June 10, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1208
Sachkhand Kee Sehar
Zindagi kee vadiyan hain ye,
Utaar chadhaav toh aate hee rahenge,
Lekin Guruji kee dee hui himmat se,
Hum har chunauti ko sahenge.
Vishwaas saboori ke saath bol raha hai,
Bhakti mein yeh mann dol raha hai,
Guruji Hain zindagaani mein,
Sabb kuch hai Unkee nigraani mein.
Vaadiyon mein Guru hamaare sangg chalta Hai,
Unka naman karte huey sooraj dhalta hai,
Har subah ka sooraj Unkee kripa se hee hota hai uday,
Isliye har mushkil se hokar abhay,
Guruji ke saath se,
Apne sir par Unke haath se,
Hum lete chalein Unka ashirwaad,
Aur har utaar ya chadhaav ke baad,
Karein hum Unka dhanyawaad,
Kyunki Unse hee hain hum aabaad.
Utaar ka shukrana,
Kyunki Guruji kee karuna se hum usey jhel paaye,
Chadhaav ka shukrana,
Kyunki Unkee nadar se achche din bhi aaye.
Humne hee jamaa kiye apne khaate mein har tarehn ke karam,
Abb Unka bhugtaan bhi toh hai hamaara dharam,
Tabhi toh mila hai roop insaan ka,
Taaki imtehaan ho jaaye imaan ka.
Isliye vaadiyon se kaisa ghabraana,
Unhonei toh hai aana jaana,
Karte chalein har vaadi aur har utaar chadhaav ka shukrana,
Aur koshish karein ki jahaan takk ho sakey na bharna pade hamein jurmaana,
Buss, yoon hee safar chalta rahe Guruji kee mehar se,
Kaash manzil par mulaakaat ho jaaye sachkhand kee sehar se.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja