June 20, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1218
Parampita Pyaare
Parampita pyaare, Guruji hamaare,
Aapki izaazat se pahunche hain hum Aapke dwaare,
Aapne hee Hain hamaare kaaj sanvaare,
Hum sab toh chal rahe hain buss Aapke sahaare.
Aapne hum sabko goad mein liya,
Har pal itna laad aur pyaar hai diya,
Aapne Apne aanchal se aansoon ponchhe Hain hamaare,
Hamaare liye andhere mein akash mein sajaaye hain chaand aur taare.
Hamaara haath thaam kar hamein chalna sikhaaya,
Hamein sahi aur galat mein fark dikhaaya,
Andhvishwaas se duur rehne kee prerna dee,
Vikaaron ko tyaagne kee chetna dee.
Hamaari galatiyon ko Aap karte Hain maaf,
Hamaare mann ko Aap karte Hain saaf,
Aur phir hamein sikha kar jeene ka paath,
Rehte Hain har pal hamaare saath.
Aapne dee hai hamein nek jeeven jeene kee yogyataa,
Aapne dee hai hamein sachchaayee ke liye khade honei kee kshsmtaa,
Buss Aapke nakshe kadam par chal paayein,
Aur Aapke ashirwaad se Aapke gunn sadaa gaayein.
Shukrana shukrana Aapka,
Jo Aapne sadaa nibhaaya hai saath,
Shukrana Shukrana Aapka,
Ki Aap Hain hamaare naath.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja