Raksha Bandhan Ka Para (08/22/2021)

August 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1281

          Raksha Bandhan Ka Parv

Raksha bandhan ka parv hai aaya,
Bhai behen ke pyaar mein gehraayee hai laaya,
Prem ke bandhan kee doar se saji bhai kee kalaayi,
Bhai behen ke aapaasi prem se dono ko khushi mil paayi.

Guruji hum sangat ke liye Hain Guru, murshid, meet, Dev, pita aur mata,
Maalik Hain hamaare aur Hain Ve hamaare bhraata,
Har varsh yeh tyohaar Unkee kripa se hai aata,
Unke sangg jo bandhan hai usmein bhakt Unka ashirwaad hai paata.

Bandhan hai yeh raksha ka,
Sangat kee suraksha ka,
Is bandhan mein bandh kar humne jaana,
Ki Guruji ke sangg bandh kar nishchitt hai tarr jaana.

Yeh bandhan hai vishwaas ka,
Niswaarth pyaar hai is bandhan kee shakti,
Jo bhakt is bandhan mein piroh le shukrana,
Uskee toh yakeenan nikhar jaati hai bhakti.

Yahee ek aisa bandhan hai,
Jismein bandh kar miltee hai har laukik bandhan se ruhaani mukti,
Yahee bandhan hai jismein pyaar niswaarth hai,
Aur ye hai adhyaatmik azadi kee yukti.

Isliye apni har saans mein basaakar shukrana,
Karte chalein hum har kadam par Guruji par poorna vishwaas,
Aur Unke sangg is pyaare bandhan ke liye,
Aaj ke din karein Unka dhanyawaad khaas.

Kyunki Guruji bin koi parv nahin ho sakta poora,
Unke bin toh zindagi ka har pal hai adhoora,
Guruji ke sangg hum sab raksha bandhan manaayein,
Dete huey sabhi bhai-behnon ko haardik shubhkaamnaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Raksha Bandhan Ka Para (08/22/2021)

Leave a comment