August 2, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1261
Guru Har Krishan Dhyaayiye
1656 mein jabb aayi July saat,
Toh Guru Har Rai ko Nirankaar ne dee saugat,
Mata Krishen Kaur ne divyatma ko diya janam,
Jinhonei aagey chal kar badhaaya insaaniyat ka dharam.
1661 mein in baalak ke pitashree ne,
Paanch varsh kee aayu mein Unhe banaaya Guru,
Guru Har Krishan ne chechak kee beemari se,
Kitne logon ko theek dena kiya shuru.
Unhonei Apni guruyaayee ke dauraan,
Sangat ko sikhaaya karna pyaar aur dena daan,
Dusvein Guru Shri Guru Gobind Singh Sahib ne,
Guru Har Krishan ko Shradhanjali dete huey kaha,
Ki jo Guru Har Krishan ka dhyan karega,
Guru ka ashish uske dukh harega.
βGuru Har Krishan dhyaayiye, jis dithe sab dukh jaayiye,β
Yeh hissa hai aaj bhi ardaas ka,
Itna sammaan mila Guru Har Krishan ko,
Yeh vaakya pramaan hai uss vishwaas ka,
Jo sangat ko aaj bhi hai Guru Har Krishan par,
Isliye sangat jaati hai tarr.
Hamaare pyaare Guruji mein basey Hain Nirankaar,
Unkee sharan sangat ke liye hai sabse anmol uphaar,
Aaj Guru Har Krishan ke Prakash Purab par,
Guruji se hum bhi maangein yeh var,
Ki hum bann jaayein Unke achche bachche,
Sadaa rahein insaaniyat ke dharam mein sachche.
βBaal Guruβ Guru Har Krishan ke prakash purab par,
Aayiye swayam ko insaaniyat ka dharam karaayein yaad,
Pyaare Guruji kee sangat hain hum,
Karein Guruji se yeh fariyaad,
Ki is mahamaari ka abb antt ho,
Dein Ve jagg ko yeh ashirwaad.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja