July 16, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1244
Shukrana Karne Kee Kalaa
Pyaare Guruji ke pyaar ko,
Pyaar se hum apnaayein,
Is paawan pyaar ke rishte ko,
Salaam kar sajde mein jhuk jaayein hawaayein,
Aur jabb jabb hum Guruji ka karte hain shukrana,
Toh kaayinaat ko hum par apna ashirwaad padta hai barsaana.
Kyunki kaayinaat ke spandan par asar karta hai,
Bhaav hum sab praaniyon ka,
Saath hee ehsaas zaroori hai,
Guruji kee meharabaaniyon ka.
Veh ashirwaad bhi Guruji kee dein hai,
Kaayinaat jiskee divya dharohar hai,
Sabki oorja sambhaalti hai kaayinaat,
Usey bakhshi gayi sewa kathin apitu manohar hai.
Jitna ehsaas hoga hamein,
Guruji ke har ehsaan ka,
Utna hee shukrguzaar hoga,
Mann har insaan ka.
Guruji se seedhi taar jodna anivaarya hai,
Guruji ke kiye ehsaanon ke ehsaas ke liye,
Aur yeh abhyaas bahut hee zaroori hai,
Guruji ke har bhakt, har das ke liye.
Pehle pehle shukrana karne ke liye,
Shaayad khud ko padey yaad karaana,
Lekin seedhi taar jodkar abhyaas karne se,
Aasan ho jaata hai shukrana ka dil se labhon par aana.
Buss, phir jabb shukrana kee sumati aati hai,
Toh zindagi ek anokhi gati se chalti jaati hai,
Protsaahan milta hai samarpan ke prayaas ko,
Yahee protsaahan badhaata hai simran kee pyaas ko.
Jo ek baar jaan le isey khaas,
Toh phir kabhi nahin mit-tee is pyaas kee aas,
Na koi nadiya, na koi mahasaagar,
Bhar sakta hai mann kee gaagar,
Gaagar toh aakhir simran kee pyaasi hai,
Aur atma toh Paramatama kee dasi hai.
Simran aur samarpan kee badhti bhavna se,
Atma kee Paramatama se milan kee kaamna se,
Nipun ho jaaye hamaari shukrana karne kee kalaa,
Aur Guruji kee mehar se kaayinaat mein ho sabka bhalaa.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja