Har Din Ka Har Pehar (09/30/2021)

September 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1320

 Har Din Ka Har Pehar

Pyaare Guruji,

Duniya ke mayajaal mein phanse phanse jee oob sa hai gaya
Is se azad karaa sakti hai kewal Aapki daya
Aapka sanaatan saath maang rahi hoon bin sharm-o-hayaa
Aapke sangg jo rishta hai, vahee sabse khoobsoorat bhayaa

Sochun Aapke baare mein hee
Jinhonei yeh zindagi hai dee
Aapka hee rahe mann mein khayaal
Toh jeevan ho jaaye bemisaal

Aankhein bandd hon toh Aap nazar aayein
Aankhein khuli hon toh bhi ve Aapko dekh paayein
Kaanch ke darpan mein dekhoon ya mann ke darpan mein
Aap har jageh Apna divya roop dikhaayein

Sab mein Aapka roop aaye mujhe nazar
Sakaaraatmak drishtikon se jeevan karoon basar
Varna nishchint hokar katt nahin sakta yeh safar
Aapke ashish ke asar se hee yeh safar ho sakta hai safal

Mere sab vikaaron ka kar deejiye vinaash
Kyunki ye hain choron ke roop mein paash
Sumati bakhshiye ki sadaa shubh aur shuddh rahe mera sakaash
Aur sachchaayee aur achchaayee se mai kabhi na loon avkaash

Kabhi galati se ho jaaoon udaas
Kabhi bhool kar ho jaaoon niraash
Toh Aap dil ke aangan mein muskuraayein
Mai hoon na, yeh kehkar mujhe samjhaayein

Aapka shukrana sadaa karti rahoon
Aapke bharose dheeraj dharti rahoon
Nirbhaytaa se jeeyoon, na ki darti rahoon
Uss antt vele ke aane se pehle na jeete jeete marti rahoon

Aapki mehar se uss vele kee chalti rahe meri oar se poori tayyaari
Mann se abhi hee chod doon yeh duniya saari
Taaki na aasakti ho ismein, na ho mann mein iska chintan
Aur apne har karam mein mai basaa loon Aapka vandan

Aapke vandan ka chintan hee karti rahoongi phir har pal
Taaki usee chintan mein meri aakhiri saans jaayegi dhal
Aapki kripa se is paar aur uss paar ka samay jaayega tal
Aur safar ke uss mukaam par meri atma ko milega Aapke adhyaatmik deedar ka meetha phal

Jeevan jeeyoon isee intazaar mein aisee keejiye mehar
Kyunki isee intazaar kee poorti laayegi sachchi aur sunehri sehar
Aapki mahima ka gungaan karti rahe meri saanson kee har lehar
Shukrana karte huey bitaa loon yahaan har din ka har pehar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Din Ka Har Pehar (09/30/2021)

Har Haal Mein Guruji Ka Shukrana (09/29/2021)

September 29, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1319

   Har Haal Mein Guruji Ka Shukrana

Duniya waalon ko bahut rijhaa liya
Apne pyaare Guruji ko rijhaayein toh koi baat baney

Sir toh kayee baar jhukaaya humne
Bhaav ko neevan banaayein toh koi baat baney

Bin Prabhu ko yaad kiye khaana khaaya anginat baar
Sada Guruji ko pehla nivaala arpit kar langar prasad khaayein toh koi baat baney

Yash aur dhan se shaayad oonche darje paa liye hon humne
Guruji kee chaahat anusaar bande bhi bann jaayein toh koi baat baney

Apni upalabdhiyon aur apne hunar ka bahut kar liya gungaan
Guruji kee mahima ka gungaan karte huey jeevan bitaayein toh koi baat baney

Sheher aur gaon ke mandir mein kayee baar gaye hum
Mann ko Guruji ka mandir banaayein toh koi baat baney

Kalyuga mein bhautikvaad ka nasha kiya hadd se bhi zyada
Guruji ke naam ke nashey mein magn rahein toh koi baat baney

Bheed mein swayam ko khone se kya laabh
Ekant mein swayam mein divyata ko paayein toh koi baat baney

Zindagi mein aadambar aur pradarshan ka anubhav khoob hua
Abb saadagi se saral jeevan bitaayein toh koi baat baney

Jeene ka saleeqa toh na aaya hamein
Marne kee adaa hee aa jaaye toh koi baat baney

Shikaayat karne ke toh kayee bahaane dhoondh liye humne
Har haal mein Guruji ka Shukrana karte jaayein toh koi baat baney

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Haal Mein Guruji Ka Shukrana (09/29/2021)

Jaise Budbuda Paani Ka (09/28/2021)

September 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1318

          Jaise Budbuda Paani ka

Jaise budbuda paani ka
Vaisa hee darja hai zindagaani ka
Imtehaan hai ye hamaari naadaani ka
Phir antt ho jaata hai is kahaani ka

Guruji ka naam hai hal yahaan har pareshaani ka
Har bhakt ko milta hai sahaara Gurbani ka
Jiske dwaara uddhaar hota hai har agyaani ka
Yeh prataap hai MahaShiv roopi Guru sarvgyaani ka

Yeh safar hai atma sayaani ka
Yeh safar nahin hai kheenchataani ka
Yahaan raaj nahin budhaape baalpan ya jawaani ka
Yeh toh tajurba hai jindri deewani ka
Yahee anubhav hai har gyaani ka
Jis par pushtikaran hai Guruji kee nigraani ka

Isliye kyunki yahee ohada hai zindagaani ka
Ki vo hai mehez budbuda paani ka
Yeh khel nahin hai prajaa ya raja aur rani ka
Yahaan nahin hai prayojan manmaani ka

Isliye maan kar har vachan Guruji kee vaani ka
Na prabhaav padne do swayam par kalyugi shaitaani ka
Guruji Khudaayee ka mahaasaagar Hain, kar lo vandan tum Unn deen dayal daani ka
Guruji MahaShiv Hain, Unke vash mein hai uddhaar har praani ka

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jaise Budbuda Paani Ka (09/28/2021)

Param Poojya Guruji Pyaare (09/27/2021)

September 27, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1317

      Param Poojya Guruji Pyaare

Jinhe dekhte hee jhuk jaata hai gagan
Jinke hukm par ruk jaati hai pawan
Jinke charnon ko choom kar dharti karti hai naman
Jinke spandan se agni mehsoos karey aman
Jinke aadesh par jal kee sarita badal leti hai disha
Jinkee ek nazar se roshan ho jaati hai har nisha
Ve Hain param poojya Guruji pyaare
Jinke vash mein hain prakriti ke saare nazaare.

Jinkee mamta se koi bhi bhakt nahin hai vanchit
Jinke bin ho nahin sakti Simran kee ghadiyan sanchit
Jinke manan mein sada leen rehna chaahe chitt
Jinke dwaara hai yeh poori srishti rachit
Ve Hain param poojya Guruji pyaare
Jinhonei sab bhakton ke sada Hain kaaj sanvaare.

Jinke baare mein soch kar dil mein ho jaata hai ullaas
Jinka saumya roop karta hai har pal dil mein vaas
Jinke deedar kee rehti hai har kshan aas
Jinke agochar honei par bhi hota hai Unkee maujoodagi ka ehsaas
Ve Hain param poojya Guruji pyaare
Jinka ashirwad sabka jeevan sudhaare.

Jinkee sharan mein mila hai sweekriti ka uphaar
Jinke saath hum manaana chaahein har tyohaar
Jinkee nadar aur nazar deti hai saari sangat ko taar
Jinkee goad mein samaane ka hee rehta hai abb intazaar
Ve Hain param poojya Guruji pyaare
Jinke sahaare har bhakt yeh kshanbhangur jeevan guzaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Param Poojya Guruji Pyaare (09/27/2021)

Pyaare Guruji Ke Sangg Bhakton Ka Rishta (09/26/2021)

September 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1316

Pyaare Guruji Ke Sangg Bhakton Ka Rishta

Pyaare Guruji ke sangg bhakton ka rishta hai pyaar ka,
Is rishte ko gehra karta hai rangg aitbaar ka,
Is rishte mein armaan basaa hai Guruji ke deedar ka,
Aur amrit roopi ashirwad MahaShiv Guruji parwardigaar ka.

Yeh rishta hai mata pita ka aulad ke sangg,
Jismein Guruji bharte Hain Apni mamta aur apne sneh ka rangg,
Yeh rishta hai murshid ka Apne shaagird ke saath,
Jismein Guruji hamare sir par rakhte Hain Apne ashish ka haath.

Yeh rishta hai Pooran Guru se Unke Apne shishya ka,
Jis par ehsaan hai sarvgyani Guru ke saakaar aur alakh drishya ka,
Yeh rishta hai ek meet aur Unke anuj meet
ke beech,
Jisey paawan dosti deti hai seench.

Yeh rishta hai sabse jyeshtha bhrata ka naadaan bhaayiyon aur behnon ke saath,
Jismein jyeshtha bhraata jaante Hain sabke dil kee baat.

Yeh rishta hai Maalik aur kinkar ka,
Ya phir yoon kahiye ki swami aur das ka,
Is rishte mein vaas hai apnepann ke ehsaas ka,
Yahee ehsaas hai aadhaar har shwaas ka.

Yeh rishta hai fakeer aur Naresh ka,
Yeh rishta hai bhakt aur Sarvesh ka,
Har roop mein yeh rishta hai divyata ke sandesh ka,
Aur har pehlu se yeh mohtaaj hai Guruji ke aadesh ka.

Jeevan ka koi bhi rishta nahin hai is rishte se
gehra,
Is rishte par MahaShiv Guruji ne baandha hai taral aur nirmal sehra,
Is sehre mein har pushp nihswaarth pyaar ka komal suman hai,
Yahee rishta hum bhakton ke liye har janam mein sabse anmol dhan hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaare Guruji Ke Sangg Bhakton Ka Rishta (09/26/2021)

Abhi Se Kyun Thak Gaye Hain Aap, Huzoor? (09/25/2021)

September 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1315

Abhi Se Kyun Thak Gaye Hain Aap, Huzoor?

Abhi se kyun thak gaye hain aap, huzoor?
Abhi toh jaana hai bahut duur,
Imtehaan bhi dena hai zaroor,
Chaahe aaj na bhi kiya ho koi kusoor.

Kyunki yeh safar kuch dinon se nahin,
Balki kayee janmon se chal raha hai,
Har janam kee apni aap beeti hai,
Jiske asar se har agla janam phal raha hai.

Pichhle janmon ke karmon ka hisaab,
Is se na bachaa paayega aaj ka oopari nakaab,
Dhyan rahe ki safar ke is ya kisee agle janam mein,
Ye kaheen baadha na bann jaaye nishchint maran mein.

Huzoor, aapko toh milee hai Guruji kee sharan,
Isliye uddhaar honei ka toh hai nishchay,
Lekin karmon ka bojh agar bhaari hai,
Toh phir jaayaz hai hona yeh bhayy.

Beete huey janmon ke karmon ko aap nahin sakte hain sudhaar,
Isliye huzoor, na waqt ganvaayiye pachhtaa kar baar baar,
Pashchaataap se praayashchitt kar leejiye apne kiye huey har paap ka,
Vartmaan mein sahi disha chun kar roak leejiye tufaan aane wale santaap ka.

Huzoor, yeh Guruji ka saamraajya hai,
Neeyat parkhi jaati hai yahaan,
Neeyat nirmal honei se,
Janmon ka safar ho jaata hai chhota aur aasaan.

Utaar leejiye pichhle janmon ke karmon ka udhaar,
Aur is janam mein apne karmon mein laayiye sudhaar,
Koi bhi nahin hai Guruji se bada bakhshanhaar,
Isliye huzoor, jodey rakhiye aap Guruji se seedhi taar.

Guruji Taaranhaar Hain,
Guruji paalanhaar Hain,
Guruji toh kshamaasheel aur kripalu Hain,
Guruji toh Deenanath Hain, dayalu Hain.

Isliye itminaan se sochiye aur neeyat changi rakhiye huzoor,
Chaahe jaana hai bahut duur, na mehsoos keejiye majboor.
Chintan keejiye Guruji ka taaki har chinta hoti jaaye duur,
Jeevan jee leejiye rehte huey har kadam par karmashoor,
Manzil milegi zaroor, ye hai kaayinaat ka dastoor,
Kyunki raaste ko roshan kar raha hai Guruji ka divya noor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Abhi Se Kyun Thak Gaye Hain Aap, Huzoor? (09/25/2021)

Aap Hain Daata, Mai Hoon Ek Fakeer (09/24/2021)

September 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1314

Aap Hain Daata, Mai Hoon Ek Fakeer

Pyaare Guruji,

Har uss dukh ka shukrana,
Jo mujhe Aapke kareeb laaya,
Aapki sharan ka shukrana,
Jisne mera naseeb jagaaya.

Uss nuksaan ka shukrana,
Jis se itna munaafa hua mera,
Kyunki Aap ke charnon mein jageh milee,
Jis se jeevan mein hua savera.

Uss bhayy ka shukrana,
Jiske kaaran Aapne diya abhay daan ka phal,
Uss akelepan ka shukrana,
Jiskee vajeh se mai Aapka saath maangne lagi har pal.

Uss ekaant ka shukrana,
Jis se bheed mein jaane ka dil hee na kiya,
Har uss simran ke pal ka shukrana,
Jisne ekaant ko Aapke rangg se rangg diya.

Har uss bewafaa ka shukrana,
Jisne zindagi mein dhokha diya,
Aapki mehar se har dhokhe ne,
Aapke aur bhi kareeb aane ka mauka diya.

Har pyaar dene wale ka shukrana,
Kyunki bade naseeb se milta hai doojon ka pyaar,
Doosaron ko pyaar de paane kee daat ka shukrana,
Jis se khushi se khil uthta hai khud ka bhi sansaar.

Mitron aur parivaar ka shukrana,
Jinse jeevan mein jaagrit rehte hain sanskaar,
Prakriti ke har rangg ka shukrana,
Jismein basey Hain Aap Parwardigaar.

Uss maati, jal, dharti, agni, aur akash ka shukrana,
Jinke bina kisee ka bhi astitva nahin,
Uss soch aur neeyat ka shukrana,
Jiske bina sewa aur karam ka poora mahatva nahin.

Uss sangat ka shukrana,
Jinse seekhne ko milta hai satyuga aur kalyuga ke baare mein,
Har uss shabad ka shukrana,
Jo sunn-ne ka avsar milta hai Aapke dwaare mein.

Uss langar prasad ka shukrana,
Jo bakhshta hai aarogyataa,
Uss nazariye ka shukrana,
Jo sweekriti mein karta hai sahaayataa.

Shareer ke har angg aur indriyon ka shukrana,
Jis se dincharya chalti hai,
Har subah, har dopehar ka shukrana,
Jo shaam aur raat ka roop lekar dhalti hai.

Bhakti kee daat ka shukrana,
Shakti kee saugat ka shukrana,
Aapke chintan ka chaarul chaman dene ka shukrana,
Aapke vandan ke vinamr kshan dene ka shukrana.

Har saans se bhi Aapka shukrana kehti jaaoon toh kumm hai,
Aapki mehar se jisey na jhel sakoon aisa na koi gumm hai,
Aagey bhi har lamhe mein saath ke paawan vaade ka shukrana,
Aapki karuna se chalta rahega waqt ka aana jaana.

Abb toh mann mandir mein basey Hain Aap aur Aapki tasveer,
Aapki kripa se akhandata aur
satyanishtha se sajaa rahe zameer,
Aap Hain daata, mai hoon ek fakeer,
Jiskee Aapne sanvaari hai taqdeer.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Hain Daata, Mai Hoon Ek Fakeer (09/24/2021)

Amrit Kee Boondein (09/23/2021)

September 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1313

 Amrit Kee Boondein

Mahasaagar thaa ati vishaal,
Anginat lehrein thein umad rahi,
Kuch lehrein thi bahut prasann,
Toh kuch kee shanti thi ujad rahi.

Guruji khade thei kinaare par,
Mahasaagar par thi Unkee vinamr nazar,
Lehrein aate jaate rahi theen Unka maatha tek,
Lehron ke chitt mein thei bhaav anek.

Guruji ne har bhaav ko pehchaan liya,
Lehron ke mann kee har baat ko jaan liya,
Ve toh maalik Hain sampoorna sansaar ke,
Aur daata Hain sabke uddhaar ke.

Guruji ne Apne ashirwaad ke amrit kee boondein,
Pyaar se mahasaagar ko kee pradaan,
Mahasaagar kee toh kismat sanvar gayi,
Paakar MahaShiv se yeh divya daan.

Ek hee kshan mein ve prataapi boondein amrit kee,
Poore mahasaagar mein ghul gayin,
Guruji kee karuna aur kripa se,
Ve har disha mein jal mein aatmasaat huin.

Yeh kehna namumkin thaa,
Ki ve boondein pehle is oar ghulin ya dooji oar,
Guruji kee shakti thi unn amrit kee boondon mein,
Unhonei apna kaam kiya bin machaaye koi shor.

Mahasaagar mein vaas karti hui machliyon ko toh jaise,
Milee jeene kee ek nayi umang,
Unka saath dene ke liye,
Harshit ho gayi har tarang.

Poora mahasaagar toh bilkul tarr gaya,
Amrit kee ve boondein theen itnee shaktishaali,
Guruji kuch der takk vahaan khade rahe,
Unhonei poore mahasaagar par Apni divya drishti daali.

Prakriti ke nirmal nazaare par,
Chha gaya Guruji ka noor,
Mahasaagar ne har utaar chadhaav saha sabr se,
Hokar har chinta se duur.

Mahasaagar ne Guruji ka hee kiya chintan,
Mahasaagar ne Guruji ka hee kiya vandan,
Guruji kee divyata se saj gaya mahasaagar ka spandan,
Shaant hua uska mann aur sudhar gaya uska jeevan.

Guruji, hum bhi lehrein hain is sansaar roopi saagar mein,
Tuchh, vikaaron se bhari huin, aur kamzor,
Aapke ashish kee amrit kee boondein hee taar rahin hai humko,
Aapka pyaar hee kumm kar raha hai hamaare har gumm ko.

Aapke ashirwaad kee boondon se hee,
Tarr raha hai yeh sansaar roopi saagar,
Hum is amrit kee pyaasi machliyaan bhi hain,
Jo tayyr rahi hain Aapki mamta paakar.

Aisee sumat bakhshiye mere daata,
Ki ye jo gumm hai aata jaata,
Iske baavajood bhi hum rahein shaant aur prasann,
Kyunki hum toh hain Aapke ashirwaad se sampann.

Kya karein, bhool jaate hain hum insaan,
Ki Jinkee sharan mein hum hain, Ve Aap Hain MahaShiv Bhagwaan,
Hamaara uddhaar karte huey hamein doobne se Aapne hee hai bachaana,
Yaad rahe hamein ye, aur kabhi na bhoolein karna hum Aapka shukrana.

Chinta ke bajaaye hum karte rahein Aapka chintan,
Vyarth na honei dein hum is vaani ko, karte rahein is se Aapka hee stavan,
Har soch aur har karam ko kar dein hum Aapko arpan,
Guzaar dein apna jeevan karte huey Aapka vinamr vandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Amrit Kee Boondein (09/23/2021)

Sabse Mahatvapoorna Kartavya (09/22/2021)

September 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1312

Sabse Mahatvapoorna Kartavya

Guruji Maharaj kee mehar ho rahi hai,
Ye mehar aathon pehar ho rahi hai,
Isliye jo ho raha hai vahee sahi hai,
Is satya mein koi sanshay nahin hai.

