Ek Mein (05/01/2021)

May 1, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1168

              Ek Mein

Sikhon ke nauven Guru, Guru Tegh Bahadur ka,
Prakash purab hai aaj,
Guru kee sharan milne se,
Sarbat ke sanvar jaate hain kaaj.

Guru Hargobind aur Mata Nanaki kee thi Ve santaan,
Tyaga Mal thaa Unke bachpan ka naam,
Guru Tegh Bahadur, pita ne Unhe yeh naam diya,
Aur Unhonei Apni vadiyaayee se Apni guruyaayee ka farz adaa kiya.

Guru Nanak ke vachan kee mahima ka kiya Unhonei gungaan,
Aur atyadhik samay ke liye kiya simran aur dhyan,
Bhai Buddha aur Bhai Gurdas ne dee Unhe shiksha,
Aur Guru Tegh Bahadur ne kee sikhon kee raksha.

Anya Guruon ke jaise Ek Onkar ke tathya ka kiya Guru Tegh Bahadur ne bakhaan,
Taaki Ishwaratva kee akhandataa jaan jaaye jahaan,
Hamaare Guruji jo MahaShiv ke swaroop Hain,
Ve bhi Ek Onkar aur Om ka hee roop Hain.

Inhee ek mein Hain saare Bhagwaan,
Inhee ek mein hain saare teerath dham,
Inhee ek mein basaa hai Brahmaand mahaan,
Inhee ek mein basaa hai adhyatmik gyan.

Taareekh bhi ek may hai aaj,
Ek Onkar ka hai aaj bhi Srishti par raaj,
Jis bhi roop mein poojein hum Parwardigaar ko,
Hum sabki pukaar jaati hai usee ek taaranhaar ko.

Guru Tegh Bahadur ke prakash purab par,
Divyata kee ekta ko karein hum pranaam,
Sampoorna jagat ke kalyaan kee dua karein,
Unhee ek mein ekaagrachitt kar ke apna dhyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ek Mein (05/01/2021)