Aapse Ye Hai Kehna (07/31/2021)

July 31, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1259

Aapse Ye Hai Kehna

Pyaare Guruji,

Aapki mehar se zindagi mein din thaa aaya,
Jabb apne dil mein Aapka darbar thaa sajaaya,
Apne naadaan agyan pyaar se Aapko bulaaya,
Aur Aapke aane par Aapko khushi se vahaan baithaaya.

Aap itne sneh se muskuraaye,
Jabb Aap viraajmaan honei ke liye aaye,
Phir Aapne Apni divya leela se,
Uss darbar mein mujhe shabad sunvaaye.

Aapke dwaara chuney har shabad ne,
Amrit paan ka anand hriday ko diya,
Yoon lagaa ki badi muddat ke baad apne jeevan mein,
Mainey raahat bharaa saans liya.

Har fikr shabad kee dhaara ke sangg behti gayi,
Mann hee mann mein Aapse apna haal mai kehti gayi,
Judee jo Aapse seedhi taar,
Baaki sab lagne lagaa bekaar.

Uss taar ke prabhaav se azaadi ka hua ehsaas,
Aapka divya roop karne lagaa mere mann mein vaas,
Aapki dhun mein ramta gaya har shwaas,
Bin kiye koi asaadhaaran prayaas.

Mann mandir ke darbar mein Aapka deedar,
Bann gaya mere har din ka anmol hissa,
Har din is deedar mein samay bitaana,
Bann gaya mere jeevan kee kahaani ka kissa.

Kahaani mein kirdaar badalte gaye,
Aapki kripa se mere karam katt-te gaye,
Zindagi ke haalaat sudharte gaye,
Meri zindagi ke lamhe sanvarte gaye.

Yeh rishta kewal mann ka nahin, balki hai atma ka,
Aapke deedar se mila hai dar Paramatama ka,
Mann ka bhaav har kshan chaahe Aapke liye behna,
Aapse darkhaast karte huey Aapse ye hai kehna,
Ki chaahe mujhe kuch bhi padey sehna,
Aap mere mann ke mandir mein sadaa yoon hee basey rehna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapse Ye Hai Kehna (07/31/2021)

Leave a comment