeekat se hona nahin tum kisee bhi kashmakash mein,
Kyunki Guruji ne hee sambhala hai samay,
Aur Unkee guruyaayee se samay ko bhi hai bhayy.

Sampoorna divyataa kee vadiyaayee samaayee hai,
Guruji kee guruyaayee mein,
Aur Guruji sadaa aakrisht rehte Hain,
Bhakton kee bhalaayee mein.

Isliye jo bhi tithi ho ya ho jo bhi din,
Kisee bhi pal ko ganvaaye bin,
Mann mein Guruji ka simran chalta rahe,
Aur mann mein Unke naam ka deep jalta rahe.

Taareekh badal jaayegi aur har din beet jaayega,
Guruji ke samaksh waqt kabhi na jeet paayega,
Waqt har pal rahega Guruji kee khidamat mein,
Isliye jo bhi khushi ya gumm waqt dega hamein hamaari kismat mein,
Waqt ko har baar leni hogi Guruji se izaazat,
Kyunki uspar hameshaan rahegi Guruji kee hukoomat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Hukoomat (05/08/2021)

Aapki Aparampaar Karuna (05/07/2021)

May 7, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1174

        Aapki Aparampaar Karuna

Pyaare Guruji,

Aapki jo hai aparampaar karuna,
Uske aagey bahut kamzor hai corona.
Phir bhi jo yeh poori duniya mein ho raha hai,
Yakeen hai ki iske kaaran Aapka bhi har pal aansoo baha hai.

Hum insaanon ko laukikta mein rahi na sadaachaari kee hosh,
Ismein nahin hai aur kisee ka koi bhi dosh,
Pashu pakshi ped paudhe vivash ho gaye jeene ko,
Unke liye humne toh swacch paani bhi nahin choda peene ko,
Kumm hoti gayi Unkee taadaad,
Aur bhautikvaad mein insaan hotey gaye aabaad.

Lekin abb Aapse hai yeh fariyaad,
Ki kar deejiye duniya ko corona se azaad,
Baksh deejiye hamein aisee buddhi,
Ki hamaare charitra mein aaye subuddhi aur shuddhi,
Karein hum Apne mann ko saaf,
Kar deejiye hum insaanon ko maaf.

Bhagwaan Hain Aap, murshid bhi Hain hamaare,
Hum toh buss arzi lagaa sakte hain aakar Aapke dwaare,
Kalyuga ka jo yeh maada samay hai aaya,
Is se hum mein se jo abb takk na hai seekh paaya,
Aap kripa kar hum mein se Unn sabko bhi sikha deejiye,
Aur poori maanav jaati ko maanav kee asal aukat dikha deejiye.

Hamaari ek dooje ke prati anukampa badhaane mein madad keejiye, Guruji,
Jitne imtehaan lene Hain Aapne, ve leejiye, Guruji,
Apna ashirwaad dekar unmein safalta deejiye, Guruji,
Lekin, hamaare liye aur vish na peejiye, Guruji.

Aapki daya se simran aur sewa ka bhaav badh jaaye,
Aapke anugreha se har koi adhyatmik seedhi chadh paaye,
Aapka shukrana karein aur Aapki mahima suney sunaayein,
Manovikaaron ko tyaag kar achche bann jaayein.

Jo jo gunah hum sab se hua, so hua,
Abb shaayad sabki hogi Aapse vinamr dua,
Ki hum β€˜bande bann’ jaayein maankar Aapki baat,
Kyunki yahee daat banegi hamaare liye sampoornta kee saugat.

Yahee hai raasta insaaniyat aur sadaachaari ka,
Isee se khatra kumm hoga mahamaari ka,
Yahee ilaaj hai vikaaron kee beemaari ka,
Isee mein hai samaadhaan hamaari har laachaari ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Aparampaar Karuna (05/07/2021)

Srishti Kee Parampara (05/06/2021)

May 6

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1173

Srishti Kee Parampara

Kehte hain ki ummeed pe duniya kaayam hai,
Sach mein, is baat mein bahut dumm hai,
Isliye chalte hai jaana,
Aur karna hai sadaa Shukrana.

Mahamaari se hui hai itnee laachaari,
Ki pareshaan hai yeh duniya saari,
Aani hai kal kiskee baari,
Yeh soch bann gayi hai ek aur beemari.

Kis mushkil se darein kis se na darein,
Marte marte jeeyein ya jeete jeete marein,
Is kalyuga ka kuch aisa hee hai fasaana,
Achchaayee ke liye bhi dena padta hai yahaan jurmaana.

Lekin Guruji ko maalum hai sab,
Aur Ve rakh rahe Hain hisaab,
Unhe sab kuch nazar aata hai,
Chaahe kitna apaardarshi kyun na ho nakaab.

Apna kaam karte chalein,
Mushkilon se darna chod dein,
Is darr ko chod kar,
Jeeta jee marna chod dein.

Shukrana se ummeed ka hoga paawan
parinaam,
Kyunki shukrana mein hai har mushkil ke hal ka intazaam,
Jabb takk hai yeh saans aur yeh zindagi,
Karte rahein Guru Govind kee bandagi.

Simran kee shakti ka asar hoga zaroor,
Isliye na mehsoos karein swayam ko majboor,
Simran ka spandan poore jahaan mein is kadar phaylaayein,
Ki is spandan se sabb praani nirbhaytaa aur ruhaani shakti paayein.

Kewal insaan nahin, balki pashu, ped aur paudhe bhi,
Kyunki yeh spandan hai aawashyaktaa har praani aur har ohde kee,
Anivaarya hai hona saamanjasya prakriti mein,
Shuddh aur shubh spandan se hee sudhaar hota hai niyati mein.

Yug toh badalte rahenge,
Yahee paramparaa hai srishti kee,
Guruji se karte rahein dua,
Unke ashirwaad kee vrishti kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Srishti Kee Parampara (05/06/2021)

Mehmaan Aur Musaafir (05/05/2021)

May 5, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1172

          Mehmaan Aur Musaafir

Ye duniya kisee kee jaageer nahin hai,
Kiraayedaar kee haisiyat se yahaan hai rehna,
Mehmaan hain hum yahaan par,
Neevenpann ko banaayein apna gehna.

Guruji ko toh sab maalum hai,
Kiskee atma ne kaisa pehnaava hai pehna,
Guruji toh sab jaante Hain,
Vyarth hai Unse jhooth kehna.

Musaafir ka hee toh darja hai hamaara,
Zindagi ke is safar mein,
Hamein Guruji ka ashish chaahiye,
Har pal is dagar mein.

Khud ko ghul jaane se bachaayein,
Ahankaar ke asar mein,
Jitna ho sakey simran karein,
Jeevan ke kshanbhangur basar mein.

Is satya ko sadaa rakhein hum yaad,
Ki jabb yahaan se jaane ka vela aayega,
Paanch tatvon se banaa yeh shareer,
Paanch tattvon mein hee samaa jaayega.

Guruji kee kripa se mila hai hum sabko,
Insaan bann kar jeene ka vishesh adhikaar,
Is saubhaagya ka karein hum aadar,
Aur tyaag dein vikaaron kee chaadar.

Veh chaadar jo humne odh rakhi hai,
Veh chaadar hai badi chanchal,
Hamaari punyasheeltaa dhaki hai usne,
Aur bhi mayli hoti jaa rahi hai har pal.

Yeh chanchal chaadar nikharne na degi,
Hamaare charitra ke noor ko,
Jabb takk hum isey odhe rahenge,
Yeh dabaa degi simran ke bhi suroor ko.

Isliye utaar kar ke yeh chaadar,
Guruji ka karein pyaar bhara aadar,
Apne sanatan nivaas sthaan ko na bhoolein,
Aur simran ke soumya jhoole mein jhoolein.

Mehmaan hain, is aatithya ka karein sammaan,
Saath nahin lekar jaayenge koi bhi laukik saamaan,
Jitna lenge hum Guruji ka naam,
Apne ghar laut kar jaana hota jaayega aasaan.

Hum mein basey musaafir ko,
Mil jaayegi asal manzil ek din,
Guruji hee pahunchaayenge vahaan takk,
Yeh safar bilkul namumkin hai Unke bin.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mehmaan Aur Musaafir (05/05/2021)

Pyaar Ka Saagar (05/04/2021)

May 4, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1171

   Pyaar Ka Saagar

Har sarita behti hai saagar mein,
Aur apna astitva kho deti hai uske baad,
Saagar bhi prem se usey apne mein samaa leta hai,
Aur kabhi nahin jataata hai apna ye ashirwaad.

Hamaare Guruji pyaar ka saagar Hain,
Har Devi Devta Unmein hee samaaye Hain,
MahaSamadhi se pehle kuch bhakton ko toh,
Guruji ne Mandir kee rasoi mein Mata Rani ke darshan bhi karaaye Hain.

Kisee ko saakshaat roop mein,
Toh kisee bhakt ko swapn mein,
Guruji ne anya Bhagwaanon ke,
Darshan karaaye Hain swayam mein.

Ve hee Hain Om aur Omkar,
Ve hee Hain Bindu aur Naad,
Sai aur Krishna ka roop bhi lekar,
Ve dete Hain bhakton ko ashirwaad.

Anek Bhagwaanon ko poojein hum,
Ya Guruji mein hee sabke darshan paayein,
Divya jyoti toh ek hee hai,
Guruji hamein ye tathya samjhaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pyaar Ka Saagar (05/04/2021)

Guru Arjun Dev (05/03/2021)

May 3, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1170

                  Guru Arjun Dev

Guru Arjun Dev ke prakash Purab par,
Aayiye Unkee mahima ka karein aur sunein bakhaan,
Guruon ke yash ke gungaan se,
Karein hum apna kalyaan.

