August 18, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1277
Samajhdaar Bann
Guruji Hain tere taaranhaar,
Kar le Unn Parwardigaar ka deedar,
Ek taraf hai saara sansaar,
Dooji taraf hai Guruji ka pyaar.
Samajhdaar bann,
Guruji ko chunn,
Bhool sansaar ko,
Gungunaa Guru naam kee dhun.
Tu jahaan mein reh,
Kintu apne bheetar na basne de jahaan ko,
Bhautik padaarthon ka kar le sadupyog,
Lekin aasakti ka nyauta na de is saamaan ko.
Kyunki isee saamaan mein agar ho gayi
teri aasakti,
Toh phir anuchit tarehn se prabhaavit hogi teri bhakti,
Tu ho jaayega jeevan kee saarthakta se duur,
Aur baahari kaaranon ke vash mein hokar ho jaayega majboor.
Atma-bal kumm na kar, uskee vriddhi honei de,
Jis maqsad se tu yahaan aaya hai, uss maqsad kee siddhi honei de,
Atma-bal kee badhauti se adhik hogi ekaagrataa,
Aur tujhe swayam hee anubhav hogi swatantrata.
Samajhdaar bann,
Na ganvaa yeh dhan,
Ruhaani unnati kar,
Shant kar apna mann.
Tera shant mann aur teri swarantra atma,
Yahee chaahte Hain Guru Paramatama,
Tabhi toh har kaleh-klesh ka hoga khaatma,
Aur pooran hogi Guruji ko paane kee kaamna.
Samajhdaar bann,
Guruji ko kar de sarv-samarpan,
Sanvaar le yeh jeevan,
Taaki baar baar na ho janam maran.
Samajhdaar bann,
Milee hai tujhe Guruji kee sharan,
Yahaan hota hai sankaton ka haran,
Yahaan hota hai mangal karan.
Samajhdaar bann,
Na jaane de yeh avsar,
Tera kalyaan awashya hoga,
Guruji ka haath hai tere sir par.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja