Kalyuga Ka Spandan (07/22/2021)

July 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1250

            Kalyuga Ka Spandan

Na raha kar tu yoon khafaa,
Tu buss nibhaata chal wafaa,
Duniya ka jo bhi ho dastoor,
Na samajh tu khud ko majboor.

Is kalyuga ka spandan hee kuch aisa hai,
Ki daldal mein phansne aur dhansne jaisa hai,
Lekin Guruji ne jis jisko Apna bhakt banaaya hai,
Unhonei har uss bhakt ko Unse seedhi taar jodna sikhaaya hai.

Sumat sabhi ko bakhshi hai daata ne,
Lekin sabke apne vash mein hai iska upayog,
Swatantra ichchaa hum sabki nijee hai,
Jiska humpar nirbhar karta hai prayog.

Kalyuga mein sabka hee ajab sa haal hai,
Lekin Rab toh sabke hee naal hai,
Isliye jabb takk nek hamaari chaal hai,
Hamaare sangg divyata kee sur aur taal hai.

Isliye neki ka saath nibhaata chal,
Wafa ka vaada nibhaata chal,
Swatantra ichchaa ka uchit prayog karta chal,
Guruji kee dee hui sumat se har soch mein pavitra oorja bharta chal.

Kyunki vyavhaar par asar hota hai har vichaar ka,
Aur vyavhaar prabhaavit karta hai bheetar aur baahar ke spandan ko,
Isliye apne mann mein basaa le tu jaagriti ka ujaala,
Aur nikharne de Guruji ke noor se apne vandan ko.

Phir is kalyuga mein duniya ka jo bhi dastoor hoga,
Tere mann mein sunehra vandan zaroor hoga,
Tu kabhi bhi majboor na hoga,
Aur tera Guru tujhse kabhi bhi duur na hoga.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kalyuga Ka Spandan (07/22/2021)

Leave a comment