Tarn Taaran mein janme Ve,
1563 thaa saal,
Aaye Ve is dharti par,
Bannkar bhakton kee suraksha kee dhaal.

Dharma aur insaaniyat ke rakshak,
Aur adhyatmik gyan ke deekshak,
Chauthe Guru, Guru Ramdas aur Mata Bhani kee santaan,
Thei Guru Arjun Dev karuna nidhaan.

Teesre Guru,
Guru Ramdas ke thei Ve potey,
Aur Unkee kripa se
Kitne bhakt apne paap hain dhotey.

Ganit, Sanskrit, aur sadhna mein nipun,
Guru Arjun Dev mein thei anginat sadgun,
Mata Ganga se hua Unka vivaah,
Aur nikhartaa gaya Unkee guruyaayee ka paawan pravaah.

Guru Arjun Dev ji thei,
Sikhon ke paanchvein Guru,
Aur Apni vadiyaayee se,
Unhonei itne mahaan kaarya kiye shuru.

Lahore se muslim santt ko,
Unhonei aadar satkaar se bulaaya,
Aur Unse Harmandar Sahib kee,
Aadhaarshila ko rakhwaaya.

Adi granth Guru Granth Sahib ka,
Jinhonei kiya niswaarth sankalan,
Aur Sukhmani Sahib ke paath kee rachna kee,
Jabb kiya Baba Buddha ji aur gurasikhon ne vandan.

Ramsar Sahib Sarovar ke kinaare baith kar,
Unhonei Sukhmani Sahib uchaara,
Aur banaaya bhakton ko dhani,
Dekar Unhe is paath ke roop mein anant sukhon kee mani.

Jahaangir ne anyaaya kar ke,
Guru Arjun Dev ko bandi banaaya,
Lekin veh is shoshan se bhi,
Unkee vadiyaayee ko kumm na kar paaya.

Ruhaani raah par chalte chalte,
Guru Arjun Dev ne kiya kitnon ka uddhaar,
Kathor se kathor kasht bhi sahe,
Lekin kabhi na maani haar.

1606 mein 30 May ko,
Ravi nadi ne Unhe apni goad mein liya,
Neevenpann aur shanti ke prateek,
Guru Arjun Dev ne tabb Apna shareer chod diya.

Guru Granth Sahib kee takreeban 5000 se bhi zyada baaniyon mein se,
Kareeb 2000 rachin hain Guru Arjun Dev ke dwaara,
Guruji bhi hamein sikhaate Hain,
Ki hum lein Gurbani ka sahaara.

Guruji ke har satsang mein hota hai,
Gurbani ka manan aur shravan,
Inhee se bhakton ko sandesh hai milta,
Aur shaant hota hai mann.

Zindagi mein Guru ke aane se,
Sanvar jaate hain saare kaaj,
Guru Arjun Dev ke Prakash Purab kee,
Sabhi ko mubarak ho aaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Arjun Dev (05/03/2021)

Kismat Ke Bandd Dwaar (05/02/2021)

May 2, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1169

          Kismat Ke Bandd Dwaar

Kismat ke bandd dwaar usee pal khul gaye,
Jabb Ishwar mujhe Guruji ke roop mein mil gaye,
Uske baad ka safar ek anokhe dhangg se chal raha hai,
Itna kasht toh mujhe chhoone se bhi pehle tal raha hai.

Jo meri kismat mein hai, veh mujhe milega zaroor,
Balki Guruji kee kripa se milega uss se bhi behtar,
Ye kewal ek ummeed nahin, balki tathya hai,
Lekin insaan noon, isliye khud ko yaad dilaana padta hai aksar.

Har baar vasant nahin, sharad ritu bhi aayegi,
Lekin Guruji kee mehar se veh santulan na kumm kar paayegi,
Uske aane se vasant kee vadiyaayee ka aur bhi ehsaas hoga,
Aur har pal ka sadupyog karne ka mera prayaas hoga.

Guruji ka naam jabb jabb dil mein aur labhon par aata hai,
Mere shwaas ko jaise ek naya jeevan mil jaata hai.
Kyunki jis oorjaamayee spandan ka ehsaas ho jaata hai,
Usee mein mera veh shwaas kho jaata hai.
Usmein kho jaane se veh Guruji mein aur bhi zyada ramm jaata hai,
Jis se mere dil ka har dukh, har dard, har gumm kumm ho jaata hai.

Unke naam ka aisa prabal hai prabhaav,
Ki Unhee mein leen rehta hai bhakti ka bhaav,
Arzoo hai ki milta rahe Guruji ke naam ka shubh spandan,
Aur khilta rahe Unkee dee hui oorja se mera kiya hua vandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kismat Ke Bandd Dwaar (05/02/2021)