June 9, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1207
Dhanya Hua Sansaar
Swami Hain jo kann kann ke,
Antaryaami Hain sabke mann ke,
Daata Hain asal dhan ke,
Dikhaate Hain Ve sabke bann ke,
Unn dayalu Guruji ko pranaam baarambaar,
Aise pooran Guru ko paakar dhanya hua sansaar.
Sewa aur simran kee dete Hain jo daat,
Bhakton ka khayaal rakhte Hain jo din raat,
Lekha badal kar banaa sakte Hain jo bigdee hui baat,
Unke liye hum ek samaan Hain chaahe jo bhi ho hamaari jaat,
Unn dayalu Guruji ko pranaam baarambaar,
Aise pooran Guru ko paakar dhanya hua sansaar.
Jo aaye duur karne bhakton ka vehem aur andhvishwaas,
Jinhonei sadaa kiya hai ahem aur paakhand mitaane ka prayaas,
Jinkee bhakti mein paata hai saralta, taralta, nirmaltaa ka ehsaas har das,
Jinkee divya chhavi karti hai har bhakt ke antar-mann mein vaas,
Unn dayalu Guruji ko pranaam baarambaar,
Aise pooran Guru ko paakar dhanya hua sansaar.
Langar prasad aur chai prasad kee jo dete Hain dawaai,
Jinke satsang sunn-ne aur sunaane se hoti hai sangat kee bhalaayee,
Jinke darbar mein hoti hai har sharnaagat kee sunvaayee,
Jinkee guruyaayee se vaddi nahin hai Srishti kee koi bhi vadiyaayee,
Unn dayalu Guruji ko pranaam baarambaar,
Aise pooran Guru ko paakar dhanya hua sansaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja