Aapse Ye Hai Kehna (07/31/2021)

July 31, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1259

Aapse Ye Hai Kehna

Pyaare Guruji,

Aapki mehar se zindagi mein din thaa aaya,
Jabb apne dil mein Aapka darbar thaa sajaaya,
Apne naadaan agyan pyaar se Aapko bulaaya,
Aur Aapke aane par Aapko khushi se vahaan baithaaya.

Aap itne sneh se muskuraaye,
Jabb Aap viraajmaan honei ke liye aaye,
Phir Aapne Apni divya leela se,
Uss darbar mein mujhe shabad sunvaaye.

Aapke dwaara chuney har shabad ne,
Amrit paan ka anand hriday ko diya,
Yoon lagaa ki badi muddat ke baad apne jeevan mein,
Mainey raahat bharaa saans liya.

Har fikr shabad kee dhaara ke sangg behti gayi,
Mann hee mann mein Aapse apna haal mai kehti gayi,
Judee jo Aapse seedhi taar,
Baaki sab lagne lagaa bekaar.

Uss taar ke prabhaav se azaadi ka hua ehsaas,
Aapka divya roop karne lagaa mere mann mein vaas,
Aapki dhun mein ramta gaya har shwaas,
Bin kiye koi asaadhaaran prayaas.

Mann mandir ke darbar mein Aapka deedar,
Bann gaya mere har din ka anmol hissa,
Har din is deedar mein samay bitaana,
Bann gaya mere jeevan kee kahaani ka kissa.

Kahaani mein kirdaar badalte gaye,
Aapki kripa se mere karam katt-te gaye,
Zindagi ke haalaat sudharte gaye,
Meri zindagi ke lamhe sanvarte gaye.

Yeh rishta kewal mann ka nahin, balki hai atma ka,
Aapke deedar se mila hai dar Paramatama ka,
Mann ka bhaav har kshan chaahe Aapke liye behna,
Aapse darkhaast karte huey Aapse ye hai kehna,
Ki chaahe mujhe kuch bhi padey sehna,
Aap mere mann ke mandir mein sadaa yoon hee basey rehna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapse Ye Hai Kehna (07/31/2021)

Taar Deejiye (07/30/2021)

July 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1258

                    Taar Deejiye

Param poojya Guruji,

Taar deejiye,
Hamein taar deejiye,
Sudhaar deejiye,
Hamein sudhaar deejiye.

Buddhi mein shuddhi ho,
Shwaas mein ho vishwaas,
Aapke ashirwaad ka,
Aabaad rahe ehsaas.

Kuch bhi toh vash mein nahin hai hamaare,
Kyun hum yeh bhool jaate hain aksar,
Aapki vajeh se sitaare sahi hain hamaare,
Phir bhi hum ganvaae dete hain shukrana karne ka avsar.

Jaise bhi abhi haalaat hain hamaare,
Aapke ashish se pehle se toh behtar hain,
Varna kalyuga mein toh kuch logon ke kasht,
Kaheen zyada brihattar (magnified) hain.

Isliye Aapka aur Aapki rehmaton ka,
Shukrana karna sabse zaroori hai,
Aapke aanchal mein asahaay mehsoos karne kee,
Hamein nahin koi bhi majboori hai.

Kyunki jiska sahaara Aap hon,
Usey kyun kabhi bhi padey ghabraana,
Usey toh apni har saans mein basaana hoga,
Aapki aseem mehar ka shukrana.

Sir aankhon par rakhkar Aapki dee hui har daat,
Zindagi ke har pal ko jaan kar Aapki dee hui saugat,
Aapki mahima ka sadaa karte rahein hum gungaan,
Har janam mein deejiye Apni sharan mein rehne ka vardaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Taar Deejiye (07/30/2021)

Jeevan Poora Hai (07/29/2021)

July 29, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1257

                Jeevan Poora Hai

Pyaare Guruji,

Aapke prem se miltee hai shwaas ko sheetalta,
Aapke dhyan se miltee hai antar-mann ko nirmaltaa,
Aapki mamta se aati hai dil mein komaltaa,
Aapke satsang sunn-ne se mehsoos hoti hai taraltaa.

Aapke maargadarshan se raasta ho jaata hai ujjwal,
Aapki kripa se hatt jaata hai raah ka daldal,
Aapke protsaahan se aagey badhna mumkin hota hai,
Aapki dee hui himmat se har kasht lagta chhota hai.

Aapke darshan se ho jaata hai uddhaar,
Aapke ashirwaad se jeevan mein aata hai sudhaar,
Aapke swaroop se baat ho paati hai,
Aapki chhavi divyata ka ehsaas dilaati hai.

Aapka har vachan zindagi jeena sikhaata hai,
Aapka har hukm anushaasan laata hai,
Aapki ruhaani khushboo mehekaati hai spandan ko,
Aapki leela chaar chaand lagaati hai vandan ko.

Aapko samarpan karne se har chinta ho jaati hai duur,
Aapko shukrana karne se har sanshay ho jaata hai chuur,
Aapke simran bin toh har saans adhoora
hai,
Aapke sangg honei se hee jeevan poora hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevan Poora Hai (07/29/2021)

Isee Mein Aapka Kalyaan Hai (07/28/2021)

July 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1256

Isee Mein Aapka Kalyaan Hai

Yeh bann gaya ek ruhaani safar,
Dua ne dekho dikhaaya asar,
Guruji ne sweekar kar liya vandan,
Usee se hee toh ruhaani hua safar ka spandan.

Guruji ne na diya koi bhi pravachan,
Kabhi na kiya kisee ke dharam ko badalne ka jatan,
Unhonei toh kewal banda bann-ne ko kaha,
Insaaniyat ka paath padhaane mein Unka pyaar baha.

Pyaar aisa jo aaj bhi mehsoos hota hai,
Koi bhakt aisa nahin jo Unke pyaar mein nahin khota hai,
Isee pyaar mein khokar hum dhoondh sakenge swayam ko,
Aur Shivoham kee manzil takk pahunch paayenge tyaag kar ahem ko.

Simran, sewa, aur samarpan se tayy hoga raasta is manzil ka,
Niswaarth bhaav aur vishwaas ko banaana hoga saathi atma-bal ka,
Simran se sheetal hoga antt-karan,
Simran se hee hoga pavitrikaran,
Sewa se nikhar jaayegi samvedana,
Neeven honei ke liye milegi prerna,
Badhta jaayega Shukrana ka ehsaas,
Jo laayega hamein Guruji ke aur bhi paas.

Samarpan se toh har chinta ho jaayegi duur,
Guruji ke chintan se chhayega Guruji ka noor,
Noor, hamaare bheetar bhi aur chehre par,
Koi nakaraatmakta na vijay paa sakegi Guruji ke pehre par.

Buss, phir Unhee kee mehar se,
Mulaakaat hogi ruhaani sehar se,
Jahaan adhyatmikta ka sooraj kabhi na ast hoga,
Jahaan antar-mann Guruji ke deedar mein vyast hoga.

Guruji kee kripa se aagey badhein is safar mein,
Kabhi na kabhi toh manzil takk pahunchenge zaroor,
Aapko maalum hai ki isee mein aapka kalyaan hai,
Phir kyun itna soch rahe hain, huzoor?

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Isee Mein Aapka Kalyaan Hai (07/28/2021)

Unkee Karuna Se Tarega Sansaar (07/27/2021)

July 27, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1255

  Unkee Karuna Se Tarega Sansaar

Mahasaagar kee har boond par,
Guruji ka ashirwaad hai,
Sooraj ka abha mandal,
Guruji kee hee dee hui saugat hai,
Chaand kee haseen chandni,
Guruji kee mehar se aabaad hai,
Ann ka har daana,
Guruji ka diya prasad hai.

Unn pashu pakshiyon ke samudaay,
Unkee raunak bhi Guruji kee leela se aaye,
Veh taruvar jo karta hai roti, kapde, aur makaan ka intazaam,
Uskee yeh sewa bhi hai Guruji dwaara usey diya gaya kaam.

Yeh dharti maa jiska itna anokha roop hai,
Yeh akash jo kabhi deta chhaaon toh kabhi dhoop hai,
Veh vayu jo Guruji kee kripa se kabhi dheemi toh kabhi tezi se dolti hai,
Veh agni jo har pooja mein Guruji kee jaijaikaar bolti hai,
Veh jal jo har tarehn ke jalaashay mein samaata hai,
Yeh tattva bhi Guruji se hee apna astitva paata hai.

Kann kann par, har mann par,
Guruji ka raj hai,
Guruji ka saamarthya,
Sanvaarta har kaaj hai.

Jeevan ke har tufaan ke liye,
Jeevan kee har bahaar ke liye,
Guruji ke kiye har upkaar ke liye,
Unke diye huey har uphaar ke liye,
Unka dhanyawaad baarambaar,
Unkee leela hai aparampaar,
Unkee kripa se hoga beda paar,
Unkee karuna se tarega yeh sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Karuna Se Tarega Sansaar (07/27/2021)

Guruji Mein Is Tarehn Ramm Jaayein (07/26/2021)

July 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1254

Guruji Mein Is Tarehn Ramm Jaayein

Pyaar mein nahin hoti jeet ya haar,
Pyaar mein hota hai jazbaat ka ikraar,
Jazbaat ki tumhe kisee ke bhale kee hoti hai chaah,
Jazbaat ki tumhe kisee kee hoti hai nek parvah.

Na jaane dil naazuk kyun hota hai kisee kisee ka,
Na jaane isey kyun pahunchti hai doojon ke vyavhaar se chot,
Aur na jaane kyun kisee kisee ka dil aisa nahin hota,
Chaahe usmein ho ya na ho khot.

Bhaavuk hona koi buree baat nahin,
Lekin dil ko chot pahunchna bhi toh sahi nahin,
Isliye dil ko pakka karna aawashyak hai adhyaatmikta mein aagey badhne ke liye,
Simran se mann ko sthir karna zaroori hai ruhaani seedhi chadhne ke liye.

Pehle pehle simran kee aadat na bhi ho,
Toh bhi koshish karne se aadat ho jaati hai,
Aur Guruji kee mahima se hamaari koshish,
Phalibhoot bhi ho jaati hai.

Guruji ke liye mann mein bhaav hai jo pyaar ka,
Usee se simran mein mauka milta hai divya deedar ka,
Shanti miltee hai, badhta hai atma-bal,
Aur pavitrikaran ke saath saath kayee karam jaate hain tal.

Guruji ko rijhaane kee chaahat badhti jaati hai,
Jaise jaise Unke sangg gehra hota jaata hai bhakt ka pyaar,
Guruji kee mamta dil kee har chot ko harti jaati hai,
Simran karte rehne ke liye dil rehta hai bekaraar.

Mann ke mandir mein Guruji buss jaate Hain poorna-roop se,
Guruji ke bachche toh baatein bhi karte Hain Unke Swaroop se,
Dono tarehn se hee Guruji sunte bhi Hain aur kehte bhi Hain,
Ve mann mandir mein aate bhi Hain aur rehte bhi Hain.

Jabb bheetar se is sachchaayee ka hota hai ehsaas,
Ki Guruji aur hamaare pyaar se zyada ahemiyat aur kisee bhi rishte kee nahin,
Tabb dil ko thes nahin pahunchti pehle ke jaise,
Kyunki Guruji sangg Hain toh sab ho raha hai sahi.

Dil rehne lagta hai Guruji kee dhun mein,
Aur ramne lagta hai Guruji ke gunn mein,
Phir soojhta nahin isey aur kuch,
Kyunki aur sab lagne lagta hai tuchh.

Kyun na hum sab Guruji mein is tarehn ramm jaayein,
Ki zindagi ke koi bhi kasht ya dhokhe
na hamein sataayein,
Ve Guruji kee nigraani mein aayein aur karmon ka bhugtaan karvaayein,
Aur hum Guruji ke pyaar kee mehar se tarte jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Mein Is Tarehn Ramm Jaayein (07/26/2021)

Mera Matwaala Mannn (07/25/2021)

July 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1253

        Mera Matwaala Mann

Thi mai pyaare Guruji ke khayaalon mein,
Chalte chalte kho gayi kuch sawaalon mein,
Phir pahunchi mai Guruji ke dwaare,
Ruk gayi mai ek nadiya ke kinaare.

Guruji kaksh mein thei gehri sadhna mein,
Mai bhi ramm gayi Unkee aradhana mein,
Anokha anand thaa uss vandan mein,
Divyataa thee vaataavaran ke spandan mein.

Hariyaali thi chaaron oar,
Ghaas par naach rahe thei moar,
Taruvar thei vahaan bahut saare,
Lagg rahe thei ve bahut pyaare.

Ati-sundar phool khiley huey thei,
Titliyaan mandaraa rahin thi phoolon ke aaspaas,
Chandan aur gulab kee khushboo thi aa rahi,
Jis se itna nirmal mehsoos kar raha thaa shwaas.

Tabhi neend se mai jaagi,
Aur aayi mujhe vahee khushboo,
Mai uth kar dekhne bhaagi,
Koi na dikha lekin tarr gayi meri rooh.

Khidkee se baahar aangan mein dekha,
Phoolon aur paudhon ke beech mein titaliyaan rahin thi mandaraa,
Moar toh dikha nahin koi bhi vahaan,
Lekin mere mann ka moar thaa naach raha.

Samjhi mai ki Guruji ne mujhe sapna dikhaaya,
Aur Unkee mehar se mujhe kitna anand aaya,
Sapne mein aur hakeekat mein khushboo se Unka darshan mainey paaya,
Yeh jaan kar mera matvaala mann phoola nahin samaaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mera Matwaala Mannn (07/25/2021)

Shukrana Kee Shradhanjali (07/24/2021)

July 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1252

        Shukrana Kee Shradhanjali 

Gurupoornima ka shubh din hai aaya,
Pyaare Guruji se humne kitna ashirwaad hai paaya,
Har pal shukrguzaar rahein hum Guruji ke,
Jinhonei Apni har sangat ko hai raasta dikhaaya.

‘Guru’ shabd ko poorna saarthakta dee Guruji ne,
Agyan ka timir mitaane aaye,
Guru bhi Hain, murshid aur meet bhi,
Dete Hain sabko bandhu, bhai, mata-pita kee preet bhi.

MahaShiv ke avataar Hain Guruji,
Jagg ke paalanhaar Hain Guruji,
Saare devi devta Guruji mein samaaye Hain,
Jinke darshan Guruji ne sangat ko karaaye Hain.

Aaye Ve hamein andhere se nikaalne,
Ujaale mein lekar jaane ke liye,
Aaye hamaara jeevan sanvaarne,
Aur jalaaye hamaari raahon mein deeye.

Deeye, jinhonei phayylaaya hamaari raahon mein prakash,
Deeye, jinke prakash se phayylaa jeevan mein shubh sakaash,
Guruji ne kitnee baar girne se hamein bachaaya,
Aur jabb kabhi hum girey, toh himmat dekar uthaaya.

Azaad karne aaye hamein har vyarth paash se,
Banda bann-ne ka paath padhaaya,
Vehem, ahem ko chuur karne aaye,
Aur hamaara atma-bal badhaaya.

Dete Hain Guruji vyaavahaarik aur vaastavik gyan,
Rakhte Hain saari kee saari sangat ka dhyan,
Namumkin hai karna Guruji kee anant mahima ka bakhaan,
Kyunki Guruji Hain Srishti kee har shakti se mahaan.

Aaj Gurupurnima par karein nek aur dridh iraada,
Ki Guruji kee kripa se hum nibhaayein banda bann jaane ka vaada,
Maalik kee itnee mehar ki Unhonei liya hum sabko Apni sharan mein,
Shukrana kee Shradhanjali arpit karein Guruji ke kamal charan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shukrana Kee Shradhanjali (07/24/2021)

Na Bhoolo Baantna Pyaar (07/23/2021)

July 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1251

Na Bhoolo Baantna Pyaar

Baant liye dukh doojon se,
Na jaane kitnee baar,
Lekin yeh bhi zaroori hai,
Ki na bhoolo baantna pyaar.

Pyaar toh aisee aushadhi hai,
Jis se dard kumm ho jaata hai,
Kitna bhi gehra zakhm kyun na ho,
Pyaar se veh jaldi bhar paata hai.

Guruji dete Hain sab bhakton ko pyaar,
Jis se nirantar hota hai sabka uddhaar,
Aur Unke bhakt baantenge jitna pyaar,
Utna sakaaratmak hoga hai sansaar.

Pyaar mein Parameshwar baste Hain,
Pyaar kee pavitrataa ka sammaan karo,
Guruji ko bhi bhakton ka pyaar rijhaata hai,
Unse bhi pyaar karo, Unse na tum daro.

MahaShiv Guru kewal ek hai,
Aur jabb takk neeyat nek hai,
Guruji kee mehar se tum katraaoge nahin,
Jahaan bhi jaaoge, Guruji sangg chalenge vaheen.

Kyunki Ve adheen Hain tumhaare paawan pyaar ke,
Isliye apne bhaav mein niswaarth pyaar ko behne do,
Apne antar-mann ke manohar mandir mein,
Tum har pal Guruji ko pyaar se rehne do.

Antar-mann tarr jaayega jabb Guruji rahenge vahaan viraajmaan,
Tum toh ho naadaan insaan, Ve Hain MahaShiv Bhagwaan,
Ve nath Hain tumhaare, tum Unkee laadli santaan,
Unhee ke ashish mein basaa hai tumhaara kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Na Bhoolo Baantna Pyaar (07/23/2021)

Kalyuga Ka Spandan (07/22/2021)

July 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1250

            Kalyuga Ka Spandan

Na raha kar tu yoon khafaa,
Tu buss nibhaata chal wafaa,
Duniya ka jo bhi ho dastoor,
Na samajh tu khud ko majboor.

Is kalyuga ka spandan hee kuch aisa hai,
Ki daldal mein phansne aur dhansne jaisa hai,
Lekin Guruji ne jis jisko Apna bhakt banaaya hai,
Unhonei har uss bhakt ko Unse seedhi taar jodna sikhaaya hai.

Sumat sabhi ko bakhshi hai daata ne,
Lekin sabke apne vash mein hai iska upayog,
Swatantra ichchaa hum sabki nijee hai,
Jiska humpar nirbhar karta hai prayog.

Kalyuga mein sabka hee ajab sa haal hai,
Lekin Rab toh sabke hee naal hai,
Isliye jabb takk nek hamaari chaal hai,
Hamaare sangg divyata kee sur aur taal hai.

Isliye neki ka saath nibhaata chal,
Wafa ka vaada nibhaata chal,
Swatantra ichchaa ka uchit prayog karta chal,
Guruji kee dee hui sumat se har soch mein pavitra oorja bharta chal.

Kyunki vyavhaar par asar hota hai har vichaar ka,
Aur vyavhaar prabhaavit karta hai bheetar aur baahar ke spandan ko,
Isliye apne mann mein basaa le tu jaagriti ka ujaala,
Aur nikharne de Guruji ke noor se apne vandan ko.

Phir is kalyuga mein duniya ka jo bhi dastoor hoga,
Tere mann mein sunehra vandan zaroor hoga,
Tu kabhi bhi majboor na hoga,
Aur tera Guru tujhse kabhi bhi duur na hoga.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kalyuga Ka Spandan (07/22/2021)