August 25, 2021
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1284
Shukrana Kar
Har moad par naya imtehaan hai,
Har imtehaan mein sangg Bhagwaan hai,
Bhagwaan ne hee diya jeevan daan hai,
Jeevan daan paakar bhi tu kyun pareshaan hai?
Jinhonei diya hai yeh jeevan, Unhee ko kar de tu isey arpan,
Jin Guruji ke naam kee jyot hai mann mein, Unhe hee kar de tu sarv-samarpan,
Kewal lafzon mein hee nahin, balki soch aur karam se,
Aur wafaa nibhaa le tu, insaaniyat ke dharam se.
Shukrana kar Guruji mein basey Bhagwaan ka,
Shukrana kar tu jeevan daan ka,
Shukrana kar har imtehaan ka,
Shukrana kar Guruji ke har ehsaan ka.
Itne kasht tujhe chhoone se pehle,
Guruji kee mehar se tal gaye,
Toone beshaq apni oar se mehnat kee hogi,
Lekin kewal Guru kripa se tere karam phal
gaye.
Imtehaan is se bhi zyada mushkil ho sakta thaa,
Guruji kee kripa bin tera safal hona na thaa mumkin,
Arey, kitne imtehaan toh dene hee nahin padey tujhe,
Ye bhi na mumkin thaa Guruji kee kripa ke bin.
Shukrana karne se teri kismat nikhar jaayegi,
Shukrana karne se tere jeevan mein roshni bikhar jaayegi,
Shukrana mein bahut shakti hai,
Shukrana santusht rehne kee yukti hai.
Shukrana se har savera sajega,
Shukrana se tu Guru naam bhajega,
Shukrana se dukh mein bhi sukh ho jaayega,
Shukrana se tu Guruji se aur bhi ashirwaad paayega.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja