Saarthak Saundarya (07/18/2021)

July 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1246

              Saarthak Saundarya

Tann kee aankhon se dekho toh,
Chaahe kuch lagey ya na lagey sundar,
Par mann kee aankhon se dekho toh,
Saundarya sadaa hai mann ke andar.

Saundarya ruhaaniyat aur samarpan ka,
Saundarya mann mein hotey huey darshan ka,
Saundarya divya deedar ka,
Saundarya Guruji ke pyaar ka.

Bhautikvaad aur laukikta ka saundarya,
Kshanbhangur hai veh sab,
Anant saundarya toh veh ratna hai,
Jo antar-mann ko bakhshta hai Rab.

Guruji mein devi devta sab Hain,
Guruji Guruji ke roop mein Rab Hain,
Unke simran aur dhyan se,
Mann ka saakshaatkaar hota hai gyan se,
Gyan, adhyaatmikta ka,
Gyan, prathamikta ka.

Yahee gyan hai asal,
Jo sanvaarta hai karmon kee fasal,
Jiska milta rehta hai phal,
Jis se jeena marna hota hai safal.

Jitna simran karoge Guruji kee mehar se,
Utna deedar hoga shuddh vichaaron kee sehar se,
Aur isee se hoga pavitrikaran,
Jis se sundar hoga anta-karan.

Aur is saundarya se susajjit hokar,
Mann aur anta-karan khil jaayega,
Jo saundarya tum baahar dhoondh rahe thei,
Veh apne bheetar hee mil paayega.

Saari dhool dhul jaayegi,
Mann ke malin darpan se,
Mann kee aankhein bhi tarr jaayengi,
Is saarthak saundarya ke darshan se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Saarthak Saundarya (07/18/2021)

Leave a comment