Kuch pichhle karmon ka zaroor hoga silsila,
Jinkee vajeh se vartmaan murajhaaya ya khila,
Saath hee aur karam hum sab kar rahe hain,
Kuch jann kewal Guruji kee sunte hain, toh kuch kalyugi bal se dar rahe hain.

Khaate mein likha jaa raha hai aaj ka bhi karam,
Aur likha jaa raha hai kaun kaise nibhaa raha hai insaaniyat ka dharam,
Har shaks ka Guruji ke paas hisaab hai,
Jisne yahaan pehna nakaab hai, vahaan uskee bhi khuli hui kitaab hai.

Ye kalyugi bal hai hee itnee oorja wala,
Ki bheed mein khoya insaan bhool gaya hai bal dooja wala,
Dar-asal veh dooja bal hee sabse pradhaan hai,
Kyunki uss bal ka swami swayam Bhagwaan hai.

Yeh dooja bal hai hamaari apni adhyaatmik shakti,
Jisey ujjwal rakhti hai niswaarth bhakti,
Isliye yeh dooja bal hee hai sarv-pratham,
Lekin kalyuga mein iska prataap bhoolte jaa rahe hain hum.

Kalyugi bal kee nakaraatmakta shaktishali zaroor hai,
Aur adhyaatmikta mein jo ksheen hai veh ho jaata majboor hai,
Tabhi toh aawashyak hai sunn-ni apne antar- mann kee baat,
Jiske liye bheetar jaane kee Guruji Maharaj ne dee hai daat.

Iske liye agar duur rehna padey kalyugi kolaahal se,
Toh usee mein kalyaan hai,
Kyunki antar-mann kee gehraaiyon mein,
Basaa Guru roopi Bhagwaan Hai.

Apne bheetar jhaank kar dekhein hum simran aur dhyan ke dwaara,
Aisa shubh mauka shaayad na miley kabhi dobara,
Guruji se seedhi taar jod kar kewal kehna hee nahin, balki sunn-na hai Unka bhi kehna,
Kyunki hamaara sabse mahatvapoorna kartavya hai Guruji ke hukm mein rehna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sabse Mahatvapoorna Kartavya (09/22/2021)

Kaayinaat Kee Dee Hui Naseehat (09/21/2021)

September 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1311

Kaayinaat Kee Dee Hui Naseehat

Duniya kee bhari bheed mein akela hai har koi,
Maajra hai ye adbhut lekin yahee hakeekat hai.
Jo yahaan chod kar jaayenge doojon ke liye,
Har kisee ke dimaag mein ghoomti veh vaseeyat hai,
Lekin jo saath lekar jaayenge uske baare mein toh sochein,
Kaayinaat de rahi yeh naseehat hai.

Kyunki jo saath lekar jaayenge,
Uskee sabse adhik hai ahamiyat,
Veh bojh kaisa aur kitna bhaari hai,
Usee mein basee hai hamaari raaz-e-neeyat.

Hamaare Guruji hum sab ke kalyaan ke liye itna kuch sehte Hain,
Hum pareshaan hotey Hain toh hamaare se bhi zyada ashru Unke behte Hain,
Pyaare Guruji hamein banda bann-ne ke liye kehte Hain,
Bojh kumm hota jaata hai Unka jo Guruji ke hukm mein rehte hain.

Raaze-neeyat jaante Hain Guruji,
Sabki hakeekat pehchaante Hain Guruji,
Kuch nahin chhupa hai Unse,
Kisee ka kalyaan nahin ruka hai Unse.

Har soch aur har kriya ko kar ke Guruji ko arpan,
Mal roopi dhool rahit rakhein apne anta-karan ka darpan,
Karmon ka bojh kumm hoga agar neeyat hogi nek,
Aur Guruji bhi prasann hongei hamaari unnati ko dekh.

Isliye kaayinaat kee dee hui naseehat ko maan lein,
Aur apne parampoojya Guruji ko maan dein,
Neki aur neevenpann se seenchein apne har karam ko,
Guruji kee mehar se nibhaayein insaaniyat ke dharam ko.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kaayinaat Kee Dee Hui Naseehat (09/21/2021)