Guruji Se Guzaarish Hai (06/15/2021)

June 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1213

         Guruji Se Guzaarish Hai

Chehre ke nayyn bandd thei,
Magar khuley huey thei mann ke nayyn,
Saraahte huey Guruji ke saumya roop ko,
Unn nayynon ko mil raha thaa sukoon aur chayyn.

Bin kuch boley mann kee aankhein,
Bayaan kar rahin thi Guruji ko mann ka haal,
Guruji pyaar se sunn rahe thei,
Bin poochhe koi bhi sawaal.

Itna noor thaa chhaaya hua,
Kyunki Ishwar swayam thaa saamne aaya hua,
Anubhav ho raha thaa Gurbani ka madhur spandan,
Tabhi khushboo aayi jaise miley hon gulab aur chandan.

Aankhein kholne ke liye hui mai majboor,
Lagaa ki kuch kaaran hoga zaroor,
Uss anokhi si khushboo ka,
Jisne dard har liya rooh ka.

Dekha toh mere saamne mandaraa rahi thi ek titlee,
Itne shokh rangg thei uske maano chamak rahi ho bijlee,
Jahaan titlee mandaraati thi, khushboo bhi vahaan jaati thi,
Isliye titlee kee udaan ke saath saath hawaa bhi mehek si jaati thi.

Mann mein Guruji se hui mulaakaat,
Aur aankhein kholi toh bhi milee divya darshan kee saugat,
Guruji ka shukrana baarambaar,
Ki Unke darshan se mila itna pyaara pyaar.

Arzoo hai ki jidhar se bhi aayein,
Ye hawaayein Guruji ka paigaam laayein,
Abb toh chaahe aankhein khuli hon ya hon bandd,
Guruji se guzaarish hai ki Ve har pal nazar aayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Guzaarish Hai (06/15/2021)

Leave a comment