Bhayy Ka Pralay (08/13/2021)

August 13, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1272

      Bhayy Ka Pralay

Kalyuga ka aaya hai samay,
Apne sangg yeh laaya hai bhayy ka pralay,
Kaheen hai vikaaron kee beemaari toh kaheen mahamari,
Adhyaatmik ksheenta ke kaaran phayyl rahi hai laachaari.

Bhayy ko pareshaani ka kaaran na banaao,
Bhayy ko banaa lo prerna,
Uss prerna se aagey badho,
Seekho mushkil ko saahas se gherna.

Bhayy ko vishwaas se bagaavat na karne do,
Bhayy ko raaste kee rukaavat na bann-ne do,
Guruji denge tumhe abhayy daan,
Guruji karenge himmat pradaan.

Maango Guruji se har janam mein Unke naam ka daan,
Guruji kee mehar se karo simran aur dhyan,
Sewa aur satsang kee bhi milee hai daat,
In sabke liye Unka shukrana karo din raat.

Jinhonei anginat bhakton ko taara hai,
Ve tumhe bhi zaroor taarenge,
Jinhonei sainkron ka jeevan sanvaara hai,
Ve tumhaare bhi kaaj sanvaarenge.

Isliye na jeetne do tum bhayy ko,
Na vijay paane do tum sanshay ko,
Vishwaas aur shraddha ko banaa lo apni dhaal,
Sakaraatmakta se sajaate chalo apni chaal,
Aur Guruji ke sanatan saath se,
Apne sir par dhare Unke haath se,
Apni atma ke bal ko badhte huey dekho,
Apne jeevan ko sanvarte huey dekho,
Tum khud hee maan jaaoge,
Tum khud hee jaan jaaoge,
Ki Guruji Hain tum par bhi meharbaan,
Ki Guruji karte Hain har tarehn se kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhayy Ka Pralay (08/13/2021)

Leave a comment