August 6, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1265
Na Yeh Zameen Hamaari Hai
Na yeh zameen hamaari hai,
Na hamaari hai yahaan koi jaageer,
Sabhi aate jaate musaafir hain,
Khuda ke hain hum fakeer.
Yeh toh khushnaseebi hai hamaari,
Ki dekh kar hamaari laachaari,
Guruji ne hamein sweekaar liya,
Aur hamein itna pyaar diya.
Varna hum toh na jaane kya karte,
Marte marte jeete ya jeete jeete marte,
Sochte hain ki hai par nahin hai hamein samajh,
Vyarth ke maajron mein jaate hain hum ulajh,
Isliye asal dhan hamein aata nahin nazar,
Aur hum saans lete hain hokar bekhabar.
Guruji ne dikhaaya hai raasta simran ka,
Taaki pavitrikaran ho hamaare mann ka,
Guruji ne sikhaaya hai karna gupt paath, sewa, aur daan,
Taaki is baanvre mann mein na buss jaaye abhimaan.
Guruji ne kaha hai Unkee mahima sunn-ne aur sunaane ko,
Aur bin vehem ke Unkee chhavi is mann mein basaane ko,
Hamaare karmon ka bhi sambhaala hai Unhonei bhaar,
Aur har pal har bhakt par barsaaya hai pyaar.
Is prem kee vrishti ka karein hum sammaan,
Yaad rakhein ki Guruji sadaa Hain hum par meharbaan,
Is ranggmanch par hum sabb hain pal do pal ke mehmaan,
Yeh yaad rahei toh hum shaayad bann paayenge insaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja